Wo shaKhs ek shaam meN kitnaa badal gayaa

by abhiraaj22 on July 22, 2014, 01:17:00 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 762 times)
abhiraaj22
Aghaaz ae Shayar
*

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
1 days, 21 hours and 34 minutes.
Posts: 48
Member Since: Jan 2014


View Profile
Reply with quote
aaNkhoN kaa rang, baaton kaa lahjaa(tone) badal gayaa
Wo shaKhs ek shaam meN kitnaa badal gayaa !

kuch din to mere saath rahaa wo shaKhs
phir yuN huaa ke uska chehraa badal gayaa

jab apne apne haal pe hum tum na rah sake
to kyaa huaa jo hamse zamaanaa badal gayaa

qadmoN tale jo ret bichii thii wo chal pari
us ne churaayaa haath to dostana  badal gayaa

koii bhii chiiz apnii jagah par nahiiN rahii
jaate hi ek shaKhs ke, kyaa kyaa badal gayaa !

ek sar-khushii kii mauj ne kaisaa kiyaa kamaal
Wo be-niyaaz, saare kaa saaraa badal gayaa

uTh  kar chalaa gayaa koii vaqfe ke darmiyaaN
pardaa uThThaa to saaraa tamaashaa badal gayaa

hairat se saare lafz use dekhte rahe
baatoN meN apnii baat ko kaisaa badal gayaa

kahne ko ek zehn meN diivaar hii banii
ghar kii fizaa, makaaN kaa naqshaa badal gayaa

shaayed dosti ke khel se ubb sa gayaa thaa wo
manzil ke paas aa ke jo rastaa badal gayaa

qaayem kisii bhii haal pe duniyaa nahiiN rahii
taabiir kho gayii, kabhii sapnaa badal gayaa

manzar kaa rang asl meN saayaa thaa rang kaa
jis ne use jidhar se bhii dekhaa badal gayaa

andar ke mausamoN kii Khabar us kii ho gayii
us nau-bahaar-e-naaz kaa chehraa badal gayaa

aaNkhoN meN jitne ashq the jugnuu se ban gaye
vo muskuraayaa aur merii duniyaa badal gayaa

apnii galii meN apnaa hii ghar dhhuNdhtee haiN log
"A***y"ye kaun sa hai shahar jaha har shKahs ka chehra badal gayaa
Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011


View Profile
«Reply #1 on: July 22, 2014, 01:37:24 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause

khub.....
Logged
Saavan
Guest
«Reply #2 on: July 22, 2014, 04:48:35 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping SmileyBahut achhe...
Logged
abhiraaj22
Aghaaz ae Shayar
*

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
1 days, 21 hours and 34 minutes.
Posts: 48
Member Since: Jan 2014


View Profile
«Reply #3 on: July 22, 2014, 05:03:06 PM »
Reply with quote
Aaplogon ka bahut bahut shukriya......
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #4 on: July 23, 2014, 02:22:43 AM »
Reply with quote
bhot acha likha hai
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #5 on: July 23, 2014, 09:22:03 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob.
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #6 on: August 10, 2014, 08:59:05 AM »
Reply with quote
dil ki bhawnao ko bakhoobi sameta hai aapne alfaazon mein....padh kar lgaa jaise dil ka saara dard ek hi saans mein likh diya gya ho.....bahut khoob
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:37:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer