Tumhain Yaad Hai

by javedarshad on December 30, 2006, 08:49:52 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1321 times)
javedarshad
Guest
Reply with quote
Tumhain yaad hai

Woh AAbshaar ke saiye tale
Sulagte badan ki hiddat main
Unginnat bahekti sansoon ko
Tumne apni sansoon main basaya tha

Tumhain yaad hai
Woh sardi ki thutharti ratoon main
Subh ke gahre kohre ke saaun main
Yakh teez tund burfani hawaaun main
Mere jism ki hararat se
apne jism ko garmaya tha

Tmhain yaad hai
Barsaat ki halki halki phuwar main
Kabhi mausladhar barish main
Kabhi un mahekti suundhi fazaaun main
Woh uumas bhari garmi ki shiddat main
Mere bheege thande  tan se
Apne sulagte tan ko thandak pauhnchayee thee

Tumhain yaad hai
Tumne kaha thaa ke yeh lamhaat
Meri zindagi ka hasil hain
Yeh zindagi tumhare bin aadhuri hai
Tumhare bin mere wajood ka koi wajood nahin
 
Ab tum  mujhse
Hazaroon meel door ufaq ke us par
Apne thande garam bister per
Kisi kee zulfoon ke aseer bane
Duniyan ki rangeeniun main khoye ho

Ab tum hi batau
In bahekti sasoon ki khushboo
Kis ki sansoon main basaun
Dahekte jism ki hararat ko
Kis aabshaar main duboo duun
Apne wajood se tera wajood kaise banaun

Ab tum hi batau
Tum tak mere aawaz hi nahin paahunchti
Yeh sab kaise yaad dilaaun
Tumhari yaadoon ko kaise bhulaun
Tumhain kaise bhool paaun

Apne in aansooun ko
kahan jazb karoon kaise  chuupaaun
Logged
Talat
Guest
«Reply #1 on: December 30, 2006, 11:31:55 PM »
Reply with quote
Javed, humesha ki tarah bohot khoobsurat.....aur ek nayapan liye...!!

Since the poem is on the theme of bewafai, i am moving the post to Shayari-e-Dard-e-bewafai section.

Talat
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #2 on: December 31, 2006, 12:26:34 AM »
Reply with quote
thanks  Talat
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #3 on: October 05, 2009, 04:52:56 AM »
Reply with quote
Wah bahut khoob,very touching and mindblowing creation Javed ji.excellent icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #4 on: October 05, 2009, 12:24:02 PM »
Reply with quote
tx


Madhu ji



javed
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #5 on: October 05, 2009, 12:35:13 PM »
Reply with quote
bahut hi unda peshkash

Applause Applause Applause
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #6 on: March 19, 2010, 06:47:29 AM »
Reply with quote
Bahut achi peshkash hai Javed Ji
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #7 on: March 22, 2010, 11:26:18 AM »
Reply with quote
Tumhain yaad hai

Woh AAbshaar ke saiye tale
Sulagte badan ki hiddat main
Unginnat bahekti sansoon ko
Tumne apni sansoon main basaya tha

Tumhain yaad hai
Woh sardi ki thutharti ratoon main
Subh ke gahre kohre ke saaun main
Yakh teez tund burfani hawaaun main
Mere jism ki hararat se
apne jism ko garmaya tha

Tmhain yaad hai
Barsaat ki halki halki phuwar main
Kabhi mausladhar barish main
Kabhi un mahekti suundhi fazaaun main
Woh uumas bhari garmi ki shiddat main
Mere bheege thande  tan se
Apne sulagte tan ko thandak pauhnchayee thee

Tumhain yaad hai
Tumne kaha thaa ke yeh lamhaat
Meri zindagi ka hasil hain
Yeh zindagi tumhare bin aadhuri hai
Tumhare bin mere wajood ka koi wajood nahin
 
Ab tum  mujhse
Hazaroon meel door ufaq ke us par
Apne thande garam bister per
Kisi kee zulfoon ke aseer bane
Duniyan ki rangeeniun main khoye ho

Ab tum hi batau
In bahekti sasoon ki khushboo
Kis ki sansoon main basaun
Dahekte jism ki hararat ko
Kis aabshaar main duboo duun
Apne wajood se tera wajood kaise banaun

Ab tum hi batau
Tum tak mere aawaz hi nahin paahunchti
Yeh sab kaise yaad dilaaun
Tumhari yaadoon ko kaise bhulaun
Tumhain kaise bhool paaun

Apne in aansooun ko
kahan jazb karoon kaise  chuupaaun
Aik achhoote andaaz ki tahreer. Wah wah wah padhkar maza aa gaya.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 03:29:50 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer