Tum ho main hun ab aur sirf hum nahi

by ParwaaZ on September 20, 2010, 08:29:49 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1754 times)
ParwaaZ
Guest
Reply with quote
Kaha tha jisne main beraham nahi
Kah do unse woh kisi se kam nahi

Kal tak jinhe khone ka dar tha hume
Chhod gaye wohi ab koyin gham nahi

Ajnabi sa rishta hai mohobbat ka
Kisi ka is jahaa.n mein sanam nahi

Khush hi khush hun main tanha hokar
Tum ho main hun ab aur sirf hum nahi

Achcha hua kuchh to be parda huaa
Tute khawaab ab koyin bharam nahi

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Sirf Tum hi Nahi ho ... by NewYorker in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 10 11 »
sirf main aur tum .......!!! by ranjana in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4 5 »
Haan sirf main by ~Hriday~ in Shayri-E-Dard
<>*wo sirf main hun*<> by *KasaK*....Dil Ki in Shayari -e- Husn
***main hu sirf tera hi diwana***,,,,,,,,,,,,,Tanowar by Tanowar Jahan in Miscellaneous Shayri
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #1 on: September 20, 2010, 09:06:59 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut bahut khoob likha hai aapne Parwaaz ji... bahut hi umda ...!!!
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #2 on: September 20, 2010, 09:42:58 PM »
Reply with quote
Wah wah wah Parwaaz-bhai...bahut khoob likha hai aapne...Dil se daad kabool farmaaiye.... Applause Clapping Smiley Applause Clapping Smiley Applause Clapping Smiley

Ek arz he janaab.....Ch  aur Chh k bhed ko samajhiye...
CHOR (THIEF)...CHHOD Gaya.(left me)

Kaha tha jisne main beraham nahi
Kah do unse woh kisi se kam nahi

Kal tak jinhe khone ka dar tha hume
Chor(chhod) gaye wohi ab koyin gham nahi

Ajnabi sa rishta hai mohobbat ka
Kisi ka is jahaa.n mein sanam nahi

Khush hi khush hun main tanha hokar
Tum ho main hun ab aur sirf hum nahi

Achcha hua kuchh to be parda huaa
Tute khawaab ab koyin bharam nahi


Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: September 20, 2010, 09:52:27 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut bahut khoob likha hai aapne Parwaaz ji... bahut hi umda ...!!!


Thanks Kalaskar jee......

Thanks for nice compliment..... Usual Smile
Aage bhi apna saat dete rahiye.....

Khush rahiye.......
Khuda Hafez..... Usual Smile    

Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: September 20, 2010, 09:58:55 PM »
Reply with quote
Wah wah wah Parwaaz-bhai...bahut khoob likha hai aapne...Dil se daad kabool farmaaiye.... Applause Clapping Smiley Applause Clapping Smiley Applause Clapping Smiley

Ek arz he janaab.....Ch  aur Chh k bhed ko samajhiye...
CHOR (THIEF)...CHHOD Gaya.(left me)


Jee Anaam Sahab Aadaab!

Aapki pazi rai aur kalaam ki pasandeedgi ki liye bahut
bahut shukriyaa janab... Usual Smile

Jee aapne sahiN kaha hum aapki baat se ittefak rakhte hai
But actualy woh kia hai naa hum pahele jis site per likhate
the... wahaaN yeH words nahi aate us jagaah stars aa jate the isliye hume aise likhane ki aadat ho gayi hai....

Thank u aapne bata diyaa hume aage se khayaal rakheNge.. Usual Smile

And thanks again for nice compliment...
aage bhi saath banaye rakhiye...
Khush rahiye....
Khuda Hafez.... Usual Smile     

Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #5 on: September 20, 2010, 10:03:27 PM »
Reply with quote
Janaab Parwaaz Saheb Aadab
Umeed Karta Hun Aap Khairiyat Se Honge?
Aur Janaab Kya Kahun Samajh Nahi Aa Raha.
Bas Aisa Lag Raha Hai Jaise Anjaane Mein Aapne
Humaare Hi Dil Ki Baat Likhdi Hai...
Hume Aapki Yeh Peshkash Behad Pasand Aayi
Aagaz Se Anjaam Tak Bas Behtareen...
Waqai Mein Aajto Aapne Dilka Bojh Hi Kam Kar Diya
Bahut Bahut Aur Bahut Hi Khub....

Hazaron Dili Dad Janaab Kabul Farmaaye...!

ALLAH Pak Aapko Khush Rakhe...


~Shihab~



Janab Shihab Sahab Aadaab!

Jee hum khairiyat se hai ummid hai aap bhi hoNge.. Usual Smile
Jee aapki is khubsurat daad ka bahut bahut shukriyaa
janab.... Aaj kuch gile shikwe nikle dil se unhe
Lafzon meiN dhaal liya humne...

Chaliye achcha hai humari is kalaam ne hume khud ko
jo rahaat dii hai shayad aapko bhi deN.. Usual Smile
Kuch halaat aise ho jate hai sach meiN .. sad5

Khair aapki aamad ka aur daad ka bahut bahut shukriyaa aapki dili daad dil se kabool ki janab..

aage bhi apna saath banaye rakhiye...
Khush o aabaad rahiye....
Khuda Hafez...... Usual Smile    

Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #6 on: September 20, 2010, 10:26:22 PM »
Reply with quote
Bahut Shukariya Janaab,Ji ALLAH Ke Fazal O Karam Se
Hum Bhi Ek Dam Mast Hai Janaab.
Aur Ajib Baat Hai Janaab Hum Bhi Kuch Aise Hi
Daur Se Guzar Rahe Hain Par Hum Aapki Tarah
Haal e Dil Ko Lafzon Mein Na Piro Sake Jabki Koshish Ki Thi
Par Aapke Kya Kehne Jawaab Nahi Aapke...Khair
Bahut Shukariya.Khushi Hui Aapse Baat Karke Aur
Aapke Kalaam Ko Parhke....

Khush Rahiye...

~Shihab~


Janab Aapki khairiyat jaankar khushi huyi..
Allah aapko humesha khush rakheN... aabaad rakheN..

Haan Janab Shayad yeH har aashique ki taqdeer ki lakeer hai
jo dard ki shikane dil se lekar peshani tak aa jati hai unke dikh jaane ke bad.. sad5

Janab aap isse bhi behtar likhate hai.. aap koshish kariye,
Kuch aapke khayaal bhi hume padhne mile... achcha lageNga hume.. phir hum is topic per dher sari guftagu kar leNge.. Tabadla e khayaal ke zariye... tongue3

Hume bhi bahut khushi huyi aapse baat karke aaj waqai behad sady mood tha humara abhi ekdum fresh ho gaya hai Usual Smile
Allah aapko khush rakheN...
Khuda Hafez...Usual Smile     

Logged
neelgold
Guest
«Reply #7 on: September 20, 2010, 10:38:13 PM »
Reply with quote
Parwaaz ji Kis se gile shikve ho gyae aapko
Khush rehiye hum to yehi chate hai par apki yeh kavita main bhut hi gehra dard chipa hai .....
Lagta hai koi tuff time chal reha hai ya ap behad udas ho ...

Janab khush rehiye ...

Bhut hi khoob kaha hai apne apne dard ko jo words main dhala hai

Aur kya kehe sad5 hum bi udas ho gaye
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #8 on: September 20, 2010, 11:01:21 PM »
Reply with quote
hmhm Bahut Shukariya Janaab Duao,n Ke Liye
Aur Hum Itne Khush Nasheeb Nahi Hain Ki Kisi Ke
Aashiq Kehla Saken...hair Kya Kahun Ab
Bas Yeh To Aapki Sada Dili Hai Jo Aap
Mujh Jaise Na Samajh Ko Is Qadar Izzaten Baksh Rakhe Hain
Khair Jarur Koshish Karenge Janaab Kuch Bana To
Aapki Nazar Karenge Insha ALLAH...

Aap Bhi Khush Rahiye...

Apna Aur Apno Ka Khayal Rakhiye...

ALLAH Hafiz...


~Shihab~


Janab yeH to aapki faraakh dili hai jo aap hume itne izzat bakhsh raheN hai.... Jee shayad hum galat kah gaye... mazarrat chahte hai... jo aapko aashique ka rutba de diyaa... Khair..

Likhaiye aap koshish kariye, ummid hai kuch umdaa ashaar aapki kalam se nikleNge...

Chaliye baki is par guftagu aapki us kalam par kareNge...
Khush O aabaad rahiye...
khuda Hafez.... Usual Smile         

Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #9 on: September 20, 2010, 11:09:28 PM »
Reply with quote
Parwaaz ji Kis se gile shikve ho gyae aapko
Khush rehiye hum to yehi chate hai par apki yeh kavita main bhut hi gehra dard chipa hai .....
Lagta hai koi tuff time chal reha hai ya ap behad udas ho ...

Janab khush rehiye ...

Bhut hi khoob kaha hai apne apne dard ko jo words main dhala hai

Aur kya kehe sad5 hum bi udas ho gaye

Neel Jee Aadaab!

Jee yeH to bus aisi hi baateN hai... Zindagi ke safar meiN utar chadhav aate hi rahte hai... haaN mayoosi thi so kuch aisa likh diya humne.... Khushi hui jaan kar aapko achcha laga...

Ishq mohobbat pyaar ki baateN
Gile shikwe sab bekaar ki baateN



Aati rahiye......
Khush rahiye.....
Khuda Hafez.... Usual Smile         

Logged
Anshumali
Guest
«Reply #10 on: September 21, 2010, 12:59:53 AM »
Reply with quote
Kal tak jinhe khone ka dar tha hume
Chor gaye wohi ab koyin gham nahi

Ajnabi sa rishta hai mohobbat ka
Kisi ka is jahaa.n mein sanam nahi


Its Too Good ... Parwaaz Sahab !

bahut khoob rahe sabhi ashaar ke ehsaas ....very nice creation ... dil se daad hazir hai ... likhte rahen aage bhi ... khush rahen ....

duaaon ke saath....

Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #11 on: September 21, 2010, 01:31:34 AM »
Reply with quote
parwz bahut khoob ,kamaal kar diya
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
likhte rahiye.

Logged
cara
Guest
«Reply #12 on: September 21, 2010, 02:14:24 AM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI       PARWAAZ JI.....


MAIN HUN TUM HO PAR EK SAATH HUM NAHI
KABHI HOTI THEE KAMI PAR AB GUM NAHI...
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #13 on: September 21, 2010, 07:00:31 PM »
Reply with quote
Kal tak jinhe khone ka dar tha hume
Chor gaye wohi ab koyin gham nahi

Ajnabi sa rishta hai mohobbat ka
Kisi ka is jahaa.n mein sanam nahi


Its Too Good ... Parwaaz Sahab !

bahut khoob rahe sabhi ashaar ke ehsaas ....very nice creation ... dil se daad hazir hai ... likhte rahen aage bhi ... khush rahen ....

duaaon ke saath....



Naresh Jee aadaab... Usual Smile

Bahut bahut shukriyaa Naresh jee ...
Kalaam ki pasandeedgi aur housla afzai ke tahe dil se
mashkoor o mamnoon hai....

Aate rahiye....
Khush o aabaad rahiye...
Khuda Hafez.... Usual Smile         

Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #14 on: September 30, 2010, 04:57:20 PM »
Reply with quote
parwz bahut khoob ,kamaal kar diya
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
likhte rahiye.



Thanks Suresh Jee........

Keep visiting....
Keep smiling.......Usual Smile         

Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:32:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer