Ai mausam e bahaar, mera dil hai be qaraar.

by Ghulam Haider on July 03, 2010, 12:25:54 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1019 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
Ahl e bazm aadaab ! Is ghazal mein main ne ye fikr pesh ki hai ke mere firaaq mein meri maHbooba ki kya haalat hai aur woh mujh se kis tarah apne haal ka izhaar karti hai. Har chand is ghazal ka shayer main hoN, Lekin apne tasavvur aur ihsaas ke zariye maiN ne apni mahbooba ke khayaal ko qalamband kiya hai. Is baat ki taraf maiN ne is liye ishaarah karna zuroori samjha hai ke koi bhi naazir, maqta' par baghair soche samjhe ia'tiraaz na kare baiThe. Aap ki aaraa mere liye mufeed haiN.

Ai mausam e bahaar, mera dil hai be qaraar.
Har shai pe hai nikhaar, mera dil hai be qaraar.

Chamke kahiN se koii to ummeed ki kiran,
Mushkil hai intizaar, mera dil hai be qaraar.

BetaabiyoN meN raat guzaari hai jaag kar,
Jaa neeNd ke khumaar, mera dil hai be qaraar.

Is aamad e bahaar se ai hamsafar terii,
Yaad aaye baar baar, mera dil hai be qaraar.

Kaisa sukoon har ghaRi tere firaaq ka,
Chubhta hai dil meiN khaar, mera dil hai be qaraar.

AaNkheN chhalak utheNgi jo chheRoN maiN dil ka saaz,
TooTa hai dil ka taar, mera dil hai be qaraar.

KaT te NahiN firaaq ke lamhe, kisi tarah-
-aata nahiN qaraar, mera dil hai be qaraar.

Haider ye mukhtasar si hai faurqat ki daastan,
Ai mere gham gusaar mera dil hai be qaraar.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~*~ Mila Hai Qaraar ~*~ by Qutubuddin in Shayri-E-Dard
mausam ki bahaar by sanya310 in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Muddat se jis ke waaste dil be qaraar tha by hina ki talsah in Other Languages
Meri Chahat Mera Ess Dil Ka Qaraar Hai Tu by ishu_singh10 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mera Fasl-e-Gul se Hisab hai, Mera Karz Tay Hai Bahaar Par..... by vipul kumar in Ghazals
riyaz106
Guest
«Reply #1 on: July 03, 2010, 05:33:38 AM »
Reply with quote
Bahut shandaar aur purkashish ghazal kahi hai janab Haider Sb. Taghazzul se pur aur har lihaaz se mukammal is takhleeq ke liye mubarakbaad aur daad qubool farmayen.

Is hal-e-zaar ki unhen koi to de khabar
Ankhen hain ashkbaar mera dil hai beqaraar
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #2 on: July 03, 2010, 10:45:27 PM »
Reply with quote
Bahut shandaar aur purkashish ghazal kahi hai janab Haider Sb. Taghazzul se pur aur har lihaaz se mukammal is takhleeq ke liye mubarakbaad aur daad qubool farmayen.

Is hal-e-zaar ki unhen koi to de khabar
Ankhen hain ashkbaar mera dil hai beqaraar
Bohot khoob janaab ! Kya hi khoobsoorat aur chaspaN shea'r pesh kiya hai. Meri taraf se is jaalib shea'r par daad qubool farmaayeN.
  Ham fikr o ham khayaal jo Thehre hamaare aap,
  Dil meN hamaare, aap ka ooNcha muqaam hai.
 
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:09:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer