*Tum Badal Gaye*

by malli on June 02, 2012, 06:32:55 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 6525 times)
malli
Guest
Reply with quote
Saath jeene merne ki, sab kasam bhulakar
Tum badal gaye sanam, hum badal gaye
Chand taaron tale ek, shabbe-basal bitakar
Tum badal gaye sanam, hum badal gaye

Kwaabon tassavoor ka ek, aashiyana banakar
Tum badal gaye sanam, hum badal gaye
Muddat se bujhe huwe, chiragon ko jalakar
Tum badal gaye sanam, hum badal gaye

Sard raaton main ajnabi aashna banakar
Tum badal gaye sanam, hum badal gaye
Hamein apni zulfon ki, chav main sulakar
Sirhana aagosh ka banakar, tum badal gaye

Hum aasmaan ke, Khuda-sa banakar
Karke mera sijdha, tum badal gaye
Mere dilon-jaan per, haq-sa jamakar
Hamein barbadi nakara karke, tum badal gaye

Karke ruswa bhare bazar, hamein khaak main milakar
Tum muskraye toh, Hum Badal Gaye
Meri aukaad mere hii, muh per batakar
Hamein samaj aayee toh, hum badal gaye

Rahe-ishq main hum, chaino sukoon mitakar
Ladkada toh gaye lekin, phir sambal gaye
Fakat tumhi gunehgaar nahi, ishq main "Roja"
Gar tum badal gaye, toh Hum Bhi Badal Gaye..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
badal gaye...... by Namkeen in Shayeri for Dard -e- Bewafai
~~~badal gaye hain~~~ by tanha dil tanha safar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Badal gaye....................mann by mann.mann in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
waFaA ke dAstooR puRaaney baDal gaYe....... by laaiba in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Sitare badal gaye... ...Saavan by Saavan in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: June 03, 2012, 08:09:33 AM »
Reply with quote
bahut sunder
Logged
malli
Guest
«Reply #2 on: June 03, 2012, 03:57:17 PM »
Reply with quote
bahut sunder

Thanks saini sb
Logged
theyash
Guest
«Reply #3 on: June 03, 2012, 04:35:31 PM »
Reply with quote
bahut khoob malliji...
Logged
malli
Guest
«Reply #4 on: June 03, 2012, 04:53:39 PM »
Reply with quote
shukriya yash ji
Logged
Sahiba Zehra
Guest
«Reply #5 on: June 03, 2012, 05:19:15 PM »
Reply with quote
Good work
Logged
CIC
Guest
«Reply #6 on: June 03, 2012, 05:20:39 PM »
Reply with quote
Kriypya aap batayengi ki kis haq se iss shayari ko apne apna naam diya hai ? Kya aap ko sharam nahi aati kisi aur ki shayari ko apna naam dete hue, ooper se sabko thank you thank you keh rahi hain.
Bade dogle mizaj ki hain aap, shayar ki bhavnao ko thesh pohochana sahi nahi hota hai.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #7 on: June 03, 2012, 05:29:49 PM »
Reply with quote


bahut khoob yaar, bahut hi khoob ... wah ... wah ....



DEKHEY THEY JOH KHWAAB, SAB BADAL GAYE
TUM BADAL GAYE, HUM BADAL GAYE
HONEY THEY JOH BACHEY HAMAREY,
JANEY KIDHAR GAYE, JANEY KIDHAR GAYE ...

RAIT KEY SAMUNDAR MEH JAB HUM NIKAL GAYE
RAHUL AUR RIA, BACHOH KEY NAAM RAKHEY GAYE
HONEY THEY JOH BACHEY HAMAREY,
JANEY KIDHAR GAYE, JANEY KIDHAR GAYE ...

CHAMCHAMATI DUNIYA MEH, HUM FISAL GAYE
PAISA THA JAHA, HUM UDHAR GAYE ....
HONEY THEY JOH BACHEY HAMAREY,
JANEY KIDHAR GAYE, JANEY KIDHAR GAYE ....



(AREY sorry yaar ... just am in laughing mood, toh aap ki itni sunder poetry ki band baja di ... par i just don;t want to continue further .. coz so many laughing tots and panga words are coming to mind .. better i stop here ...
I hope you won;t mind .... still can't stop laughing on what i wrote and ...
sorry once again  yaar ...)





Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #8 on: June 03, 2012, 05:32:11 PM »
Reply with quote
Kriypya aap batayengi ki kis haq se iss shayari ko apne apna naam diya hai ? Kya aap ko sharam nahi aati kisi aur ki shayari ko apna naam dete hue, ooper se sabko thank you thank you keh rahi hain.
Bade dogle mizaj ki hain aap, shayar ki bhavnao ko thesh pohochana sahi nahi hota hai.


sir, can you please be more specific on this Huh?? .... whose poem is this ??
Logged
CIC
Guest
«Reply #9 on: June 03, 2012, 05:58:06 PM »
Reply with quote
Jasbir ji, pehle mujhe ROJA se jan na ki itna shayaroN ka apmaan karna kya sahi hai?
Pehle mujhe unka jawab janna hai
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: June 04, 2012, 04:53:06 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause  bahut bahut khoob ....!!!

wo waqt hi kuch aisa tha jo badal gaya
na badle hum hain, na hi badle tum ho
hawaa ka ek jhaunka tha jo badal gaya
na badle hum hain, na hi badle tum ho

wo pal jo kabhi hamaare the badal gaye
ehsaas jo kabhi tumhaare the badal gaye
badalne ko to ye zamaanaa badal gaya
na badle hum hain, na hi badle tum ho

meri un baaton ko kya tum bhool paaye ho
haseen mulaaquaaton ko kya bhool paaye ho
kehte ho tum ki hum badal gaye,  par
na badle hum hain, na hi badle tum ho

wo chiraag chaahat ke aaj bhi jal rahe hain
yaadon ke wo kaafile aaj bhi chal rahe hain
ek lamha tha jo guzar gaya, wo badal gaya
na badle hum hain, na hi badle tum ho

jin baahon ke gheron me kabhi rehte the tum
jin nigaahon ke chaaon me kabhi rehte the tum
mudke dekhlo ek baar wo baahen, nigahen wahi hain
aajaao, na badle hum hain, na hi badle tum ho

meri har dua me aaj bhi tum hi tum ho
meri dhadkano me ho, saanso me tum ho
badal gaya ho chaahe ye saara zamaana
na badle hum hain, na hi badle tum ho...

*****HRIDAY*****
Logged
CIC
Guest
«Reply #11 on: June 05, 2012, 05:46:04 AM »
Reply with quote
Bohot khoob aap kise keh rah hain, ye poetry ROJA  ne nahi likhi hai balki isse apna naam diya hai, ya ye kahen ki churayi hai.
Logged
malli
Guest
«Reply #12 on: June 05, 2012, 11:30:07 PM »
Reply with quote
Kriypya aap batayengi ki kis haq se iss shayari ko apne apna naam diya hai ? Kya aap ko sharam nahi aati kisi aur ki shayari ko apna naam dete hue, ooper se sabko thank you thank you keh rahi hain.
Bade dogle mizaj ki hain aap, shayar ki bhavnao ko thesh pohochana sahi nahi hota hai.

CIC... KITNA KHOOBSURAT SE AAPNE HAME ZALEEL KIYA HAI... WAISE HAQ HAME HAI ISLIYE SAB KO THANK YOU THANK YOU KEH RAHE HAI..

ONE MORE REQUEST ... PLZ KEHNA HAI TOH POLITE LANGUAGE MEIN COMMENT KARNA ISTARAH SHARAM NAHI AATI HAI KYA ETC.... NA LIKHE TOH ACCHA. HAAN MUJHE KOYI SHARAM NAHI AAYEE ISSE PESH KARNE MEIN... AUR KUCH?
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:37:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer