aawaaZ Dilki

by ek_tamanna on March 21, 2011, 01:08:41 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1443 times)
ek_tamanna
Guest
Reply with quote
JunooN-e-ishq kee sab khastah-paaiyaaN
tohmateiN, badnaamiyaaN ,rusvaaiyaaN..

failaa huwaa hai abb to char soo jaise...
udaasiyaaN, khamoshiyaaN,  viraaniyaaN

raah-e-wafa meiN chal ke hasil hua hume
jafaayeiN, bechainiyaaN, makkaariyaaN

saltanat luti, meri mohabbat ki, to mili
bebasiyaaN, mehroomiyaaN, tanhaaiyaaN

hal e tang guzre ki ab guzar hi jaye zindagi
majbooriyaN, mazloomiyaaN, muflisiyaaN

dafnaa diyaa seene meiN har Qissaa terii
bhalaaiyaan, buraaiyaaN, bewafaaiyaaN

***tohmateiN, badnaamiyaaN ,rusvaaiyaaN..
yeh line ek mashahoor ghazal ki hai ............

main apni soch ko is line ke saath jurne ki koshish ki hun
umeed hai pasand aayegi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
MEIN HON DILKI RANI.... by CoolGirl in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction « 1 2  All »
Aawaaz by younus_syed in Shayri for Khumar -e- Ishq
dilki aavazko bas he sunte jana.............jyuthika... by jyuthika in Miscellaneous Shayri
darkhast iss dilki manzur kijjiye..jyuthika... by jyuthika in Shayri for Khumar -e- Ishq
dilki batoko ....jyuthika... by jyuthika in Shayri-E-Dard
salma786
Guest
«Reply #1 on: March 21, 2011, 01:10:33 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Applause Applause Applause
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #2 on: March 21, 2011, 01:11:53 PM »
Reply with quote
bht bht bht khoob tammanna ji.....
i lyk last one alot....
Logged
ek_tamanna
Guest
«Reply #3 on: March 21, 2011, 01:12:43 PM »
Reply with quote
sukriya salma ji
Logged
ek_tamanna
Guest
«Reply #4 on: March 21, 2011, 01:13:27 PM »
Reply with quote
thanx a lot manzil ji.................
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #5 on: March 21, 2011, 01:29:48 PM »
Reply with quote
Ek mast koshish Tamanna-di.....very well conceived.... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower

"char soo" ye samajh nahi aaya...bataana kya matlab hai....

 Ess kavita ko padhkar milti hain tumhe....
 Taaliyein, Taaliyein, taaliyein..... Clapping Smiley

JunooN-e-ishq kee sab khastah-paaiyaaN
tohmateiN, badnaamiyaaN ,rusvaaiyaaN..

failaa huwaa hai abb to char soo jaise...
udaasiyaaN, khamoshiyaaN,  viraaniyaaN

raah-e-wafa meiN chal ke hasil hua hume
jafaayeiN, bechainiyaaN, makkaariyaaN

saltanat luti, meri mohabbat ki, to mili
bebasiyaaN, mehroomiyaaN, tanhaaiyaaN

hal e tang guzre ki ab guzar hi jaye zindagi
majbooriyaN, mazloomiyaaN, muflisiyaaN

dafnaa diyaa seene meiN har Qissaa terii
bhalaaiyaan, buraaiyaaN, bewafaaiyaaN

***tohmateiN, badnaamiyaaN ,rusvaaiyaaN..
yeh line ek mashahoor ghazal ki hai ............

main apni soch ko is line ke saath jurne ki koshish ki hun
umeed hai pasand aayegi

Logged
Anshumali
Guest
«Reply #6 on: March 22, 2011, 03:20:38 AM »

Good One ... Tamanna Ji !

Good Expression ... dil se daad !!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #7 on: May 12, 2011, 07:15:10 PM »
Reply with quote
Tamanna Jee Aadaab!

Aapko is mehfil meiN dekhkar behad masarrat huyi... Usual Smile
Yakeen janiye aapko padhkar betahasha hairat hoti hai
ke aap itna khoob kaise likha leti hai... Usual Smile

Bahut umdaa kalaam kahi hai aapne... behad achche khayal
aur adaygi rahi... Usual Smile bus kuch khamiyaaN hai jo ki aapki
zubaaN ke wajaah se humesha aati rahi hai unhe durust kar
rahe hai Usual Smile
Ummid hai aap bura nahi maneNgi Usual Smile

Aapki is kalaam par deri se aane ke liye muafi chahte
hai.... dar asal waqt ki tangi ke chalte yahaaN aana
behad kam ho gaya hai... Usual Smile

,,,,,,,,,.............,,,,           

JunooN-e-ishq kee sab khastah-paaiyaaN
tohmateiN, badnaamiyaaN ,rusvaaiyaaN..

Kia kahne bahut khoob behad achcha matla kaha hai.. Usual Smile     

failee huyi hai abb to char soo jaise...
udaasiyaaN, khamoshiyaaN,  viraaniyaaN

Kia baat hai waah bahut khoob ...
     
raah-e-wafa meiN chal ke hasil huyi hume
jafaayeiN, bechainiyaaN, makkaariyaaN

Kia khoob such ko anjaam diya hai aapne
daad daad daad Usual Smile     

saltanat luti, meri mohabbat ki, to mili
bebasiyaaN, mehroomiyaaN, tanhaaiyaaN

Waah waah jee bahut khoob daad daad daad Usual Smile     

hal e tang guzre ki ab guzar hi jaye zindagi
majbooriyaN, mazloomiyaaN, muflisiyaaN

Achcha sher hai daad Usual Smile     

dafnaa diyaa seene meiN har Qissaa teraa
bhalaaiyaan, buraaiyaaN, bewafaaiyaaN

Behad khoob daad ... aik surat humare zaheN meiN bani hai dekhiye..     

Dafnaa di seene meiN har nishani terii
BhalaiyaaN, BuraaiyaaN, bewafaaiyaaN... Usual Smile         

***tohmateiN, badnaamiyaaN ,rusvaaiyaaN..
yeh line ek mashahoor ghazal ki hai ............

main apni soch ko is line ke saath jurne ki koshish ki hun
umeed hai pasand aayegi

Bahut umdaa aur behad khoob kalaam se bazm ko nawaza hai aapne.... Aise hi umdaa kalaamoN ke saath aate rahiye

Likhati rahiye...
Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez... Usual Smile         

Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #8 on: May 12, 2011, 09:26:39 PM »
Reply with quote
Wah wah,bahut dard bhari,peshkask Ek tamanna ji.great work Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #9 on: May 17, 2011, 12:22:28 PM »
Reply with quote
JunooN-e-ishq kee sab khastah-paaiyaaN
tohmateiN, badnaamiyaaN ,rusvaaiyaaN..

failaa huwaa hai abb to char soo jaise...
udaasiyaaN, khamoshiyaaN,  viraaniyaaN

raah-e-wafa meiN chal ke hasil hua hume
jafaayeiN, bechainiyaaN, makkaariyaaN

saltanat luti, meri mohabbat ki, to mili
bebasiyaaN, mehroomiyaaN, tanhaaiyaaN

hal e tang guzre ki ab guzar hi jaye zindagi
majbooriyaN, mazloomiyaaN, muflisiyaaN

dafnaa diyaa seene meiN har Qissaa terii
bhalaaiyaan, buraaiyaaN, bewafaaiyaaN

***tohmateiN, badnaamiyaaN ,rusvaaiyaaN..
yeh line ek mashahoor ghazal ki hai ............

main apni soch ko is line ke saath jurne ki koshish ki hun
umeed hai pasand aayegi

KYA KAHNE HAIN TAMANNA JI BAHUT KHOOB
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 07:09:04 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer