Aaj Tez Barsaat Mein Phir Teri Yaad Aayi hai.....

by khwaish on March 23, 2008, 06:17:35 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 18923 times)
Pooja
Guest
«Reply #45 on: April 29, 2008, 08:26:07 PM »
Reply with quote
Khwaish ji... app kahe aor hum na likhe...
bas ajkal study aor job per kaam jayada hone ki wajah se kuch khas likh nahi pa rahi hu..
ek koshish ki hai... shayad apko pasand ayye:

Judai ke naam per na jaane kaya kaya yaad ayya
barsati barsaat main, apni ankhio ka barsana yaad ayya
loot kar dil-o-chain le gaya, jo na lout kar anne wala
uska her ek ek sitam, na jaane kaise kaise yaad ayya

dil ke ander dehakati agg ko na bujha paai koi bhi barsaat
her barsaat ki boond ne, ek ek zakham ko phir se sulgaya
Judai ke naam per na jaane kaya kaya yaad ayya
barsati barsaat main, apni ankhio ka barsana yaad ayya....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aaj phir teri yaad aayi hai humsafar! by wadhwa in Shayri for Khumar -e- Ishq
-Aaj Phir Teri Khani Yaad Aayi- by HumTum is back in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 5 »
Yaad teri aayi toh phir kya karoongi main by ehsaas chahat ka in Share: Poetry of Pain
Aaj Phir Yaad Koi Chout Purani Aayi........ by Raja Jain in Shayri for Dard -e- Judai
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #46 on: April 30, 2008, 11:18:48 AM »
Reply with quote
Nice One Again Syed Ji,.
Pooja Sis,.
Yunhi Likhte rahiye,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #47 on: April 30, 2008, 11:22:21 AM »
Reply with quote
Barsaat Ke Aaalam Me Unki Yaad Bahoot Aaati Hai,.
Dahdakan Dheemi Ho Jaati Hai, Rooh Bada Tardpaati hai,.

_________________________________-jaanasheen-
Logged
Pooja
Guest
«Reply #48 on: April 30, 2008, 12:42:53 PM »
Reply with quote
shukari alil bro and good one!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #49 on: April 30, 2008, 05:41:57 PM »
Reply with quote
Khwaish ji... app kahe aor hum na likhe...
bas ajkal study aor job per kaam jayada hone ki wajah se kuch khas likh nahi pa rahi hu..
ek koshish ki hai... shayad apko pasand ayye:

Judai ke naam per na jaane kaya kaya yaad ayya
barsati barsaat main, apni ankhio ka barsana yaad ayya
loot kar dil-o-chain le gaya, jo na lout kar anne wala
uska her ek ek sitam, na jaane kaise kaise yaad ayya

dil ke ander dehakati agg ko na bujha paai koi bhi barsaat
her barsaat ki boond ne, ek ek zakham ko phir se sulgaya
Judai ke naam per na jaane kaya kaya yaad ayya
barsati barsaat main, apni ankhio ka barsana yaad ayya....


bahut bahut shukriya pooja,aapne hamari baat rakhi..
aur sach mein bahut khoob likha hai aapne.. Applause :clap:as usual!!!! Clapping Smiley


Barsaat Ke Aaalam Me Unki Yaad Bahoot Aaati Hai,.
Dahdakan Dheemi Ho Jaati Hai, Rooh Bada Tardpaati hai,.

_________________________________-jaanasheen-

[/color][/b]

nice lines azeem bro...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #50 on: April 30, 2008, 05:49:39 PM »
Reply with quote
jaane yeh aajkal kya baat ho rahi hai!!
Lab hai khamosh par dil se baat ho rahi hai...

Suraj nikla hai apni roshni failaye hue har mod par
par jaane kyon yahan zor se barsaat ho rahi hai....

Jab bhi kuch kehna chaahta hoon to zubaan chup si ho jaati hai
kuch ajeeb si kashmakash se bhari Mulaakat ho rahi hai....

Jaane yeh Mohabbat ka khel kis tarah ka hai??
Jahan milni thi seh waha Maat ho rahi hai....

Judai ka gham sehna bahut mushkil ho gaya hai "KHWASH"
din dhal gaya hai, ab phir raat ho rahi hai....

Dil ki Zameen par ab koi Tapan to hogi,
Varna kyon Aansuo ki barsaat ho rahi hai.....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #51 on: April 30, 2008, 05:56:24 PM »
Reply with quote
wow!! Too Good Khwaish ji!! jalad he kuch likhne ki koshish hogi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #52 on: April 30, 2008, 09:41:30 PM »
Reply with quote
Kai baar apki poem ko parda hai.. kuch shuru kiya aor phir delete... shayad yah apko pasand ayye

Dil se dil ke baatein, aah bhari yah chandini ratein
Ahsaas hai uska kahin ander, aor yah tanhai ki sougatein

Bheerd bhara rasta bhi lage ab to mujhko sooona soona
Be-parwaah Ankhon se, waqat - be-waqat ansoo ki barsatein

Kabhi lub muskuraye aor phir cheekh kahin rah gai ander
Jab bhi yaad aaii, wo Teri-Meri, chup chup ke Mulakaatein

Juda raahein hui, juda bahein hue, juda hum ho gaye
Juda phir bhi na ho saki, wo Teri khatti-mithi baatein

Kalam ajj bhi tadap kar likhati he rahti hai, teri judai ka gum
Koi kavita, koi bhi shabd,  Pooja ko nahi hai, phir bhi sehla paatein!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #53 on: May 01, 2008, 04:21:03 AM »
Reply with quote
wow!! Too Good Khwaish ji!! jalad he kuch likhne ki koshish hogi

Bahut Bahut Shukriya pooja...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #54 on: May 01, 2008, 04:23:01 AM »
Reply with quote
Kai baar apki poem ko parda hai.. kuch shuru kiya aor phir delete... shayad yah apko pasand ayye

Dil se dil ke baatein, aah bhari yah chandini ratein
Ahsaas hai uska kahin ander, aor yah tanhai ki sougatein

Bheerd bhara rasta bhi lage ab to mujhko sooona soona
Be-parwaah Ankhon se, waqat - be-waqat ansoo ki barsatein

Kabhi lub muskuraye aor phir cheekh kahin rah gai ander
Jab bhi yaad aaii, wo Teri-Meri, chup chup ke Mulakaatein

Juda raahein hui, juda bahein hue, juda hum ho gaye
Juda phir bhi na ho saki, wo Teri khatti-mithi baatein

Kalam ajj bhi tadap kar likhati he rahti hai, teri judai ka gum
Koi kavita, koi bhi shabd,  Pooja ko nahi hai, phir bhi sehla paatein!!!


bahut bahut khoob..har ek line aapne bahut khoobsurti se likha hai..bahut ache.. Applause Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #55 on: May 02, 2008, 05:38:20 PM »
Reply with quote
shukaria khwaish ji!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #56 on: June 06, 2008, 11:33:10 AM »
Reply with quote
log kehte hai ki ab
"khwaish ko kuch bolna aata nahi!!!
kuch bhi pucho isse,
woh jawaab mein kuch keh paata nahi.. tongue3

Ab main nadaan, Duniya ko kya samjhau??
ke ishq mein insaan ko kuch bhaata nahi,

jahan nazar utha kar dekoon
har jagah, har ghadi, har pehar sirf woh hi woh nazar aate hai,
"khwaish" ko ab aur kuch to nazar aata nahi....

agar yeh deewanapan hai...
to deewanapan hi sahi!!!
par "khwaish" ek pal bhi bin unke jee pata nahi....

wah re mohabbat!! ajeeb si kashmakash mein hai yeh zindagi apni,
uski yaadon ke bina ek pal bhi main guzaar pata nahi....

sochta hoon,kaash judai ke yeh pal guzar jaaye ek hi pal mein,
par yeh waqt hai ki apne hisaab se daud paata nahi...

har ek khwaab mein, humsaath -saath hote hai,
par jab neend khulti hai,wahi purani zindagi,
haqeeqat mein,  main tujhse kyon mil paata nahi???
Logged
Pooja
Guest
«Reply #57 on: June 06, 2008, 02:33:17 PM »
Reply with quote
Khwaish ji apki yah kavita pard kar jo sabse pahla reaction hus wo yah hai  DOH

Just enjoy this time and write more  tongue3

A wonderful creation, good job  Clapping Smiley

Full of love  NaNaNa and pain 
agar yeh deewanapan hai...
to deewanapan hi sahi!!!
par "khwaish" ek pal bhi bin unke jee pata nahi.... Crying
Logged
syednaami
Guest
«Reply #58 on: June 06, 2008, 06:13:18 PM »
Reply with quote
SAb doston kamaal ki paishkash di hai, Kuchh ashaar to hairat angez hain buhat hi dil ko chhu lene waale...
Logged
sanya310
Guest
«Reply #59 on: June 06, 2008, 06:32:21 PM »
Reply with quote
bohot khoob khwaish..


kya jaane tujhmein ae sanam
kya hai woh aisi baat
ki kambakht sone bhi nahi deti
ye barsaat aur yeh raat..
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 02:11:25 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer