Adhoori hai

by Pooja on September 06, 2004, 04:17:54 AM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9
ReplyPrint
Author  (Read 12938 times)
Pooja
Guest
«Reply #105 on: October 16, 2008, 08:35:35 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause wah wah wah kaya baat hai Qutubuddin ji!!!

Us Pal Tum Ro Do Ge
Hum Ko Tum Kho Do Ge   Clapping Smiley
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
yeh doori bhi hai adhoori! by kismis in Shairi - E - Zindagi
adhoori rahegi by salil2002 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Tum Bin Yeh Zindagani Adhoori Hai...!!! by Delicate_Doll in Shayri-E-Dard
Chahat Adhoori,. by Azeem Azaad in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
***Zindagi Adhoori Hai*** by AVTAR RAYAT in Shayri for Khumar -e- Ishq
Qutubuddin
Guest
«Reply #106 on: October 16, 2008, 09:44:18 PM »
Reply with quote
Sukreyaa...



Woh jo aaye hayaat yaad aayi,
Bhuulii bisri sii baat yaad aayi,

Haal-e-dil keh ke jab laute,
Unse kehne kii baat yaad aayi,

Aapne din banaa diyaa thaa jise,
Zindgii bhar vo raat yaad aayi,

Tere dar se uthe hii thay ke haemin,
Tangii-e-qaayenaat yaad aayi..

Ques...

Logged
Pooja
Guest
«Reply #107 on: October 16, 2008, 09:48:51 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Qutubuddin ji
Logged
sanju1584
Guest
«Reply #108 on: October 26, 2008, 04:00:13 AM »
Reply with quote
ab aa bhi jao ki jindagi adhoori hai
tumhare bin tumhari yaanden bhi adhoori hai
her ahat per dil yah dharkta hai
tere bin yah dharkati dharkane bhi adhoori hai



hi puja ji........mene aapki shayari padhi aap bahut accha likhati he.......vese muze shayari likane ka shok nahi per padhana accha lgata he...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #109 on: October 26, 2008, 05:19:23 AM »
Reply with quote
shukaria sanju ji!!! jo shayri padte hai wo likh bhi sakte hai, aisa mera man.na. app try kar ke dekhein.. pahle sirf 2 ya 4 lines se try kare...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #110 on: October 26, 2008, 05:55:03 AM »
Reply with quote
Ajnabi sheher ke ajnabi raste,
Meri tanhai par muskurate rahe,


Main bahut der tak yuhi chalta raha,
Tum bahut der tak yaad aate rahe,


Zeher milta raha zeher peeta raha,
Roz marte rahe roz jeete rahe,


Zindagi bhi hume azmaati rahi,
Or hum bhi usse azmaate rahe,


Kal kuch asia hua main bahut thak gaya,
Isko sun kar bhi unsuni kar gaya,

Dil ke zakhmo ke dar khatkhate rahe,
Hum tumhari yaddon ke sahare jagte rahe.

Ques...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #111 on: October 26, 2008, 06:31:22 AM »
Reply with quote
wah wah kaya baat hai Ques ji.... bahoot acha likha hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #112 on: July 10, 2009, 04:36:16 PM »
Reply with quote
Main Tumse Bichad Kar Nahin Faryaad Karoon Gaye
Bhool Jaao Ke Main Tumhein Yaad Karoon Ga
 
Iss Shehar-e-Be-wafa Mein Wafa Ki Qadar Kahan
Abb Jaa Ke Main Sehraon Ko Aabaad Karoon Ga
 
Gar Dil Ke Taaluq Say Hai Inkaar Woh Karta
Main Rooh Ke Rishtey Say Bhi Aazaad Karoon Ga
 
Shayad Khushi Sakoon Mein Rahat Na Mili Ho
Gham Dey Ke Apney Dil Ko Main Abb Shaad Karoon Ga
 
Dil Bhi Udaas Reh Ke Abb Ukta Sa Gaya Hai
Abb To Naya Hi Shughal Main Ijaad Karoon Ga
 
Hai Maira Zarf Teri Wafa Say Kahin Barrh Kar
Aey Be-wafa Tujhey Main Kyun Barbaad Karoon Ga
 
Tu Bhi Bichad Gaya Haaye! Dil Bhi Udaas Hai
Kis Say Bayaan Apni Main Roodad Karoon Ga


N/M

Ques...


Nice sharing QTB ji!! Missing your poetry on Yoindia these days!!!
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #113 on: July 10, 2009, 06:01:26 PM »
Reply with quote
Samandar ho aur kanara ho
Ek ghum k bas humara ho

 Duub hi jane ko kabhi
Koy to ek sahara ho

 EK haadsa eisa bhi guzra
K jee chaye dobara ho

 Kabhi to yun dekh jao tum
K akela suba ka sitara ho

 Sanbhul sakon na phir kabhi
Koy eisa bhi khasara ho

 Neend yun khul jaye jaise
Yunhi kisi ne pukara ho

 Urta rahoon par baras na paon
jaise badal ek awara ho

 Har ek moor par hum ne socha
Koun sa rasta tumara ho

 Ahmer jis main bahta jaon
Wafa ka koy to dhara ho!!!


N/M
Ques...


Logged
Pooja
Guest
«Reply #114 on: July 10, 2009, 06:13:08 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai nice shring qtb ji...
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #115 on: July 10, 2009, 06:14:59 PM »
Reply with quote
Nice sharing Ques Ji
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #116 on: July 10, 2009, 07:46:50 PM »
Reply with quote
Aap dil ki anjuman main
Husn ban kar aaa gaye

Ek nasha sa chaa gaya
Hum ben piye lahra gaye

Dekhye to kar rahi hay
Har nazar jhuk kar salam

Sochiye to yeh deloon ki
Dharkanon ka hay pahgam

Hum ne dil ko kar deya hay
Un haseen aankhon k naam

Jen haseen aankhon se ham
Raz_e_mohabbat paa gaye

Phool ban kar khil uthe hain
Aap k ane se hum

Shama ban kar duur rahte
Kaise parwane se hum

Dharkanon se geet ubre aur
Laboon par chaa gaye


N/M

Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #117 on: July 10, 2009, 07:49:19 PM »
Reply with quote
Sharing Last for today..


Usual Smile

Hum se badal gaya
Woh nigaheen to kiya huwa

Zinda hain kitne loog
Mohabbat kiye bagaer

 Guzre dinon main jo kabhi
Gunje the kahkahey

Ab apne ikhtiyaar main
Woh bhi naheen rahe

 Kismat main rah gayi hain
Jo ahhain to kiya huwa

Sadma yeh jhelna hay
Shikayat kiye bagaer

 Woh samne bhi ho to na
kholeen ge hum zubaan

Likhi hay us k chehre pe
Apni hi dastaan

 Us ko taras gayi hain
Yeh baheen to kiya huwa

Woh looot jaye hum pe
Enayat kiye bagaer

 Pahly kareeb tha koy
Ab duriyaan bhi hain

Insaan k naseeb main
Majboriyaan bhi hain

 Apni badal chuka hay
Woh raheen to kiya huwa

Hum chup raheen ge
Us ko malamat kiye bagaer

N/M

Ques...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #118 on: July 10, 2009, 07:50:45 PM »
Reply with quote
wah wah kaya baat hai QTB ji!! bahoot khoob!! Atte raha kare!!
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #119 on: July 10, 2009, 08:01:39 PM »
Reply with quote
Aapnay Yaad keyaa,
Iseeleya Bandaa Hazeer Ho Gaya..

Pheer Jab Yaad Karaygay aap,
Hum Hazeer ho jayaa gay janab..

Ques...
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:51:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer