Ungliyaan..!

by nishita on January 02, 2005, 07:46:53 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2610 times)
nishita
Guest
«Reply #15 on: January 07, 2005, 10:36:37 AM »
Reply with quote
Humne to mohabbat me koi gila na kiya
lekin unhone humari mohabbat ka koi sila na diya
humne maange bina sab kuch de diya
unhone hume kuch maangne ka mauka bhi nahi diya
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
UNGLIYAAN AJJ BHI by ibneadam1509 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ungliyaan.....(Madanpal) by sajid_ghayel in Shayri for Khumar -e- Ishq
Meena
Guest
«Reply #16 on: January 07, 2005, 11:51:48 AM »
Reply with quote
wahhhhhhhhhhh nishu!!!

 :D
Logged
Talat
Guest
«Reply #17 on: January 07, 2005, 01:29:07 PM »
Reply with quote
Very Nice Nishi!! happy9

kuch log sitam karne ko tayyar baithe hain
kuch log magar hum pe dil haar baithe hain
is kashm-a-kash main hum se pehchaane nahin jaate
kahan dushman hain aur kahan dost yaar baithe hain
kaun kehta hai ke is shahar main saare hain bewafa
humare saamne do chaar wafadaar baithe hain
kal tak jin ki hasrat thi humain badnaam karne ki
aaj wohi log apne kiye pe sharmsaar baithe hain
duniya se rooth jaane ki khwahish hai hamaari
kya karain ke is khwahish pe pahredaar baithe hain  (NM)
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #18 on: January 08, 2005, 10:15:52 AM »
Reply with quote
GOOD TALAT N NISHI ....

Kïtñäÿ Ðïñ ßëët Gäïë Häïñ


Kitnay din beet gayay hain daikho to sahi
kitnay chiraagh bujhe gayay hain daikho to sahi

Mausam bahar ka phir tanhaa guzar geya
khizaan ek bar phir agaie hai daikho to sahi

Kitni chahat say likhta tah mai naam tumhara
wo qalam hi tordth dia hai zara daikho to sahi

Itni asaani say to milti nahi nafrat bhi laykin
tum nay hasil shuda piyar thukradia daikho to sahi

Anchal mai apnay chupayay thaie motee bohat
ab k zabte tutnay say saylaab ravan hai daikho to sahi

Ana rokti hai mujhay har bar jhuknay say magar
kitni bar tumnay jhukhaya hai daikho to sahi
Logged
nishita
Guest
«Reply #19 on: January 10, 2005, 09:06:35 AM »
Reply with quote
thks meena ..gud one talat n saddi

Ashq mile to pe lete hai
Apne gum ko bhi see lete hai
aap kahe to mar jaye hum
aap kahe to jee lete hai
Hum to un phoolon ki tarah hai
jo kanton me bhi jee lete hai

nm
Logged
smile_deep1
Guest
«Reply #20 on: January 10, 2005, 09:10:15 AM »
Reply with quote
phool aur kanto ki jugalbandi bahut purani hain,
jis tarah hasti ankhon  main bhi atta pani hain...
Logged
Tosha
Guest
«Reply #21 on: January 10, 2005, 06:45:40 PM »
Reply with quote
wow..!!!
wah ji wah!!! bahut khoob!!!!
bahut bariya
Logged
nishita
Guest
«Reply #22 on: January 11, 2005, 10:48:34 AM »
Reply with quote
waah deep Usual Smile .. thank u tosha Usual Smile
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #23 on: January 12, 2005, 09:51:58 AM »
Reply with quote
nishi n deep good written Usual Smile


Aaj bhi intezaar hai tera ain aankhon main
Aaj bhi pyaar hai mujhe teri un baaton se…
Dhundhla sa hi sahi…
Par aaj bhi aitbaar hai mujhe tere un wadon pe
Tanhaai main dhoondhti hoon aksar…
Teri hi tasweer ke tookre….
Joor ke rakhti hoon zindgi ke panno ko….
Jo chood gaye the tum zameen par hi pade…

Samet kar rakha hai maine har woh lamha…
Aaj bhi yaad karti hoon tumhare wade…
Jab hoti hoon tanha bahut
Nahi bikharna chahati hoon main ab aur….
Teri in yaadon main…
Samet le mujhe…e-jaane wale….
Bhar le mujhe apni bahon main
Jood de mere toote hoye sapno ko phir se…
Bhar de un main rang apne hi ain hathon se…
Dila de mujhe mera bharosa aaj phir
Tere un wadon pe Sadii..!!!
Logged
nishita
Guest
«Reply #24 on: January 12, 2005, 05:54:12 PM »
Reply with quote
wow sadiii kya baat hai.. Usual Smile
Logged
amit_is_always_cool
Guest
«Reply #25 on: January 13, 2005, 07:32:14 AM »
Reply with quote
"aakhon pe aasu ki lakir ban gayi
kabhi na socha tha aisi takdir ban gayi
hume to phairee thi yunhi ret pe ungliyaa
gaur se dekha to teri tasveer ban gayi.


*EDITED
By yoindia moderators..
Comment : Pls mention Not mine if its not ur creation
Logged
nishita
Guest
«Reply #26 on: January 13, 2005, 12:08:40 PM »
Reply with quote
Meri Nazar Mein Woh Khudd Faqeer Hote Hain
Jo Tang LafzoN Ke Safeer Hote Hain..


Jo Ghulami MeiN KareiN Farqq Zillat Ka
Zulm Ke Samne Woh Benazir Hote HaiN..


MeiN Jabb Bhi Junoon-e-Ishq Se LarDta HooN
Dast-Ba-Dast Mujh Se Ranjha Wa Heer Hote HaiN..

nm
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #27 on: January 14, 2005, 02:18:40 PM »
Reply with quote
nishi n amit...good

thnkx nishi Usual Smile
Logged
nishita
Guest
«Reply #28 on: January 17, 2005, 11:14:17 AM »
Reply with quote
jis raat maine tumhain chua tha
woh raat kho gayi
kon kehta hai ki koi zinda hai yahaan
jis raat chod kar gayi thin tum mujhe
us raat meri maut ho gayi

nm
Logged
nishita
Guest
«Reply #29 on: February 02, 2005, 01:09:34 PM »
Reply with quote
Bewafaa hote hain jo loog Dagha dete hain
hum tow dushman ko bhi e dost dua dete hain

Koun aye ga meri pyas bujhane k lye
jane kia soch k sehra mein sada dete hain

Umar bhar saath nibhane ka jis se wada karain
ik pal me hi usse dilse bhula dete hain

mere dushman se woh karte hain batein hans kar
Iss tarha woh mujhe jeene ki saza dete hain

Iss se ziada bhi kia ho g muhabbat tujhse
dard ko bhi tere hum dil me jagha dete hain

nm
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:22:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer