Unke chahne wale ki aaj ye aakhri raat hai

by Satya.patel on December 18, 2008, 12:21:53 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2591 times)
Satya.patel
Guest
Reply with quote
Jaane kaisa ye mazaak mujhse khuda kar raha hai
Mere zakhmon par hansne ki khata kar raha hai
"Satya" kuch toh gunaah kiya hoga tune kabhi
Tera rehnuma teri ruksati ki dua kar raha hai

Jinki mohabbat ki khatair dil dhadakta tha
Meri zindagi jinki mohabbat ki mohtaaj hai
Keh do unhe wo meri maut ki aur dua na karein
Unke chahne wale ki aaj ye aakhri raat hai

Jo pooche zamana kabhi, mera kalaam-e-mohabbat
Keh dena aur ek diljala khud ko kurbaan kar baitha
De toh di jaan uski chaukhat pe sir patak patak kar
Aur poore shahar ko "Satya" kabristaan kar baitha

Aakhri baar aaj sajde mein tere sir jhukata hai
Ae takdeer tere saamne "Satya" haath failata hai
Mere jaane ke baad bhi unhe mohabbat ki koi kami na ho
Mere mehboob ki aankhon mein dekhna kabhi nami na ho

Meri mohaabat ka unhe andaaz hua hi nahin kabhi
Unki bewafaiyo par bhi main naraaz hua hi nahin kabhi
Unki berukhi ki jeet nahin, ye mere ishq ki haar hai
"Satya" ki nahin doston ye mohabbat ki majaar hai

Mehendi jo unhone laga li kisi aur ke naam ki
Laayi meri maut ka paigaam unki baraat hai
Ke keh do unhe wo meri maut ki aur dua na karein
Unke chahne wale ki aaj ye aakhri raat hai
Unke chahne wale ki aaj ye aakhri raat hai...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tere chahne wale by jochahohojayein in Shayri for Dard -e- Judai
Tumhare Chahne wale by neerajgoswamy in Ghazals
TERE CHAHNE WALE... by Farah Aziz in Shayri for Khumar -e- Ishq
chahne wale nahi honge ,,,,,,,,sunil by sunildehgawani in Shayri for Khumar -e- Ishq
dilon ko jo bahlaye ayse chahne wale nhi aate hai by Asif samani jaunpuri in Shairi for Manzar -e- Kudrat
cara
Guest
«Reply #1 on: December 18, 2008, 01:35:48 PM »
Reply with quote
wah satya patelji bhut khoob kayi.

hari jung tuhne apne mohabat ki
aur jeeta bi tera mehboob hai.
fir bi dua de rahahey use ,
yahi toh terasacha pyar hai.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #2 on: December 18, 2008, 05:00:04 PM »
Reply with quote
Wah Satya Ji Kamaal ka likha hai
Logged
Satya.patel
Guest
«Reply #3 on: December 18, 2008, 05:13:11 PM »
Reply with quote
houshla afzaiye ke liye shukriya cara & rajesh ji........
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #4 on: December 18, 2008, 05:25:38 PM »
Reply with quote
houshla afzaiye ke liye shukriya cara & rajesh ji........
U R most welcome Satya Ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:43:50 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.084 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer