Woh ham ko bhool hi gaye hain! Kyoun? Patah naheen!

by abdbundeli on July 27, 2009, 06:51:54 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2835 times)
Roja
Guest
«Reply #15 on: August 04, 2009, 05:27:10 PM »
Reply with quote
Wo jaantaa nahin hai, ki, yeh nisbateyn hain kyaa?
Hotey hain khaak jal key shama'a bhi mazaar par?
Meyree mazaar-e-dil pai kisee kee nazar to hai!
Taktaa hun raah, kaash, wo aaye mazaar par?

                            - abd bundeli
 
Yu toh afsos hai is dil mein magar aah
Vo dil hi kya jis dil mein Mohabbat ka ghar nahi?

Bharti nahi hu aah koyi khaak na ho jaye
Aur unko veham hai ki aah mein asar nahi  Usual Smile
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #16 on: August 08, 2009, 01:10:54 PM »
Reply with quote

Yu toh afsos hai is dil mein magar aah
Vo dil hi kya jis dil mein Mohabbat ka ghar nahi?

Bharti nahi hu aah koyi khaak na ho jaye
Aur unko veham hai ki aah mein asar nahi  Usual Smile




Khaak ho jaayengey baad-e-bahaar sey hee ham;
Aaye baad-e-samoom bhi, to, wahee honaa hai!
Khaak honaa hai hamain un kee nigaahoun key taley;
Khaar hon, sang yaa ki gul; hamain to sonaa hai!!

                                 - abd bundeli

Logged
Roja
Guest
«Reply #17 on: October 01, 2009, 03:33:01 PM »
Reply with quote


Khaak ho jaayengey baad-e-bahaar sey hee ham;
Aaye baad-e-samoom bhi, to, wahee honaa hai!
Khaak honaa hai hamain un kee nigaahoun key taley;
Khaar hon, sang yaa ki gul; hamain to sonaa hai!!

                                 - abd bundeli



Is jahan mein khushi hai kahan?
Dil kahe hai jahan gamsita(dukhon ka ghar)
Her tarah hai udasi ka rang
Haste chehre mile na yahan  sad5
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #18 on: October 04, 2009, 03:11:39 PM »
Reply with quote

Is jahan mein khushi hai kahan?
Dil kahe hai jahan gamsita(dukhon ka ghar)
Her tarah hai udasi ka rang
Haste chehre mile na yahan  sad5


Ashk to, ashk hain : jaisey bhee hon!
Ham to, hans leytey hain rotey-rotey!
Un kee marzee hai: wo naheen aatey;
Ham to, mil leytey hain sotey-sotey!!

                 - abd bundeli

Logged
Roja
Guest
«Reply #19 on: October 16, 2009, 03:24:43 PM »
Reply with quote

Ashk to, ashk hain : jaisey bhee hon!
Ham to, hans leytey hain rotey-rotey!
Un kee marzee hai: wo naheen aatey;
Ham to, mil leytey sotey-sotey!!

                 - abd bundeli



Kabhi vo waqt tha, hum they, tera tarana tha
Zamane ber se alag apna aashiyana tha
Na ateeth ki chinta na perwah roj-e-ferda ki
Hamari baathein shayara tha

Yeh kaisa rishta tha us chashm ka mere dil se
Bazm mein chod ke sabko yahi nishana tha
Na jaane kaise huwe zakham kuch nahi maloom
tumhara mere kareeb aana bi gayabana tha..


(gayabana = akasmaat)


Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #20 on: October 18, 2009, 07:54:50 AM »
Reply with quote

Kabhi vo waqt tha, hum they, tera tarana tha
Zamane ber se alag apna aashiyana tha
Na ateeth ki chinta na perwah roj-e-ferda ki
Hamari baaton ka mijaz shayarana tha

Yeh kaisa rishta tha us chashm ka mere dil se
Bazm mein chod ke sabko, yahi nishana tha!
Na jaane kaise huwe zakham, kuch nahi maloom,
Tumhara mere kareeb aana, gayabana tha..


(gayabana = akasmaat)



Suntey hain: hota kabhee
Eik drushhti mein pyaar!
Log jeetatey-jeetatey
Bhee, jaatey hain haar!!

           - 'Ramwatiya'

Logged
Roja_malar
Guest
«Reply #21 on: November 16, 2009, 11:53:39 PM »
Reply with quote

Suntey hain: hota kabhee
Eik drushhti mein pyaar!
Log jeetatey-jeetatey
Bhee, jaatey hain haar!!

           - 'Ramwatiya'



Bicharna hi ab naseeb hai, to ABD
Hamari bhi jaan per bann aayegi
Kaash hum na milte to ganimat thi
Tumse milkar ye jaan jayegi...



Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #22 on: December 31, 2009, 04:23:39 PM »
Reply with quote

Bicharna hi ab naseeb hai, to ABD
Hamari bhi jaan per bann aayegi
Kaash hum na milte to ganimat thi
Tumse milkar ye jaan jayegi...



Fir nayee jaan aayegee mil kar!
Jaan mein jaan aayegee mil kar!
Wichhurhnaa, milanaa, fir wichhurh jaanaa:
Zindagee jaayegee, magar, khil kar!!

                          - abd bundeli

Logged
Roja_malar
Guest
«Reply #23 on: December 31, 2009, 04:53:10 PM »
Reply with quote
Fir nayee jaan aayegee mil kar!
Jaan mein jaan aayegee mil kar!
Wichhurhnaa, milanaa, fir wichhurh jaanaa:
Zindagee jaayegee, magar, khil kar!!

                          - abd bundeli



Hey bewafa,

Tera pyar to mehez bahana hai,
Gam koyi nahi baki zamane ka
Naam shamil ho gaya aapka bhi "Abd"
Ek aur bahana mila mer jaane ka...!!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #24 on: January 01, 2010, 10:49:50 AM »
Reply with quote
Hey bewafa,

Tera pyar to mehez bahana hai,
Gam koyi nahi baki zamane ka
Naam shamil ho gaya aapka bhi "Abd"
Ek aur bahana mila mer jaane ka...!!


Kyaa karoon? Pyaar ko un ney bhi bahaanaa samjhaa!
Aashiyaanaa-e-dil ko, sirf wiraanaa samjhaa!
Ham to khoye they kisee khwaab ki gahraayee mein;
Beywafaayee ki zillatoun kaa khazaanah samjhaa!!

                   - abd bundeli
Logged
Roja_malar
Guest
«Reply #25 on: January 13, 2010, 03:16:48 PM »
Reply with quote

Kyaa karoon? Pyaar ko un ney bhi bahaanaa samjhaa!
Aashiyaanaa-e-dil ko, sirf wiraanaa samjhaa!
Ham to khoye they kisee khwaab ki gahraayee mein;
Beywafaayee ki zillatoun kaa khazaanah samjhaa!!

                   - abd bundeli


Majburiyon ka paas(lihaj) bhi kuch tha wafa ke saat
Vo raste se fir gaya kuch dhur aake saat

Saat unke reh sake na bigairl unke reh sake
Ye lagaav hai charag ko kaisa hawa ke saat

Priya "ABD", phoolon ke khoj mein kayi kafile gaye
Hum bi nikal na le kahi wade-saba ke saat

Mana ki intezar kisi ka nahi raha
Ab bi to dil dadakta hai awaz-e-paa (pairon ki awaz) ke saat

Mai jelti rahi hu mushkile unka umr-ber
Bachpan mein ek wachan kiya tha khuda ke saat

Pehle to ek khana-e-veera (nirjan-ghar)ka shor tha
Ab dil bhi ghoonjta hai hawa ka shor ke saat

Vo raat kaisi raat thi per yu laga mujhe
Jaise ki subah ho gayi harf-e-dua ke saat



Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #26 on: January 15, 2010, 02:41:01 PM »
Reply with quote

Majburiyon ka paas(lihaj) bhi kuch tha wafa ke saath
Vo raste se fir gaya kuch dur aake saath

Saath unke rah sake na bigair unke reh sake
Kaisa hai ye lagaav shama'a ka hawa ke saath

Priya "ABD",
Phoolon ke khoj mein hazaar kafile gaye
Ham bhi nikal na len kahin bad-e-saba ke saath

Mana ki intezar kisi ka nahi raha
Ab bi to dil dhadakta hai awaz-e-paa (pairon ki awaz) ke saath

Jalti rahi hun naam leke unka umr-bhar
Tiflee mein eik ahad kiya tha khuda ke saath

Pehle to ek khana-e-veeran (nirjan-ghar)ka shor tha
Ab dil bhi goonjta hai baarhaa hawa ke  saath

Vo raat kaisi raat thi, par, yun laga mujhe
Jaise ki subah ho gayi harf-e-dua ke saath



Bahut umdah hai, Roja!

Aatee hai kiskee sadaa,
Lahar hawaa key saath?
Koyee jyoun kuchh kah rahaa,
Ley haathoun mein haath!!

            - abd bundeli
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #27 on: April 02, 2013, 02:31:49 AM »
Reply with quote
V.Nice.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #28 on: April 02, 2013, 01:46:53 PM »
Reply with quote
V.Nice.

Loads of thanks!
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #29 on: April 23, 2013, 03:24:06 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 12:19:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.21 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer