Teri chaukhat pe mera dam nikal jaye to maza aajaye !!

by abdulqadeer on January 24, 2009, 03:50:59 AM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 3962 times)
abdulqadeer
Guest
Reply with quote
Ye ghazal maine kissi ki farmaesh pe likhi hai agar pasand ajaye to nawaz dena !!


Meri mahobbath ka ye sila mil jaye to maza aajaye !!
Teri chaukhat pe mera dam nikal jaye to maza aajaye !!
Hayat-a-tangdasti pe meri hasna teri fitrat si rahi hai !!
Ab meri maiyath pe muskura ke chala jaye to maza aajaye !!

Mujhe raatoon me jagana teri adath si rahi ta-umra !!
Mai sota rahoon qabar me aur teri neend udjaye to maza aajaye !!

Zindagi ki har rah pe tone mujhe gumrah kiya !!
Manzil tere samne ho aur tu raasta bhatak jaye to maza aajaye !!

Meri ghazaloon ko nawazne ka usse saliqa hi na aya kabhi !!
Kissi din mai qadardan aur wo shayar bann jaye to maza aajaye !!

Meri surath se unhe nafrath si rahi hai hamesha Qadeer !!
Kafan me lipta ho mera chahera aur noor bhikar jaye to maza aajaye !!

Qadeer Toopchi
Logged
cara
Guest
«Reply #1 on: January 24, 2009, 04:22:33 AM »
Reply with quote
kya baat hai...qadeer ji.....bahut dard bara likha hai.......

jab bhi tera haath maanga, har mehafil mein,tune mera majaak udaye,
jiska haath tu chaha rahi hai,wo hi tuje thookrae majaa ya jaaye.

jis ke ishq mein tu jee rahi hai,wo hi tuje mil na paaye,aur to mar jaaye,
aaj  jo kabar mili hai tere khatir,uske baju mein teri kabar banjaaye,aur tuje dekhkar hastaa rahu  majaa aajaye.


Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #2 on: January 24, 2009, 04:32:23 AM »
Reply with quote
kya baat hai...qadeer ji.....bahut dard bara likha hai.......

jab bhi tera haath maanga, har mehafil mein,tune mera majaak udaye,
jiska haath tu chaha rahi hai,wo hi tuje thookrae majaa ya jaaye.

jis ke ishq mein tu jee rahi hai,wo hi tuje mil na paaye,aur to mar jaaye,
aaj  jo kabar mili hai tere khatir,uske baju mein teri kabar banjaaye,aur tuje dekhkar hastaa rahu  majaa aajaye.




Bahoth Bahoth Shukriya Cara Ji !! Aur apne ne bhi kamal likha hai !!

Qadeer Toopchi
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #3 on: January 24, 2009, 06:03:03 AM »
Reply with quote
abdulqadeer ji!
Waah!  Applause Applause Clapping Smiley
Tasawwur kaa khaasey kamaal kaa isteymaal kiyaa hai aapney! Aapke 'woh' lagtaa hai khaasey 'sadistic' dil-o-dimaag key hain? Aisey logon key liye qurbaangee kaa jazbah bhi bey-asar hi rahtaa hai, janaab! Better worship the life, and live it thoroughly! Optimism makes the life more meaningful than passimism!
               - abd bundeli
Logged
fairy2633
Guest
«Reply #4 on: January 24, 2009, 06:35:43 AM »
Reply with quote
waah waah!! qadeer ji...bahut khoob likha hai aapne...
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: January 24, 2009, 06:42:25 AM »
Reply with quote
Wah! Kya baat hai Qadeer Ji
Bahut khoob likha hai aap ne
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: January 24, 2009, 06:58:42 AM »
Reply with quote
Subhan Allah,.
Subhan Allah,.

Kya Kahoon Bhai,.
Jawaab Nahi,.

Baar Baasr Aisi Ghazlein Aap Hume Pardhaa Do, To Mazaa Aa Jaaye,.
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #7 on: January 24, 2009, 07:14:37 AM »
Reply with quote
waah waah!! qadeer ji...bahut khoob likha hai aapne...

Shukiyra janab apne izzath di hamare kalam ko ahesan hai apka fairy ji !!

Qadeer Toopchi
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #8 on: January 24, 2009, 07:27:01 AM »
Reply with quote
abdulqadeer ji!
Waah!  Applause Applause Clapping Smiley
Tasawwur kaa khaasey kamaal kaa isteymaal kiyaa hai aapney! Aapke 'woh' lagtaa hai khaasey 'sadistic' dil-o-dimaag key hain? Aisey logon key liye qurbaangee kaa jazbah bhi bey-asar hi rahtaa hai, janaab! Better worship the life, and live it thoroughly! Optimism makes the life more meaningful than passimism!
               - abd bundeli

Bahoth Bahoth Shukriya Janab Ghazal tak pahonchne ka aur apne to Ghazal ka ahesas padliya Abd ji !! ahesand mandhai apke jo apne is nacheez ki ghazal pe miyari dali aur nawaza !! ap jaise shayaroon ki hausla afza-e- bahoth ma-e-ne rakhti hai janab !! Allah tumhe khush rakhe !!

Qadeer toopchi
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #9 on: January 24, 2009, 08:14:22 AM »
Reply with quote
Wah! Kya baat hai Qadeer Ji
Bahut khoob likha hai aap ne

Bahoth bahoth Shukriya Rajesh ji apne hamari ghazal ko waqat diya !!

Qadeer toopchi
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #10 on: January 24, 2009, 08:36:57 AM »
Reply with quote
Subhan Allah,.
Subhan Allah,.

Kya Kahoon Bhai,.
Jawaab Nahi,.

Baar Baasr Aisi Ghazlein Aap Hume Pardhaa Do, To Mazaa Aa Jaaye,.

Bahoth Bahoth Shukriya Azeem Is nacheez ko tumne itni izzath bakshi aur bade bhai ka darja diya !! Allah tumhe khush o qurram rakhe !! Ameen

Qadeer toopchi
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #11 on: January 24, 2009, 09:10:29 AM »
Reply with quote
Bahoth Bahoth Shukriya Janab Ghazal tak pahonchne ka aur apne to Ghazal ka ahesas padliya Abd ji !! ahesand mandhai apke jo apne is nacheez ki ghazal pe miyari dali aur nawaza !! ap jaise shayaroon ki hausla afza-e- bahoth ma-e-ne rakhti hai janab !! Allah tumhe khush rakhe !!

Qadeer toopchi
Thanks! You're welcome!
          - abd bundeli
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #12 on: January 24, 2009, 09:11:17 AM »
Reply with quote
Wah Qadeer Bhai Sach Mein Koi Lafz Nahi Hai
Mein Kya Tareef Karu Bas Kuch Apna Sa Mehsoos Hua Ise Padkar
Bas Bhai Yun Hi Likhte Rahe Aap Aur Hum Sikhte Rahe..Khush Raho Bhai.



Bahoth Bahoth Shukriya janab Itni Izzat de rahe hai app sub log ke meri qalam machalne lagi hai kalam likhne ke liye !! Allah hum sub ko khush rakhe !! Ameen

Qadeer Toopchi
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #13 on: January 24, 2009, 09:39:06 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause

Bohat khoob abdul ji.... Thumbs UP

Bohat khoob shihab... Thumbs UP
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #14 on: January 24, 2009, 10:16:40 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause

Bohat khoob abdul ji.... Thumbs UP

Bohat khoob shihab... Thumbs UP


Bahoth Bahoth Shukriya Janab Honeyrose Ji Apne is nacheez ki ghazal ko waqath diya !!

Qadeer Toopchi
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 05:18:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer