Aakhiri Shaam

by harashmahajan on June 29, 2005, 06:58:04 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3549 times)
harashmahajan
Guest
«Reply #15 on: July 01, 2005, 06:23:54 AM »
Reply with quote
Ninnah ji mazmoon ko is tarah se pesh kertien hai aap ki dil ki gehraayion ko choo leti hai...our phir gazal ke chan sher khud pe khud bahar chaley aatey hain..wah Ninnah ji bahoot khoob...itna dard sanjo ke rakha hai aapne...pyaar ne pehley hi saath choda tha...wah

Kho gaya yuin yaadgaar, pyaar yaar bheed mein,
ho gaya hai dil ka saaj, taar-taar bheed mein.

kyuin karein gila, unki be-wajeh judayee ka,
ker gaya woh dil pe waar, aar paar bheed mein.

kab tak chhipe ye dard unki bewafayee ka,
dus raha jo ban ke naag, baar baar bheed mein.

bhool ker bhi bhooltey nahin woh dil sabaab ke,
ro raha hai dil bhi aaj, jaar-jaar bheed mein.

be-rang khaton ke dher dekh ker kareeb se,
'harsh' roye jaar-jaar baar-baar bheed mein.

Ninnah wrote...

Quote
thanks sis meena.....

pyar ne to pehale he saath choda tha,
ab kismat ne rulaya hai,
pur ab hum sukoon se rehte hain,
kyonki maut ne hume bulayaa hai.....

Meena wrote:
wah harash ji apki poem to mujhe bohot hi pasand ayi!!! aur ninaah sis you r too gud also!

Aye Maut, kab se hai intezaar tera, tum bhi kabhi apni jalak dikhao na,
Rulaya hai zamane ne mujhe, aab tum to mujhe rulao na,

Duayen aur ansoon tumara rasta rokhenge zaroor,
Wasta hai Khuda ka, aye Maut, mujhe le jane ke irade me tum aab gabrao na!
 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aakhiri salam for nishi poo sanj sonu wahi & others by mateen govindvi in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Aakhiri Chahat by Alam Qazi in Shairi - E - Zindagi
ye aakhiri SALAAM sabko... by sacccha_pyar in Shayri-E-Dard
AAKHIRI PAHAR by kuchtohai in Shairi - E - Zindagi
Hui YuiN GamoN Ki ye shaam Aakhiri hai by harashmahajan in Shayri for Dard -e- Judai
harashmahajan
Guest
«Reply #16 on: July 01, 2005, 06:36:35 AM »
Reply with quote
bahoot khoob...umda tehreer wah....rishton mein toh jung hameshaan se chalti aayee hai Ninnah ji...

Kya bane kisse puraani jung mein,
dafun hue rishtey puraani jung mein.
her taraf barbaadiyon ka zikra hai
kafun bane rishtey puraani jung mein.

Quote
thanks harash..........

gur rehta unhe bhi dard iss rishte ka,
to hum bhi unke kadam se kadam milate,
jo ik aawaaz wo dil se dete humko,
hum maut ki wadiyon se bhi chale aate....

harsh
Logged
Ninaah
Guest
«Reply #17 on: July 01, 2005, 06:41:16 AM »
Reply with quote
harash kahin koi shayar-vaayar to nahi hain aap. bhai hum to abhi naye hain... pur pyar mein haare huve hain....

hum saaye ko saath le chale,
apni yaadon ki vaadiyon mein,
unki kya kahein yahan to saaye ne he saath choda,
dekha jab hum ghire huve the barbadiyon mein....

Quote from: "harashmahajan"
Ninnah ji mazmoon ko is tarah se pesh kertien hai aap ki dil ki gehraayion ko choo leti hai...our phir gazal ke chan sher khud pe khud bahar chaley aatey hain..wah Ninnah ji bahoot khoob...itna dard sanjo ke rakha hai aapne...pyaar ne pehley hi saath choda tha...wah

Kho gaya yuin yaadgaar, pyaar yaar bheed mein,
ho gaya hai dil ka saaj, taar-taar bheed mein.

kyuin karein gila, unki be-wajeh judayee ka,
ker gaya woh dil pe waar, aar paar bheed mein.

kab tak chhipe ye dard unki bewafayee ka,
dus raha jo ban ke naag, baar baar bheed mein.

bhool ker bhi bhooltey nahin woh dil sabaab ke,
ro raha hai dil bhi aaj, jaar-jaar bheed mein.

be-rang khaton ke dher dekh ker kareeb se,
'harsh' roye jaar-jaar baar-baar bheed mein.

Ninnah wrote...

Quote
thanks sis meena.....

pyar ne to pehale he saath choda tha,
ab kismat ne rulaya hai,
pur ab hum sukoon se rehte hain,
kyonki maut ne hume bulayaa hai.....

Meena wrote:
wah harash ji apki poem to mujhe bohot hi pasand ayi!!! aur ninaah sis you r too gud also!

Aye Maut, kab se hai intezaar tera, tum bhi kabhi apni jalak dikhao na,
Rulaya hai zamane ne mujhe, aab tum to mujhe rulao na,

Duayen aur ansoon tumara rasta rokhenge zaroor,
Wasta hai Khuda ka, aye Maut, mujhe le jane ke irade me tum aab gabrao na!
 
Logged
Ninaah
Guest
«Reply #18 on: July 01, 2005, 06:45:48 AM »
Reply with quote
kya baat hai harash.....

jab zindagi ne hamara saath choda,
to  diya ilzaam humne maut ko bewafayee ka,
hume bichde huve kuch pal bhi na huve the,
ki unhone suna diya saaz apni shehnayee ka....

Quote from: "harashmahajan"
bahoot khoob...umda tehreer wah....rishton mein toh jung hameshaan se chalti aayee hai Ninnah ji...

Kya bane kisse puraani jung mein,
dafun hue rishtey puraani jung mein.
her taraf barbaadiyon ka zikra hai
kafun bane rishtey puraani jung mein.

Quote
thanks harash..........

gur rehta unhe bhi dard iss rishte ka,
to hum bhi unke kadam se kadam milate,
jo ik aawaaz wo dil se dete humko,
hum maut ki wadiyon se bhi chale aate....

harsh
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #19 on: July 01, 2005, 07:08:16 AM »
Reply with quote
Quote from: "Ninaah"

oh!! no ninnah ji..kya likhti ho....ik taraf tha janaza duzi tarah shehnaayeee....kya khoob...Ninnah ji

per ninnah ji maut ne be wafayee kahaan ki..woh toh aa hi gayee na tapish dene......

aapne likha "harash kahin koi shayar-vaayar to nahi hain aap. bhai hum to abhi naye hain... pur pyar mein haare huve hain....

hum saaye ko saath le chale,
apni yaadon ki vaadiyon mein,
unki kya kahein yahan to saaye ne he saath choda,
dekha jab hum ghire huve the barbadiyon mein...."

Ninnah ji..koi bhi vyakti ya insaaan shayar nahi hota...ye bas aapki tapish hi hai jo insaan ko yahaan tak pahoonchaati hai....aapki tehreerein itni dard naak hai ki bas unhe hum alfaazon mein pironey ki koshish kertein hain....aap bahoot khoob likhtien hai..per itna bhi gam na apne dil per chot lena ki dil se Gazlon ki kitab hi chal ker naa aa jaaye.aour un ki gazlon ko ger hum chhuyein toh woh nam niklein......hum bhi guzer chukey hain in afsaano se....

AAdmi ko chahiye pyaar bhara bas ek hi dil
jaane phir kyuin doondata hai her taraf dheron woh dil.

kon jaane zindagi ka ye diya kab tak jale,
khud hi gamo ki baad mein beh jaayega apna ye dil.
Logged
Ninaah
Guest
«Reply #20 on: July 01, 2005, 07:28:43 AM »
Reply with quote
harash !!!!!!!!

tute huve dil ki koi aawaaz nahi hoti,
bina dhun ke chalti hai koi saaz nahi hoti....

adhi zindagi kat gayee,
unke liye aansoo bahane mein,
aur adhi kat jaayegi,
unko yun manane mein.....

kya pata wo na maane,
aur laut kar na aayein,
shayad unhe tab hosh aaye,
jab hume wo maut ki bahon mein paayein.....

«Reply #21 on: July 01, 2005, 07:44:37 AM »
Reply with quote
Ninnah ji nice....
chun chun ke apne sheron ka agaaz toh ker diya
per hamein toh bas yuin hi beemaar ker diya.

bhool hai ki tootey dil ki awaaz nahi hoti
jubaan nahi hoti ya phir pehchaan nahi hoti
tareekh gawa hai bahey hain sailabon ke sailab
bas nahi bajenge woh saaj jinki taar nahi hoti.

Quote
tute huve dil ki koi aawaaz nahi hoti,
bina dhun ke chalti hai koi saaz nahi hoti....

adhi zindagi kat gayee,
unke liye aansoo bahane mein,
aur adhi kat jaayegi,
unko yun manane mein.....

kya pata wo na maane,
aur laut kar na aayein,
shayad unhe tab hosh aaye,
jab hume wo maut ki bahon mein paayein..... [quote/]
Logged
Ninaah
Guest
«Reply #22 on: July 01, 2005, 07:49:39 AM »
Reply with quote
ultimate harash..... a touching words.....

jhuk gaya tha aasmaa,
jab humne unhe pyar se bulaya tha,
har kali khil uthi, har phool muskuraya tha,
aur hawaon mein ik nasha chaya tha,
jinki raah dekhte huve pathra gayee thi nigahein,
phir wo kyon na inn rahon mein aaya tha,
unhi raahon ke humne sajde hazaar kiye,
unhi raahon mein phoolon ko bichaya tha
jab hum chale unhe unn rahon mein dhoondhne,
to unhe kisi aur ki bahon mein paaya tha,
hum roye yun jaar-jaar,
hum unhone ne nahi, apni kismat ne rulaya tha......

Quote from: "harashmahajan"
Ninnah ji nice....
chun chun ke apne sheron ka agaaz toh ker diya
per hamein toh bas yuin hi beemaar ker diya.

bhool hai ki tootey dil ki awaaz nahi hoti
jubaan nahi hoti ya phir pehchaan nahi hoti
tareekh gawa hai bahey hain sailabon ke sailab
bas nahi bajenge woh saaj jinki taar nahi hoti.

tute huve dil ki koi aawaaz nahi hoti,
bina dhun ke chalti hai koi saaz nahi hoti....

adhi zindagi kat gayee,
unke liye aansoo bahane mein,
aur adhi kat jaayegi,
unko yun manane mein.....

kya pata wo na maane,
aur laut kar na aayein,
shayad unhe tab hosh aaye,
jab hume wo maut ki bahon mein paayein.....
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #23 on: July 01, 2005, 08:01:25 AM »
Reply with quote
bahoot acchay Ninnah ji...

khud ko kho chukey hain hum
unki justju kerkay,
kahin ab berookhi unki
kafan mera na ban nikley

Shama ager de gair ke
gharon mein roshani
toh zindagi mein kyuin koi
wafa kiya kare.

Ninnah wrote
Quote
ultimate harash..... a touching words.....

jhuk gaya tha aasmaa,
jab humne unhe pyar se bulaya tha,
har kali khil uthi, har phool muskuraya tha,
aur hawaon mein ik nasha chaya tha,
jinki raah dekhte huve pathra gayee thi nigahein,
phir wo kyon na inn rahon mein aaya tha,
unhi raahon ke humne sajde hazaar kiye,
unhi raahon mein phoolon ko bichaya tha
jab hum chale unhe unn rahon mein dhoondhne,
to unhe kisi aur ki bahon mein paaya tha,
hum roye yun jaar-jaar,
hum unhone ne nahi, apni kismat ne rulaya tha......

Logged
Ninaah
Guest
«Reply #24 on: July 01, 2005, 08:15:50 AM »
Reply with quote
awsome harash...........

chin lee khushiyan humse khuda ne,
yaadon ko humne dil mein raakh kiya,
ek jhalak bhi na dekh paaye apne pyar ki,
aur jamane ne unhe supurd-e-khaq kiya.....

«Reply #25 on: July 01, 2005, 08:23:32 AM »
Reply with quote
Lagta hai...bekhata ko saja mili hai....koi namuraad hi tha jo jakhmaon ko sone nahi deta...a lovely write..Ninnah ji...

ho rahey ye haadse
baat kutch toh jaroor hai
aadmi jo aam hai
her tarah be-kasoor.
ker raje badnaamian
our bin adaalat faisla
shaks jo paaye saja
bebas our majboor hai.

Quote
chin lee khushiyan humse khuda ne,
yaadon ko humne dil mein raakh kiya,
ek jhalak bhi na dekh paaye apne pyar ki,
aur jamane ne unhe supurd-e-khaq kiya.....

Logged
Ninaah
Guest
«Reply #26 on: July 01, 2005, 08:27:38 AM »
Reply with quote
ultimate & awsome harash.......

jo saza aasani se seh jaaye,
wo itna kyon majboor hai,
wo maut ke itna kareeb hai,
kyon zindagi se door hai....

Quote from: "harashmahajan"
Lagta hai...bekhata ko saja mili hai....koi namuraad hi tha jo jakhmaon ko sone nahi deta...a lovely write..Ninnah ji...

ho rahey ye haadse
baat kutch toh jaroor hai
aadmi jo aam hai
her tarah be-kasoor.
ker raje badnaamian
our bin adaalat faisla
shaks jo paaye saja
bebas our majboor hai.

Quote
chin lee khushiyan humse khuda ne,
yaadon ko humne dil mein raakh kiya,
ek jhalak bhi na dekh paaye apne pyar ki,
aur jamane ne unhe supurd-e-khaq kiya.....

Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #27 on: July 01, 2005, 08:39:39 AM »
Reply with quote
ninnah ji bahoot khoob....

be-waqt kaali raat mein
doob chuke hain hum
ki roshani ki 'harsh'
khud hamne chura liya.

Quote
jo saza aasani se seh jaaye,
wo itna kyon majboor hai,
wo maut ke itna kareeb hai,
kyon zindagi se door hai....

Logged
Ninaah
Guest
«Reply #28 on: July 01, 2005, 08:50:09 AM »
Reply with quote
jab roshni he chin jaaye zindagi ki,
zindagi bhi ab zindagi na rahi,
har gum ko seene se laga liya,
ab koi khushi bhi ab khushi na rahi...

Quote from: "harashmahajan"
ninnah ji bahoot khoob....

be-waqt kaali raat mein
doob chuke hain hum
ki roshani ki 'harsh'
khud hamne chura liya.

Quote
jo saza aasani se seh jaaye,
wo itna kyon majboor hai,
wo maut ke itna kareeb hai,
kyon zindagi se door hai....

Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #29 on: July 01, 2005, 08:53:09 AM »
Reply with quote
hey..lovely...

lekin tu muzko ye bata
muzse tha kya gila
dwesh ke sholon mein jo
dil tak jala diya.

Quote
jab roshni he chin jaaye zindagi ki,
zindagi bhi ab zindagi na rahi,
har gum ko seene se laga liya,
ab koi khushi bhi ab khushi na rahi...

Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 12:13:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer