Aakhiri Shaam

by harashmahajan on June 29, 2005, 06:58:04 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3535 times)
harashmahajan
Guest
Reply with quote
Aakhiri Shaam

Hui Yu.n Gamo.n Ki  ye shaam Aakhiri hai,
Charha do kafan ye salaam Aakhiri hai.

Yu.n bhar ke akhiyaa.n, tapaktey jo aansoo,
Wo kehtey hain peelo ye jaam Aakhiri hai.

Saffur akhiri hai kadam do mila lo,
Khuda ka diya intzaam akhiri hai.

Taraptey rahey per sakoo.n tha ki itna,
Gamey Zindgi ka Inaam Aakhiri hai.

Yu.n khwaabo.n me.n har pal rahey umra bhar jo,
unhi ke liye ye kalaam Aakhiri hai.
 
~~~~*HARASH MAHAJAN©*~~~~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aakhiri salam for nishi poo sanj sonu wahi & others by mateen govindvi in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Aakhiri Chahat by Alam Qazi in Shairi - E - Zindagi
ye aakhiri SALAAM sabko... by sacccha_pyar in Shayri-E-Dard
AAKHIRI PAHAR by kuchtohai in Shairi - E - Zindagi
Hui YuiN GamoN Ki ye shaam Aakhiri hai by harashmahajan in Shayri for Dard -e- Judai
Ninaah
Guest
«Reply #1 on: June 30, 2005, 07:47:20 AM »
Reply with quote
kisi ki akhiri shaam hai zindagi ki,
aur koi maut pe muskurata hai,
koi gumon se daman chudata hai,
aur koi gumon ko apnata hai....
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #2 on: June 30, 2005, 07:56:49 AM »
Reply with quote
Chand lamhey sang ser-e-bazm guzaar lo
bhool jaoge haal-e-dil gamo se haar ker
mout pe muskraane se jab lage tumeh jo der
daaman bichhane aayenge kahoge tum jider.
Logged
Ninaah
Guest
«Reply #3 on: June 30, 2005, 08:00:36 AM »
Reply with quote
zindagi se pehale hee haar chuke hain,
ab kya hum haarenge,
jo pehale he pyar mein marr chuka ho,
ab usse log kya maarenge....




Quote from: "harashmahajan"
Chand lamhey sang ser-e-bazm guzaar lo
bhool jaoge haal-e-dil gamo se haar ker
mout pe muskraane se jab lage tumeh jo der
daaman bichhane aayenge kahoge tum jider.
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #4 on: June 30, 2005, 08:17:53 AM »
Reply with quote
kyon saleekey bhool ker ruswa kiya tumeh
rafta-rafta juda hue kya maloom hai unhe?

Quote
zindagi se pehale hee haar chuke hain,
ab kya hum haarenge,
jo pehale he pyar mein marr chuka ho,
ab usse log kya maarenge....



Logged
Ninaah
Guest
«Reply #5 on: June 30, 2005, 10:40:23 AM »
Reply with quote
bewafa se wafa ki umeed chod di humne,
bewafa bhi kabhi wafa kar paaye hain,
unhe to bewfaon ki mehfil raas aaye hai,
wo kahan wafaon ki mehfil mein aaye hain...


Quote from: "harashmahajan"
kyon saleekey bhool ker ruswa kiya tumeh
rafta-rafta juda hue kya maloom hai unhe?

Quote
zindagi se pehale hee haar chuke hain,
ab kya hum haarenge,
jo pehale he pyar mein marr chuka ho,
ab usse log kya maarenge....



Logged
Meena
Guest
«Reply #6 on: June 30, 2005, 04:47:39 PM »
Reply with quote
wah harash ji apki poem to mujhe bohot hi pasand ayi!!! aur ninaah sis u r too gud also!

Aye Maut, kab se hai intezaar tera, tum bhi kabhi apni jalak dikhao na,
Rulaya hai zamane ne mujhe, aab tum to mujhe rulao na,

Duayen aur ansoon tumara rasta rokhenge zaroor,
Wasta hai Khuda ka, aye Maut, mujhe le jane ke irade me tum aab gabrao na!
Logged
amit_is_always_cool
Guest
«Reply #7 on: June 30, 2005, 04:56:15 PM »
Reply with quote
wah bohut khoob, aapkai har shayiri bohut meaningfull rehta hai......................................
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #8 on: June 30, 2005, 05:28:14 PM »
Reply with quote
Ninnah ji JI BAHOO KHOOB....


Shikwe gile jo kutch bhi hain
tumko bhi hain unko bhi hain
pareshaanian jo kutch bhi hain
tumko bhi hain unko bhi hain.
tumko rahega umra bhar
is toot tey Rishtey ka gum
mazboorian jo kutch bhi hain,
tumko bhi hain unko bhi hain.

Ninnah wrote.....
Quote
bewafa se wafa ki umeed chod di humne,
bewafa bhi kabhi wafa kar paaye hain,
unhe to bewfaon ki mehfil raas aaye hai,
wo kahan wafaon ki mehfil mein aaye hain...



Meena ji...bahoot khoob likhtin hain aap.....aapki bebaaki pad ker mujhe meri Gazal ke chan sher yaad aaye hain....

tik-tik garhi ki lamha-lamha maut ko pegaam,
guzra jo pal, allah ki rehmat samajh liya.

Dastak na de ai maut mere der pe baar baar,
khuda ne mere dwaar pe Fatwa badal diya.

Marget mein 'harsh' jism ka anjaam dekhker,
hamne to aaj jeene ka maksad badal liya.

Meena ji wrote......

Quote
Aye Maut, kab se hai intezaar tera, tum bhi kabhi apni jalak dikhao na,
Rulaya hai zamane ne mujhe, aab tum to mujhe rulao na,

Duayen aur ansoon tumara rasta rokhenge zaroor,
Wasta hai Khuda ka, aye Maut, mujhe le jane ke irade me tum aab gabrao na!
 
 


always harash
Logged
Meena
Guest
«Reply #9 on: June 30, 2005, 05:52:40 PM »
Reply with quote
shukriya harsh ji, par paki ghazal samajh me nahin ayi!  sad5
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #10 on: June 30, 2005, 06:12:18 PM »
Reply with quote
meena ji aapne maut ke barey mein likha....
"Aye Maut, kab se hai intezaar tera, tum bhi kabhi apni jalak dikhao na,
Rulaya hai zamane ne mujhe, aab tum to mujhe rulao na,"
Duayen aur ansoon tumara rasta rokhenge zaroor,
Wasta hai Khuda ka, aye Maut, mujhe le jane ke irade me tum aab gabrao na!"

"Aye Maut, kab se hai intezaar tera" iskey jawaab mein hamne ye sher likha....
  tik-tik garhi(watch) ki lamha-lamha maut ko pegaam,
guzra jo pal, allah ki rehmat samajh liya.

...yaani..jaise jaise waqt beet raha hai ,maut hamein apne aaghosh mein le rahi hai....hamaari zindagi ka samay(pal pal) kam ho raha hai....khuda ne toh hamari zindagi ki mayaad poori likhi hui hai na...sirf hamein hi toh nahi pata na....ab jo bhi pal yaani khan beet gaya...woh khuda ki rehmat hi samajh lo------aap khud hi likh rahi ho....maut mujhey jhalak dikhaao na.....jhalak toh maut rafta rafta hi dikhaaye gi na....

doosra sher hai..
"Dastak na de ai maut mere der pe baar baar,
khuda ne mere dwaar pe Fatwa badal diya.


maut ko agah kiya gaya hai....ki ab dastak na mere dwaar per....khuda ne....mujhey kutchh our waqt de diya hai jeene ke liye....fatwa ...kaal ka order


teesra sher hai...
Marget mein 'harsh' jism ka anjaam dekhker,
hamne to aaj jeene ka maksad badal liya.


margat mein jab laash ko agni di jaati hai...ya phir dafnaaya jata hai...toh antim baar kya hota hai...jism ke saath...us waqt her shaks sochta hai....ab toh zindagi ka maksad badal lo...akhir isi anjaam tak pahoochana hai.....

umeed hai...sab clear ho gaya hoga..

harash
Logged
Meena
Guest
«Reply #11 on: June 30, 2005, 06:15:36 PM »
Reply with quote
shukriya ji shukriya  :D  apne bohot ache se samjhaya hai. actually im very weak urdu me isslyie samajh nahin payi! translation ke liye shukriya janab!  :D
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #12 on: June 30, 2005, 06:28:49 PM »
Reply with quote
you are welcome................................

harsh
Logged
Ninaah
Guest
«Reply #13 on: July 01, 2005, 06:07:26 AM »
Reply with quote
thanks sis meena.....

pyar ne to pehale he saath choda tha,
ab kismat ne rulaya hai,
pur ab hum sukoon se rehte hain,
kyonki maut ne hume bulayaa hai.....



Quote from: "Meena"
wah harash ji apki poem to mujhe bohot hi pasand ayi!!! aur ninaah sis you r too gud also!

Aye Maut, kab se hai intezaar tera, tum bhi kabhi apni jalak dikhao na,
Rulaya hai zamane ne mujhe, aab tum to mujhe rulao na,

Duayen aur ansoon tumara rasta rokhenge zaroor,
Wasta hai Khuda ka, aye Maut, mujhe le jane ke irade me tum aab gabrao na!
Logged
Ninaah
Guest
«Reply #14 on: July 01, 2005, 06:10:09 AM »
Reply with quote
thanks harash..........

gur rehta unhe bhi dard iss rishte ka,
to hum bhi unke kadam se kadam milate,
jo ik aawaaz wo dil se dete humko,
hum maut ki wadiyon se bhi chale aate....



Quote from: "harashmahajan"
Ninnah ji JI BAHOO KHOOB....


Shikwe gile jo kutch bhi hain
tumko bhi hain unko bhi hain
pareshaanian jo kutch bhi hain
tumko bhi hain unko bhi hain.
tumko rahega umra bhar
is toot tey Rishtey ka gum
mazboorian jo kutch bhi hain,
tumko bhi hain unko bhi hain.

Ninnah wrote.....
Quote
bewafa se wafa ki umeed chod di humne,
bewafa bhi kabhi wafa kar paaye hain,
unhe to bewfaon ki mehfil raas aaye hai,
wo kahan wafaon ki mehfil mein aaye hain...



Meena ji...bahoot khoob likhtin hain aap.....aapki bebaaki pad ker mujhe meri Gazal ke chan sher yaad aaye hain....

tik-tik garhi ki lamha-lamha maut ko pegaam,
guzra jo pal, allah ki rehmat samajh liya.

Dastak na de ai maut mere der pe baar baar,
khuda ne mere dwaar pe Fatwa badal diya.

Marget mein 'harsh' jism ka anjaam dekhker,
hamne to aaj jeene ka maksad badal liya.

Meena ji wrote......

Quote
Aye Maut, kab se hai intezaar tera, tum bhi kabhi apni jalak dikhao na,
Rulaya hai zamane ne mujhe, aab tum to mujhe rulao na,

Duayen aur ansoon tumara rasta rokhenge zaroor,
Wasta hai Khuda ka, aye Maut, mujhe le jane ke irade me tum aab gabrao na!
 
 


always harash
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:45:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer