TANHAI

by roomaharis on October 29, 2004, 07:50:16 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1862 times)
roomaharis
Guest
Reply with quote
:cry: ASSALAM O ALAIKUM:-
                                           Yeh post sirf gham kay liyah banayee hay main nay right ab ap sab khush hoon gay umeed karta hoon........ :cry:
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
gam..e...tanhai by majid in Shayri for Dard -e- Judai
Tanhai by maxxmize in Share: Poetry of Pain
Tanhai aur Bewafai by songwriter_123 in Share:Poetry of Betrayel
Tanhai me by shannlove in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Tanhai me hi aa jao... by Tanowar Jahan in Shayri for Khumar -e- Ishq
roomaharis
Guest
«Reply #1 on: October 29, 2004, 07:54:03 AM »
Reply with quote
:cry: Simta sa , sharmaya sa koi lamha lagti thi
Gehri Gehri aankhon wali, koi barkha lagti thi

Mein jo chup chup sa hota, mujh ko manaya kerti thi
khwabon mein aati thi, merey seeney sey aa lagti thi

Waqt-e-rukhsat kya mein kahon us ki aankhon ka manzar
Chupkey chupkey behney wali koi nadya lagti thi

Us ki soorat kya mein bataon khud hi tasawwur ker lo tum
Chanda mein ger daagh na hotey to wo chanda lagti thi

Wo aysi hi Thi jaisi shayar ki muhabbat hoti hai
Meri ghazal, mera misra, mera naghma lagti thi :cry:
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #2 on: October 29, 2004, 10:52:35 AM »
Reply with quote
:cry: Manzil mere qadmoN se abhi door bahut hai
Qissa meri nakami ka mash-hoor bahut hai

Vo mausam-e-gul ho ke khezaN, aap ke dam se
Ye sehn-e-chaman husn se maamoor bahut hai

Qudrat ki hemayat nahiN haasil to ye insaN
HoN laakh wasayel bhi to majboor bahut hai

Naadaar-o-tahi-dast jo haq maNge to mujrim
Ghurbat ko saza dene ka dastoor bahut hai

KhudbeeN bhi hai, khudsar bhi hai, khuddaar nahiN hai
Kirdar ki khaami se vo raNjoor bahut hai

MaiN dast-e-sawaal apna baDhata nahiN aage
Aur log samajhte haiN ke maGroor bahut hai

Allah ne jo kuchh bhi diya khoob hai HARIS
Dil uski enayaat se masroor bahut hai :cry:
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #3 on: July 25, 2011, 12:38:28 PM »
Reply with quote
:cry: Manzil mere qadmoN se abhi door bahut hai
Qissa meri nakami ka mash-hoor bahut hai

Vo mausam-e-gul ho ke khezaN, aap ke dam se
Ye sehn-e-chaman husn se maamoor bahut hai

Qudrat ki hemayat nahiN haasil to ye insaN
HoN laakh wasayel bhi to majboor bahut hai

Naadaar-o-tahi-dast jo haq maNge to mujrim
Ghurbat ko saza dene ka dastoor bahut hai

KhudbeeN bhi hai, khudsar bhi hai, khuddaar nahiN hai
Kirdar ki khaami se vo raNjoor bahut hai

MaiN dast-e-sawaal apna baDhata nahiN aage
Aur log samajhte haiN ke maGroor bahut hai

Allah ne jo kuchh bhi diya khoob hai HARIS
Dil uski enayaat se masroor bahut hai :cry:


BAHUT BAHUT KHOOSURAT GHAZAL. DAAAAAAAAAAAAAD QABOOL KAREIN WAH WAH




 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:39:31 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.087 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer