aankhein

by ADIK on January 29, 2011, 05:54:34 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1048 times)
ADIK
Guest
Reply with quote
yeh aankhein jo is tarah se kissi ko dekti hain,
kahin kissi ko gayal na kar dein.
khuda ka shukar hai hum DOST hain,
warna kahin ye humara hi katal na kar dein.....

Written By Anil R Bhbardwaj

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
***Aankhein*** by badnaam_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 35 36 »
aankhein our dil by saahill in Share:Love Poetry
bardasht aankhein*** by pradeep kumar attri in Shayri for Khumar -e- Ishq
Aankhein by Gyan Prakash in Shayari -e- Husn
AANKHEIN by saahill in Miscellaneous Shayri
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #1 on: January 29, 2011, 06:06:16 AM »
Reply with quote
khubb
dosti ki dhaal hai issliye ab tak qatl hone se bache hain Usual Smile
Logged
ADIK
Guest
«Reply #2 on: January 29, 2011, 06:14:01 AM »
Reply with quote
uski najarein toh kuch kehti hai mujhe
par uski jubaan ne kabhi uska sath na diya
mere aks mein who rehna chahti hai
par sarhadoin ne kabhi uska sath na diya

Written By Anil R Bhbardwaj
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #3 on: January 29, 2011, 06:17:42 AM »
Reply with quote
mohabbat uske bas ki baat nahi dost---
jo sarhadon ko paar na kar sake
***
Logged
ADIK
Guest
«Reply #4 on: January 29, 2011, 06:30:55 AM »
Reply with quote
log kehte hain who pyar nahi jo sarhadein par na kar sake
Jo zamane bar se lad kar pyar ko hasil na kar sake
mujhe toh bus ye bata do ke pyar lad kar kab hasil hua hai
Or who pyar nahi jo kissi ko dard de kar paya ja sake

Written By Anil R Bhbardwaj
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #5 on: January 29, 2011, 06:41:50 AM »
Reply with quote
Chanakya niti kahta hai---
gar chen o aman chahte ho dost
fir ladne ko bhi taiyaar raho--
--
mohabbat paana chahte ho
to fir marne ko bhi taiyaar raho---
bina lade koi marta nahi.
***
kuch deewane kahte hain--
mohabbat uska bewafa nikla usse chhodd kisi aur ka ho gaya---
KB kahta hai bewfa tum khud ho kyunki tum apni mohabbat ko paane ke liye zamaane se lad na sake
***
Logged
kishan8888
Guest
«Reply #6 on: January 29, 2011, 06:48:22 AM »
Reply with quote
mashha alahaa achhi rachna
Logged
ADIK
Guest
«Reply #7 on: January 29, 2011, 06:56:13 AM »
Reply with quote
pyar kar baithe usse jisse hum bewafa bhi nahi keh sakte
dil tod diya jisne mera usse pathar dil bhi nahi keh sakte
dard toh usse bhi hua hoga itna assan nahi kissi ko bhul jana
ab kaise ji rahe honge jo kehte the tere bin nahi reh sakte

written By Anil R Bhardwaj
Logged
ADIK
Guest
«Reply #8 on: January 29, 2011, 07:50:49 AM »
Reply with quote
is dil ne khawab toh kai dekhe magar pura koi na hua
Maine jisse bhi chaha who kabhi mera na hua
kaisa naseeb hai mera ya yahi meri zindagi hai
tanha raha ta umar main or tanha hi marna hua

written By Anil R Bhardwaj
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #9 on: January 29, 2011, 07:58:45 AM »
Reply with quote
baate aapki aur shayri aapka
Sahill jaisi lagti hai hume.
well---
suniye pyar sirf ek se hota hai dost--
*jisse bhi chaha wo mera na hua--*
ye aapki line mere gale se nahi utarti
--
ab ye sach hai tanha aye aur tanha jayenge--ye mere jaise sanyasiyon ka kathan hai baalak--:)
lekin ek baat kahunga ke agar kisi ko chahte hain to usko paao ya fir chuppchap bhul jao-- bina shikayat ke mere dost.
Logged
ADIK
Guest
«Reply #10 on: January 29, 2011, 08:23:26 AM »
Reply with quote
jisse bhi maine panna chaha,
chahe woh dost ho ya mohobaat woh kabhi mera na hua,
jitna kissi ke pass jana chaha utna main akela hota gaya
Logged
ADIK
Guest
«Reply #11 on: January 29, 2011, 08:33:23 AM »
Reply with quote
Dost ho ya Mohobbat jisse bhi maine panna chaha,
Who Kabhi mera na hua
jitna kissi ke pass jana chaha utna main akela hota gaya
Par koi kabhi mera na hua

written By Anil R Bhardwaj
Logged
ADIK
Guest
«Reply #12 on: January 29, 2011, 08:55:36 AM »
Reply with quote
Pehli Baar Tuta tha, jab mera dil,
Main janta hun mujhe kitna dard hua tha,
Sath the sab mere, par unke liye mera dil roya tha.
Hansta tha jab woh samne se gujarti thi,
Par unke jane ke baad dil kitna roya tha.
Khushiyan thi jamane baar ki,
Par jab tuta dil mujhe kitna dard hua tha.
Khuishiyan toh bahut thi, par gam pehli baar dekha tha.
Apni hi ankhoin se, laho behte dekha tha.
Khud ko tanha aur tadpta dekha tha.
Main sochta tha uske bina jinda nahi reh paunga,
Par badlte waqt ke khud ko badlta hua dekha.
Aaj na woh hai na uski yaad, aaj phir mera dil azad hai.
Ankhoin mein aaj koi chehra, aur hothoin pe koi naam hai.

From Anil R BHardwaj, Mail@ anilrbhardwaj@gmail.com
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:24:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.155 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer