Aaj phir tum bohot yaad aaye !!!!!!

by Talat on June 15, 2005, 05:45:44 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 14137 times)
Talat
Guest
Reply with quote
Teri yaadon ne bohot aaj hum ko sataya hai
Aaj phir se humne in askhon ko bahaya hai

Guzre hue lamhe angaare ban ke hain barse
Humare wajood ko aaj phir inhone jalaya hai

Waqt bujha jaata hai har roz ummedain apni
Bujhe hue chiraaghon ko phir humne jalaya hai

Kaise samjhaayen hum bhala is paagal dil ko
Tune to thukraane ka sabab bhi nahi bataya hai

Humne to bas ek hi khushi maangi thi zindagi se
Aur zindagi ne hume ek zindaa laash banaya hai

Khudaya yeh dard ab aur nahin saha jata humse
Tune hume yahan se ab tak kyun nahin bulaya hai !!!!!!!!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #1 on: June 15, 2005, 05:52:16 PM »
Reply with quote
very nice sis..............its too sad....

humein maloom hai tere dil mein dard ka baseera hai
magar woh konse halaat hain jinhone tujhe ghera hai
 
sad5  sad5  sad5

aap akele nahi sawaar is kashti mein hum bhi hain
haste rehtein hain har waqt magar humein gum bhi hain
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004

View Profile
«Reply #2 on: June 15, 2005, 06:00:35 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Teri yaadon ne bohot aaj hum ko sataya hai
Aaj phir se humne in askhon ko bahaya hai

Guzre hue lamhe angaare ban ke hain barse
Humare wajood ko aaj phir inhone jalaya hai

Waqt bujha jaata hai har roz ummedain apni
Bujhe hue chiraaghon ko phir humne jalaya hai

Kaise samjhaayen hum bhala is paagal dil ko
Tune to thukraane ka sabab bhi nahi bataya hai

Humne to bas ek hi khushi maangi thi zindagi se
Aur zindagi ne hume ek zindaa laash banaya hai

Khudaya yeh dard ab aur nahin saha jata humse
Tune hume yahan se ab tak kyun nahin bulaya hai !!!!!!!!!

wah Talat,kya kahoon,its so nice....misc. me jitni bhi poems post karti ho sab ek se badhkar ek hoti hain Winking ,excellent ,and very nice nikki sis
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: June 15, 2005, 06:48:46 PM »
Reply with quote
Thanks a lot Nikki ...... n Nidhi........!!!!!!

Bas aise hi likh deti hoon :-( :-(

N very Nice Nikki....... !!!
Logged
Meena
Guest
«Reply #4 on: June 16, 2005, 08:59:41 AM »
Reply with quote
wah talat!!!

"Waqt bujha jaata hai har roz ummedain apni
Bujhe hue chiraaghon ko phir humne jalaya hai "

beautiful lines!!!!

wowwwww nikki!!

bohot bohot acha likha tumne, apni fan list me zara mera bhi nam likh dena!!! really too gud!!!!

kade hai kinare pe gumon ke samundar ke,
door tak kitni kashiryan doob rahi hai,
yaad aa jati hai tab hume apni bhi maut ki,
aur ankhon me kuch boonde chub rahi hai!
jane kyuhume apni maut bhi yaad aa gayi
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: June 16, 2005, 12:56:40 PM »
Reply with quote
Thanks a lot Meena........................!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #6 on: June 16, 2005, 06:54:31 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Teri yaadon ne bohot aaj hum ko sataya hai
Aaj phir se humne in askhon ko bahaya hai

Guzre hue lamhe angaare ban ke hain barse
Humare wajood ko aaj phir inhone jalaya hai

Waqt bujha jaata hai har roz ummedain apni
Bujhe hue chiraaghon ko phir humne jalaya hai

Kaise samjhaayen hum bhala is paagal dil ko
Tune to thukraane ka sabab bhi nahi bataya hai

Humne to bas ek hi khushi maangi thi zindagi se
Aur zindagi ne hume ek zindaa laash banaya hai

Khudaya yeh dard ab aur nahin saha jata humse
Tune hume yahan se ab tak kyun nahin bulaya hai !!!!!!!!!

wow  wonderfullllllllllllll   talat............kya  khoob  likhi ho.........  aur meenu  ka  utna hi  accha   rely  diya...............

mujhe jindagi  ne  kabhi  waqt  nahi diya muskurane ko
itna  ghum mila  ki aansoon hi nahi  bacha  bahaane  ko
aisi  kya  maine  khata  ki ai  Khudaya
hum  roj  taraste hain  apna  aashiyana banane  ko................
Logged
nikki
Guest
«Reply #7 on: June 16, 2005, 08:21:55 PM »
Reply with quote
thanx a lot Nidhi, Talat, n Meena sis........aap logon se hi sikha hai..

Meena sis aap aftaab hain to main zarra hun...............bahut shukriya ...aapko mera likha pasand aya.
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: June 17, 2005, 08:49:43 AM »
Reply with quote
You are welcome Nikki.... n thanks Waheed...n its very nice....
itna hi kahungi...

Aaaj phir jab humne shikwa kiya waqt se
Poocha usne bata tujhe bhala kya ghum hai !!

Jab sochne baithi to main ho gayi sharmsaar
Zindagi ne meri sada hi navaaza hai mujhe !!

Choti choti khushion ko taraste hain kuch log
Yunhi ghumon ka ambaar liye baithi hoon main !!

Khud hoti hoon dukhi, dukhi kar deti hoon dost ko
Par ab is naadan dil ko samjha diya hai maine !!

Honto pe mere ab rahegi muskurahat humesha
Waada wo nibhaungi jo kiya tha kisi se maine !!!

Kuch waqt tak bohot shikwa shikayat kiya tha lekin
Khuda ke saamne sajd-e-shukr ada kiya hai ab maine !!!
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004

View Profile
«Reply #9 on: June 17, 2005, 09:08:52 AM »

wah Talat,again very nice.

"Yun hi tu sadaa muskuraati rahe,
  pyar aur wafa ko nibhaati rahe,

  gam to milte rehte hain jeevan me.....,
  insaan wahi jo gamon me muskuraata rahe,

  na ruswa ho kabhi tere zindagi ki chahat,
  khushiyan karti rahein teri zindagi ki ibaadat."
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: June 17, 2005, 11:18:28 AM »
Reply with quote
Quote from: "nidhi_yadein"

Thanks a lot Nidhi.... aur bohot hi achcha likha... very encouraging !!!!!! happy9
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #11 on: June 17, 2005, 04:37:29 PM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
very nice sis..............its too sad....

humein maloom hai tere dil mein dard ka baseera hai
magar woh konse halaat hain jinhone tujhe ghera hai
 
sad5  sad5  sad5

aap akele nahi sawaar is kashti mein hum bhi hain
haste rehtein hain har waqt magar humein gum bhi hain

wow  nikki............. kab  likha  tumne...........aaj  main  dekh  raha  hoon......  superbbbbb   nikki     just  two  line mein  bahot kuch  kah diya....

unhi  se  paon  mera  umar bhar  rahe jakhmi
bikhar  gaye jo mere  kayee khawaab toot kar...............
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004

View Profile
«Reply #12 on: June 17, 2005, 05:16:11 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Quote from: "nidhi_yadein"
Quote from: "Talat"
You are welcome Nikki.... n thanks Waheed...n its very nice....
itna hi kahungi...

Aaaj phir jab humne shikwa kiya waqt se
Poocha usne bata tujhe bhala kya ghum hai !!

Jab sochne baithi to main ho gayi sharmsaar
Zindagi ne meri sada hi navaaza hai mujhe !!

Choti choti khushion ko taraste hain kuch log
Yunhi ghumon ka ambaar liye baithi hoon main !!

Khud hoti hoon dukhi, dukhi kar deti hoon dost ko
Par ab is naadan dil ko samjha diya hai maine !!

Honto pe mere ab rahegi muskurahat humesha
Waada wo nibhaungi jo kiya tha kisi se maine !!!

Kuch waqt tak bohot shikwa shikayat kiya tha lekin
Khuda ke saamne sajd-e-shukr ada kiya hai ab maine !!!
wah Talat,again very nice.

"Yun hi tu sadaa muskuraati rahe,
  pyar aur wafa ko nibhaati rahe,

  gam to milte rehte hain jeevan me.....,
  insaan wahi jo gamon me muskuraata rahe,

  na ruswa ho kabhi tere zindagi ki chahat,
  khushiyan karti rahein teri zindagi ki ibaadat."

Thanks a lot Nidhi.... aur bohot hi achcha likha... very encouraging !!!!!! happy9

U r most welcome Talat and thanx a lot Usual Smile
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #13 on: June 17, 2005, 11:10:22 PM »
Reply with quote
Ae dost itna to yaad kiya hota,
Ek pyaar bhara paigaam hi bhej diya hota,
Kaise jeete hein teri yaad mein,
Ek baar haal to pooch liya hota.
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004

View Profile
«Reply #14 on: June 18, 2005, 01:08:50 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Teri yaadon ne bohot aaj hum ko sataya hai
Aaj phir se humne in askhon ko bahaya hai

Guzre hue lamhe angaare ban ke hain barse
Humare wajood ko aaj phir inhone jalaya hai

Waqt bujha jaata hai har roz ummedain apni
Bujhe hue chiraaghon ko phir humne jalaya hai

Kaise samjhaayen hum bhala is paagal dil ko
Tune to thukraane ka sabab bhi nahi bataya hai

Humne to bas ek hi khushi maangi thi zindagi se
Aur zindagi ne hume ek zindaa laash banaya hai

Khudaya yeh dard ab aur nahin saha jata humse
Tune hume yahan se ab tak kyun nahin bulaya hai !!!!!!!!!

bahut ache talat
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:19:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.137 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer