Aye Khuda Main sirf tere paas rona chahta hun

by Hashim Prince on January 23, 2013, 01:59:44 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 18286 times)
Hashim Prince
Guest
Reply with quote


Bahut thak chuka hu ab sona chahta hu
Apni is zindagi ko khona chahta hu
Aye mere Khuda bulale mujh ko apne pass
Main sirf tere pass rona chahta hoon

Kasoor us ko kyu dun
Ilzaam khud pe kyu lun
Jitna pyaar...Jitni khushiya us ke saath kismat me likhi hain
Utni hi mujhe mili hain

Tujhe chor ke jana meri khushi nahi hai
Tera mera gum ek hai
Lekin itna majboor kar diya tu ne mujhe
Ke aaj faisla kiya chor ke jane ka tujhe

Jaise main rota tha din raat tere liye
Aaj usi tarah tu royegi din raat mere liye

Ye mat samajhna main bewafa nikla hun
Yeh mat samajhna ke tujhse badla le raha hun
Tujh se door hona mera sab se bada gum hai
Teri khushi ke liye tujhe chorna pada hai

Yeh pyaar kabhi kabhi insaan se sab kuch cheen leta hai
Aansoo aur ek toote dil k alawa kuch nahi rehta hai
Aye mere Khuda bulale mujh ko apne pass...
Main sirf tere pass rona chahta hun...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sirf rona hai by suryamani in Shayri-E-Dard
Sirf apne Gham me Rona nahi zindagi hai by @kaash in Shairi - E - Zindagi
Rona chahta hu............... by md.ayad in Shayri-E-Dard
Tere Paas Aane Ko Ji Chahta Hai... by Iqtedar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Main Rona Chahta Hoon,. {Azeem-Aarzu} by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
Hashim Prince
Guest
«Reply #1 on: January 23, 2013, 02:02:07 PM »
Reply with quote


Yoon hum ko satane ki zaroorat kya thi,
Dil mera jalane ki zaroorat kya thi.

Jo nahi tha ishq to keh diya hota,
Dil tor ke jaane ki zaroorat kya thi.

Maloom tha gar ye khwab toot jayenge,
Neend mein aa kar uthane ki zaroorat kya thi.

Ishq par lagti rahegi har daur mein pabandi,
MAshooq ko majboor banane ki zaroorat kya thi.

Maan lo gar yeh ek tarfa mohabbat thi,
Mujh ko dekh kar muskurane ki zaroorat kya thi....
Logged
lovely_charan
Guest
«Reply #2 on: January 23, 2013, 02:02:47 PM »
Reply with quote


Bahut thak chuka hu ab sona chahta hu
Apni is zindagi ko khona chahta hu
Aye mere Khuda bulale mujh ko apne pass
Main sirf tere pass rona chahta hoon

Kasoor us ko kyu dun
Ilzaam khud pe kyu lun
Jitna pyaar...Jitni khushiya us ke saath kismat me likhi hain
Utni hi mujhe mili hain

Tujhe chor ke jana meri khushi nahi hai
Tera mera gum ek hai
Lekin itna majboor kar diya tu ne mujhe
Ke aaj faisla kiya chor ke jane ka tujhe

Jaise main rota tha din raat tere liye
Aaj usi tarah tu royegi din raat mere liye

Ye mat samajhna main bewafa nikla hun
Yeh mat samajhna ke tujhse badla le raha hun
Tujh se door hona mera sab se bada gum hai
Teri khushi ke liye tujhe chorna pada hai

Yeh pyaar kabhi kabhi insaan se sab kuch cheen leta hai
Aansoo aur ek toote dil k alawa kuch nahi rehta hai
Aye mere Khuda bulale mujh ko apne pass...
Main sirf tere pass rona chahta hun...

khub./
bahut acha likha hai aapne..
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #3 on: January 23, 2013, 02:46:51 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut sundar, bahut bahut khoob likha hai aapne Hashim ji....!!!
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: January 23, 2013, 02:56:54 PM »
Reply with quote
good
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #5 on: January 23, 2013, 11:46:38 PM »
Reply with quote
Zindagi se surrender karna gandi baat.
Logged
Miru;;;;
Guest
«Reply #6 on: January 24, 2013, 02:10:32 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #7 on: January 24, 2013, 07:26:13 AM »
Reply with quote
very nice
Logged
aqsh
Guest
«Reply #8 on: January 24, 2013, 01:44:40 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
beautiful one...
Logged
prashad
Guest
«Reply #9 on: January 25, 2013, 12:09:44 PM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
imran.ik398@gmail.com
Guest
«Reply #10 on: January 25, 2013, 10:48:06 PM »
Reply with quote


Yoon hum ko satane ki zaroorat kya thi,
Dil mera jalane ki zaroorat kya thi.

Jo nahi tha ishq to keh diya hota,
Dil tor ke jaane ki zaroorat kya thi.

Maloom tha gar ye khwab toot jayenge,
Neend mein aa kar uthane ki zaroorat kya thi.

Ishq par lagti rahegi har daur mein pabandi,
MAshooq ko majboor banane ki zaroorat kya thi.

Maan lo gar yeh ek tarfa mohabbat thi,
Mujh ko dekh kar muskurane ki zaroorat kya thi....

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:29:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer