Aaj Tez Barsaat Mein Phir Teri Yaad Aayi hai.....

by khwaish on March 23, 2008, 06:17:35 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 7
ReplyPrint
Author  (Read 18968 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Aaj tez barsaat mein phir teri yaad aayi hai
har girte boond ne mujhse kaha
"dilkash mausam mein bhi kyon,
tere ird-gird sirf tanhai hai??"

sab kuch hai paas mere
par agar woh na ho to sirf tanhaai hai
shayad issi ko kehte hai yaar,
"DARD-E-JUDAI hai...

jab bhi yaad karta hoon uss shaks ko
to aankhein meri bhar aayi hai
eh khuda,aisi bhi kya teri khudai hai??

waise to hasratein bahut si thi dil mein mere
par tere hukm ke bin eh khuda
kabhi kisi ki baat kya ban paayi hai??

jis ke khayalo mein main,
guum sa rehta hoon har pehar,
kya usse bhi mera khayal hai,
yeh baat se "khwaish" ne apni neend gawaai hai.....

apni nigaahon se kabhi "khwaish" ki taraf bhi dekho,
door baithe rehte ho humse,
aisi bhi kya ruswai hai.....

aaj tez barsaat mein phir teri yaad aayi hai...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aaj phir teri yaad aayi hai humsafar! by wadhwa in Shayri for Khumar -e- Ishq
-Aaj Phir Teri Khani Yaad Aayi- by HumTum is back in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 5 »
Yaad teri aayi toh phir kya karoongi main by ehsaas chahat ka in Share: Poetry of Pain
Aaj Phir Yaad Koi Chout Purani Aayi........ by Raja Jain in Shayri for Dard -e- Judai
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: March 23, 2008, 06:29:46 PM »
Reply with quote
Khwaish bro,

Yeh barsaat bhi kambakht bahut pareshan karti hai !

Bahut khoob ! Applause
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #2 on: March 23, 2008, 06:30:30 PM »
Reply with quote
 Bohat khoob khwaish ji.. Applause

Tez barsaat mein teri yaad aayi hai
Woh saath guzare har haseen pal yaad aayi hai
Saath toh the hum aapke paas kabhi aapne gaur na kiya
Har lamha tumare isqh ke liye tadape woh haseen pal yaad aayi hai
Jasbath na saath deh meri daman se beeg gaye hai meri palken woh pal yaad aayi  hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: March 23, 2008, 06:34:28 PM »
Reply with quote
Khwaish bro,

Yeh barsaat bhi kambakht bahut pareshan karti hai !

Bahut khoob ! Applause

thanx a lot paaji...sach kaha aapne yeh barsaat bhi kambakt bahut pareshan karti hai.. icon_salut
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: March 23, 2008, 06:35:23 PM »
Reply with quote
Bohat khoob khwaish ji.. Applause

Tez barsaat mein teri yaad aayi hai
Woh saath guzare har haseen pal yaad aayi hai
Saath toh the hum aapke paas kabhi aapne gaur na kiya
Har lamha tumare isqh ke liye tadape woh haseen pal yaad aayi hai
Jasbath na saath deh meri daman se beeg gaye hai meri palken woh pal yaad aayi  hai


bahut bahut shukriya honey...
aur bahut khoob honey...bahut acha likha hai...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: March 24, 2008, 09:51:54 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai. bahoot khoob khwaish ji!!! sorry waqat ki tangi hai warna jawab jaroor likhati... magar wapis akar jab bhi waqat hua mai kuch na kuch jaroor likhne ki koshish karugi!!
Logged
Roja
Guest
«Reply #6 on: March 25, 2008, 12:01:12 AM »
Reply with quote
Quote
jis ke khayalo mein main,
guum sa rehta hoon har pehar,
kya usse bhi mera khayal hai,
yeh baat se "khwaish" ne apni neend gawaai hai.....

apni nigaahon se kabhi "khwaish" ki taraf bhi dekho,
door baithe rehte ho humse,
aisi bhi kya ruswai hai.....

aaj tez barsaat mein phir teri yaad aayi hai...


Bahut khoob...  Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: April 02, 2008, 03:25:56 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai. bahoot khoob khwaish ji!!! sorry waqat ki tangi hai warna jawab jaroor likhati... magar wapis akar jab bhi waqat hua mai kuch na kuch jaroor likhne ki koshish karugi!!

Bahut Bahut shukriya pooja...aapki kavita ka intezaar ho raha hai!!! icon_salut
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: April 02, 2008, 03:26:50 PM »
Reply with quote
BAHUT BAHUT SHUKRIYA ROJA..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: April 02, 2008, 04:21:23 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai. bahoot khoob khwaish ji!!! sorry waqat ki tangi hai warna jawab jaroor likhati... magar wapis akar jab bhi waqat hua mai kuch na kuch jaroor likhne ki koshish karugi!!

Bahut Bahut shukriya pooja...aapki kavita ka intezaar ho raha hai!!! icon_salut

Barsati barsaat ne khayalo ko hawa di hai
Juda hui teri yaadon ko ek agan di hai

Dilkash is mosam mai yah boondein
Dukhati rag ko jaise isne dastak di hai

Kabhi the sath sath in boondon main hum
Ajj issi barsaat ne judai ki tohmat di hai

Dil ki hasrate dil mai hi rah gai kitani
Her ek hasrat ne is barsat mai tadpahat di hai

Barsati barsaat ne khayalo ko hawa di hai
Dhadkano ne ajj phir zakhmo se baat ki hai........
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: April 04, 2008, 06:34:09 AM »
Reply with quote
Bahoot Khoob,.
sabne Kamaal Ka Likha Hai,. Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: April 04, 2008, 06:43:36 AM »
Reply with quote
Barsaat Jaane Kyun Mera Gham Badhaa Deti Hai,.
Tanhaai Ka Ehsaas Dilaakar, Kyun Rulaa Deti Hai,.

Jee Rahe The Mausam-e-Khushk Mein Hum Yaadon Ke Sahaare,.
Barsaat Jaane Kyun, Beete yaadon Ke Phool Khilaa Deti Hai,.

Log To Kehte Hain, Unhe Barsaat Mein Rona Pasand Hai,.
Aur Hum Jab Rote Hain, To Kyun Ye Ashq Paani Mein Milaa Deti Hai,.

Sitam Humpar Sirf Barsaat Ka Nahi, Saari Khudaai Ka Hai,.
Kya Karein Jab Judaai Kisi Ki, Zindagi Ko Maut Se Katheen Banaa Deti Hai,.
'
'_____________________________________-Jaanasheen-
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: April 07, 2008, 06:11:38 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai. bahoot khoob khwaish ji!!! sorry waqat ki tangi hai warna jawab jaroor likhati... magar wapis akar jab bhi waqat hua mai kuch na kuch jaroor likhne ki koshish karugi!!

Bahut Bahut shukriya pooja...aapki kavita ka intezaar ho raha hai!!! icon_salut

Barsati barsaat ne khayalo ko hawa di hai
Juda hui teri yaadon ko ek agan di hai

Dilkash is mosam mai yah boondein
Dukhati rag ko jaise isne dastak di hai

Kabhi the sath sath in boondon main hum
Ajj issi barsaat ne judai ki tohmat di hai

Dil ki hasrate dil mai hi rah gai kitani
Her ek hasrat ne is barsat mai tadpahat di hai

Barsati barsaat ne khayalo ko hawa di hai
Dhadkano ne ajj phir zakhmo se baat ki hai........


Bahut Bahut Khoob poojaji.. Hats off to you!  bahut acha likha hai...
"barsati barsaat ne khayalo ko hawa di hai
dhadkano ne aaj phir zakhmo se baat ki hai"...bahut khoob!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: April 07, 2008, 06:13:55 PM »
Reply with quote
Bahoot Khoob,.
sabne Kamaal Ka Likha Hai,. Applause


bahut bahut shukriya azeem bro...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: April 07, 2008, 06:17:19 PM »
Reply with quote
Barsaat Jaane Kyun Mera Gham Badhaa Deti Hai,.
Tanhaai Ka Ehsaas Dilaakar, Kyun Rulaa Deti Hai,.

Jee Rahe The Mausam-e-Khushk Mein Hum Yaadon Ke Sahaare,.
Barsaat Jaane Kyun, Beete yaadon Ke Phool Khilaa Deti Hai,.

Log To Kehte Hain, Unhe Barsaat Mein Rona Pasand Hai,.
Aur Hum Jab Rote Hain, To Kyun Ye Ashq Paani Mein Milaa Deti Hai,.

Sitam Humpar Sirf Barsaat Ka Nahi, Saari Khudaai Ka Hai,.
Kya Karein Jab Judaai Kisi Ki, Zindagi Ko Maut Se Katheen Banaa Deti Hai,.
'
'_____________________________________-Jaanasheen-


Kya baat hai azeembro..ek ek line bahut khoob likhi hai...
bahut hi ache  Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 10:54:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer