wadaa jo mohobbat mei nibhaya na gaya

by kaushikbhawna008 on April 28, 2008, 08:40:17 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1177 times)
kaushikbhawna008
Guest
Reply with quote
ret par likha jo kabhi naam wo sagar mei beh gaya
khwabo mei jo banaya tha kabhi armano ka mehal
khuli jo aankh ek pal mei hi tut gaya

mana tha jise kabhi apna wo nikla harjayi
todkar mera dil wo muskura kar chala gaya

kar na sake ham to koi b gila unse
wo ek umra jo hamein tadapne k liye de gaya

raha dil me mere pyaar bachpan ka ab tak maujood
par wo beraham dekar apni kasam sab kuch bhul jaane ko keh gaya

hui hai hamse ek khata jo unka pyaar unki yaadon ko dil se bhula na sake
bas yahi ek wadaa hai jo mohobbat mei hamse nibhaya na gaya
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kiyaa Thaa wadaa....! by sharmaarunkumar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Jinse Risht Nibhaya... by daljeet_faqeer in Shayeri for Dard -e- Bewafai
chhu gaya mohobbat mujhe bhi by Imdad in Shayri for Khumar -e- Ishq
bas yehi wadaa hai mera by jeet jainam in Miscellaneous Shayri
YE WADAA KARLO....JYUTHIKA.. by jyuthika in Shayri for Khumar -e- Ishq
harashmahajan
Guest
«Reply #1 on: April 28, 2008, 09:08:11 AM »
Reply with quote


ret par likha jo kabhi naam wo sagar mei beh gaya
khwabo mei jo banaya tha kabhi armano ka mehal
khuli jo aankh ek pal mei hi tut gaya

mana tha jise kabhi apna wo nikla harjayi
todkar mera dil wo muskura kar chala gaya

kar na sake ham to koi b gila unse
wo ek umra jo hamein tadapne k liye de gaya

raha dil me mere pyaar bachpan ka ab tak maujood
par wo beraham dekar apni kasam sab kuch bhul jaane ko keh gaya

hui hai hamse ek khata jo unka pyaar unki yaadon ko dil se bhula na sake
bas yahi ek wadaa hai jo mohobbat mei hamse nibhaya na gaya


KhwaboN ka aisa kabhi mahal na banaya keejiye
Dheh jaaye jo kabhi armaan na batayaa keejiye

Jitna bana tha saath woh nibha ker chala gaya
Ab tum unki yaad maiN ashq na bahaya keejiye

tum KyuN kero Gila unki be-wazeh judaayii ka
Yun hi apni bechainiyaa ab na badaya keejiye

Bachhpan ke apne pyaar ki kab tak duhayi doge tum
Woh toh ik chhalva tha ab na sunaya keejiye



Harash
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #2 on: April 28, 2008, 09:18:15 AM »
Reply with quote
shukriya harsh ji jo aapne is kalaam ko padha aur uska jawab diya

na karein unko yaad to bhala kya karein
ab to ashko ka hi hai saath to kya karein
nahi hai umeed ki wo lautkar kabhi fir aayegaa
par rehe jo in nigahon ko uska intzaar to kya karein
Logged
punam
Guest
«Reply #3 on: April 28, 2008, 09:26:00 AM »
Reply with quote
Bahot kaushikbhawana ji...and hamesha ki tarah nice reply from u Harsh ji...
Logged
jianrangrej
Guest
«Reply #4 on: April 28, 2008, 09:32:16 AM »
Reply with quote
kyaa kahe bezubaan hai lafz mere aap dono ke qalaam par...
nice quote and and nice reply..

Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #5 on: April 28, 2008, 09:34:26 AM »
Reply with quote
Bhawna wrote:-
Quote
shukriya harsh ji jo aapne is kalaam ko padha aur uska jawab diya

na karein unko yaad to bhala kya karein
ab to ashko ka hi hai saath to kya karein
nahi hai umeed ki wo lautkar kabhi fir aayegaa
par rehe jo in nigahon ko uska intzaar to kya karein

Shukriyaa bhawna.....


Gar kareeb rehker bhi woh jaan na paye
Aaj tak woh tumeh pehchaan na paye
lage khud hibana li haiN usne dooriyaaN
taake unpe koi iljaam na aaye.


harash
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #6 on: April 28, 2008, 09:36:14 AM »
Reply with quote
Shukriyaa^h punam.....

harash



Bahot kaushikbhawana ji...and hamesha ki tarah nice reply from u Harsh ji...
Logged
syednaami
Guest
«Reply #7 on: April 28, 2008, 10:37:54 AM »
Reply with quote
Wah Wah, khoob likha hai afsaana-e-muhabbat,
humen pasand aaya aapka andaaz.

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 06:53:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.092 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer