~~Teri Meharbaaniyan~~

by majid on April 20, 2010, 06:39:27 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1161 times)
majid
Guest
Reply with quote
  Jab Se Hui Tujhsey Aey Sang Dil Mulaqaat Hai
Mat Puch Kis Qadar Uljhi Tabse Meri Hayaat Hai.

...............................................

Is Qadar Koi Teer  Sa Mere Dil  Ke Paar  Hua Hai
Jabsey Tera  Gairon Se  Irtibat Aey Yaar Hua Hai.
 
Koi Bhi  Mausam Raas  Aata Nahi Is Pagal Dil  Ko
Aey Sang Dil , Jabsey Yeh Tera  Bimaar Hua Hai.

Kuch  Yun  Uljha Rahi  Hain  Aajkal  Bechainiyan
Aur Jaise  Lehja  Lehja  Bas , Beqaraar  Hua Hai.
 
Jo Kabhi Karta  Tha Teri Chahton  Pe Naaz Bada
Aaj Wohi  Teri Jafaaon Se  Sharamsaar Hua Hai.
 
Bata Ye Teri Meharbaaniyan Nahi To Kya Hai, Ki
Bhari Dunya Men Koi,Tanhaai Ka Shikar Hua Hai.


Irtibat...Meljol


                 ~Shihab~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kya teri Adaayein Hain Kya Teri Jawaani hai.....! by sharmaarunkumar in Shayari -e- Husn
teri hi aas hai.. by shivani in Shayri for Khumar -e- Ishq
teri by tushar_4u_im in Shayri for Khumar -e- Ishq
TERI YAD by SHIBA KHAN in Shayri for Dard -e- Judai
wo teri..... by jaindost in Shayri for Dard -e- Judai
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #1 on: April 20, 2010, 07:03:12 PM »
Reply with quote
Bahut khoobsurat Ghazal likhi hai aapne... maine kaha tha ki mujhe aapki agli peshkash ka intezar rahega ... aur mujhe yakeen tha ki intzaar ka fal bahut meetha hoga aur wahi hua... Shihab ji aapne bahut hi sundar shabdon me dard ko kaagaz pe utaara hai... bahut khoob Shihab ji... bahut khoob...!!!
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: April 20, 2010, 08:05:13 PM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob Shihab ji,.heart touching and mindblowing creation.mujhe hamesha aapke poem ka intezaar raheta hai.keep up the good work. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #3 on: April 20, 2010, 08:32:34 PM »
Reply with quote
Waah shihab ji bahut hi khoob likha hai..dard ka bahut khubsurat roop pesh kiya hai apne...per smjh nhi aaya ki apne apne naam k baad laughing smily kyun add kar diya??
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #4 on: April 21, 2010, 09:54:12 AM »
Reply with quote
Shihab Bhai, hasb-e-mamool ek nayi takhleeq aapne pesh ki hai jo mujhe bahot pasand aai. Isme ye lines khas taur par achhi lagi:

Koi B Mausam Raas Aata Nahi Is Pagal Dil Ko
Aey Sang Dil Jabse Yeh Tera Bimaar Hua Hai.

Kuch Yun Uljha Rahi Hain Aajkal Bechainiyan
Aur Jaise Lehja Lehja Bas, Beqaraar Hua Hai.

Marhaba Shihab bhai. Khush Rahiye.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: April 21, 2010, 10:03:31 AM »
Reply with quote
Waah Waah Waah.....

Bahut Bahut Khoob Majid Bhai...

Kisi Bechain Aashiq Ka Kya Khoob Haal-e-Dil Bayaan Kiya Hai Aapne..

Har Ek sher Lajawab!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #6 on: April 22, 2010, 08:34:33 PM »
Reply with quote
Zahe Naseeb,
Badi Khushi Hui Jaankar Ki Aapne Pasand Farmaya
Mere Lafzon Pe To Nikhar Bas Aap Sabke Dekhne Se Hi Aata Hai.Khair
Bahut Bahut Shukariya Geet Sahiba Pasand Farmane Aur Himmat Afzaii Ke Liye
Aapka Tahe Dil Se Mashkur Hun Ki Aapne Apna Waqt Diya..Bahut Shukariya...

Aur Ji Main Khud Nahi Janta Yeh Kaise Add Ho Gaya
Khair Mafi Chahta Hun..Main Abhi Edit Kiye Deta Hun

Umeed Karta Hun Aage Bhi Yun Hi Inayat Banaye Rakhenge Aap..!


Khush Rahiye...


~Shihab~


Shukriya tou apke hai shihab ji jo apneitne pyare alfaz hamare beech share kiye...aap yu hi likhte rahiye aur hum apka likha yu hi pasand karte rahenge..aur shihab ji maafi ki koi zarurat nhi kabhi galti se ho jata hai...take cre...
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #7 on: April 22, 2010, 09:25:46 PM »
Reply with quote
  Jabse Hui Tujhse Aey Sang Dil Mulakaat Hai.
Mat Puch Kis Qadar Uljhi Tabse Meri Hayaat Hai.

...............................................

Is Qadar Koi Teer Sa Mere Dil Ke Paar Hua Hai
Jabse Tera Gairon Se Irtibat Aey Yaar Hua Hai.
 
Koi B Mausam Raas Aata Nahi Is Pagal Dil Ko
Aey Sang Dil Jabse Yeh Tera Bimaar Hua Hai.

Kuch Yun Uljha Rahi Hain Aajkal Bechainiyan
Aur Jaise Lehja Lehja Bas, Beqaraar Hua Hai.
 
Jo Kabhi Karta Tha Teri Chahton Pe Naaz Bada
Aaj Wohi Teri Jafaaon Se Sharamsaar Hua Hai.
 
Bata Ye Teri Meharbaaniyan Nahi To Kya Hai, Ki
Bhari Dunya Men Koi,Tanhaai Ka Shikar Hua Hai.


Irtibat...Meljol


                 ~Shihab~


Bohat khub Shihab ji...awesome amezing very touchy... Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #8 on: April 24, 2010, 06:07:58 PM »
Reply with quote
ur Welcome Banner
Logged
shabbir143
Guest
«Reply #9 on: September 24, 2010, 04:15:04 AM »
Reply with quote
Baapre Itna Saara Dard
Kisne Tod Diya Aakhir Tera Dil Is Qadar?
Waise Likha Bohat Hi Achha Hai Yaar

Khush Raho.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:24:35 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer