*~*TeRi DoLi UtHaNe AaYe HaIn*~*

by ghayal_shayar on April 11, 2006, 02:41:19 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1558 times)
ghayal_shayar
Guest
Reply with quote
ek baar fir se pesh hai ye nacheez ghayal aapki mehfil me.bas isi umeed me ki aapko humara ye kalaam v pasand aayega.

to pesh hai ek aur GHAYAL kalaam.............


tujhko teri wo yaaden lautane aaye hain,
khud ko jee bhar ke rulane aaye hain,
apne ishq ke is zanaze me,
hum teri doli uthane aaye hain.


tujhko paane ka ek intezaar hun,
apni laash ka khud mazaar hun.
tere nikaah ke is mehfil ki,
hum raunak badhane aaye hain.
apne ishq ke is zanaze me,
hum teri doli uthane aaye hain.


koi aur tujhe aaj paa raha tha,
main is duniya se jaa raha tha.
mere ishq ki jo hui maut,
hum uska jasn manane aaye hain.
apne ishq ke is zanaze me,
hum teri doli uthane aaye hain.


tujhme is kadar main rota raha,
raat bhar bas yunhi rota raha.
aaj ek baar fir se hum,
tumko,tumhi se churane aaye hain.
apne ishq ke is zanaze me,
hum teri doli uthane aaye hain.


dil churaya kyun agar todna hi tha,
apna banaya kyun agar chodna hi tha.
har shakhs ho jaye deewana,
aisa nazara hum dikhlane aaye hain.
apne ishq ke is zanaze me,
hum teri doli uthane aaye hain.


mujhe mat kaato eh yaad ki dhaaron,
mujh "ghayal" ko koi to sanwaro.
tujhe kisi aur ki baahon me dekh,
hum khud ko aaj jalane aaye hain.
apne ishq ke is zanaze me,
hum teri doli uthane aaye hain.


jab aaj tu kisi aur pe marti hai,
to mujhe kyun bekarar karti hai.
tujhko bhulane hi to,
hum aaj fir mehkhane aaye hain.
apne ishq ke is zanaze me,
hum teri doli uthane aaye hain.


aaj aashiqi ka farz nibhane aaye hain,
tujhe aakhiri baar ye chehra dikhane aaye hain.
apne ishq ke is zanaze me,
hum teri doli uthane aaye hain.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Doli teri by nishita in Shayri-E-Dard
Kya teri Adaayein Hain Kya Teri Jawaani hai.....! by sharmaarunkumar in Shayari -e- Husn
----- /// Tasveer Teri Banaate Hain Mitaate Hain /// ----- by ~Hriday~ in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
TERI GALI SE AAYE HAIN ..........................HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
Pooja
Guest
«Reply #1 on: April 11, 2006, 03:54:22 PM »
Reply with quote
bahoot khoob ghayal shayar ji!!!
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #2 on: April 12, 2006, 01:23:17 PM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
bahoot khoob ghayal shayar ji!!!



pooja ji bahut bahut shukriya inhe padhne ke liye.umeed hai aap aage v hume yunhi padhti rahengi.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: April 12, 2006, 04:10:54 PM »
Reply with quote
Kal maine bahoot jaladi mai padi thi apki yah najam, ajj do baar phir se padi… Kaya zazbaat hai.. apne bahoot hi acha likha hai … her line dil ko chu kar jaati hai… shayad lambi hone ki wajah se kam log hi pade… aggy se koshish kare ki app same lines repeat kam kare, taki sab apko pad sake!!!

Likhty rahiyega aor hum padty rahegy!!

Dil ka dard ajj sab bandhan tod gaya
Lo ho gaya yah deewana, aor sab kuch bol gaya
Marna tha bahoot asaan, par kaise mar jaata
Shayd ho kabhi tujko yah ahsaas, soch kar ruk jaata

Kabhi agar chaha tune, mujko kuch kahna
Rub na kare, kabhi tujko agar pad gaya yah sab sahna
Bas yahi soch kar, Ruk jaata hu
Lo ajj phir se mar kar bhi ,mai phir zinda ho jaata hu!!!
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #4 on: April 15, 2006, 03:49:25 PM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
Kal maine bahoot jaladi mai padi thi apki yah najam, ajj do baar phir se padi… Kaya zazbaat hai.. apne bahoot hi acha likha hai … her line dil ko chu kar jaati hai… shayad lambi hone ki wajah se kam log hi pade… aggy se koshish kare ki app same lines repeat kam kare, taki sab apko pad sake!!!

Likhty rahiyega aor hum padty rahegy!!

Dil ka dard ajj sab bandhan tod gaya
Lo ho gaya yah deewana, aor sab kuch bol gaya
Marna tha bahoot asaan, par kaise mar jaata
Shayd ho kabhi tujko yah ahsaas, soch kar ruk jaata

Kabhi agar chaha tune, mujko kuch kahna
Rub na kare, kabhi tujko agar pad gaya yah sab sahna
Bas yahi soch kar, Ruk jaata hu
Lo ajj phir se mar kar bhi ,mai phir zinda ho jaata hu!!!


pooja ji likha aapne v ahcha hai.

waise main aapki baaton se sehmat hun ki log badi rachna nahi padhte.par ek baat hai pooja ji.koi shayar shayad hi padhe jane aur replies poane ke liye likhta hai.main bas apne jazbaat likhta hun.ab jise padhna hai wo pade mujkhe ise koi interest nahi.masi bas ek ghayal hun jo apne ehsaasoh ko shbdon me pirone ki kosish karta hai.aapko agar pasand aaya humare liye yahi bahut hai.ab chahe log padhe ya nahi.bas guzarish hai ki aage v mauka mile to yunhi hume padhte rahiyega.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: April 16, 2006, 02:21:18 AM »
Reply with quote
Shukariyan. Koshish rahegi
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #6 on: April 20, 2006, 03:25:56 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya.
Logged
kamyayni
Guest
«Reply #7 on: April 30, 2006, 09:33:57 AM »
Reply with quote
Ghayal Ji
ye Hi nahi hai ye hai thandi haai jo dil se nikali hai!!
aap to sahi me kaabil-e-tareef hain.
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #8 on: April 30, 2006, 03:25:09 PM »
Reply with quote
shukriya aapka.jo aapne is nachhez ko kabil-e-tareef samjha.ye sab bas aapne dekhne ka nazariya hai.umeed hai ki aap aage v hume yunhi padhti rahengi.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: May 01, 2006, 06:55:44 AM »
Reply with quote
tujhme is kadar main rota raha,
raat bhar bas yunhi rota raha.
aaj ek baar fir se hum,
tumko,tumhi se churane aaye hain.
apne ishq ke is zanaze me,
hum teri doli uthane aaye hain.


dil churaya kyun agar todna hi tha,
apna banaya kyun agar chodna hi tha.
har shakhs ho jaye deewana,
aisa nazara hum dikhlane aaye hain.
apne ishq ke is zanaze me,
hum teri doli uthane aaye hain.


mujhe mat kaato eh yaad ki dhaaron,
mujh "ghayal" ko koi to sanwaro.
tujhe kisi aur ki baahon me dekh,
hum khud ko aaj jalane aaye hain.
apne ishq ke is zanaze me,
hum teri doli uthane aaye hain.


jab aaj tu kisi aur pe marti hai,
to mujhe kyun bekarar karti hai.
tujhko bhulane hi to,
hum aaj fir mehkhane aaye hain.
apne ishq ke is zanaze me,
hum teri doli uthane aaye hain.


bahut khub ghayal ji.............

kalam bada ya chotta ho is se achha padne wale ko koi fak nahi padta.....
main toh isko padte hue ismein puri tarah se dub gayi.........yahi acchi kavitaa ya nazm ki baat hai ki padne wala usko us mein gum ho kar pade.......

bahut sundar hai yah aur ismein chipee jajbaat ......

yun hi likhte  rahe

with best wishes

ranju
Logged
farooq_4_u
Guest
«Reply #10 on: May 02, 2006, 12:07:35 PM »
Reply with quote
wah ghayal :: wah ghayal

                  yar kamal kerdiyah ap nai sir jee kamal kerdiya   aj itnai dinoon baad aik bar phir dil main sar howa hai ...........
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 10:26:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer