Basa lene de aakho.n me.n tere is chehrey ko

by irshad ahmed siddiqui on October 22, 2010, 06:09:16 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1231 times)
irshad ahmed siddiqui
Guest
Reply with quote
Basa lene de aakho.n me.n tere is haseen chehrey ko
tadapti huii nigaho.n ko fir kabhi tera didar mile na mile

fursat se khilne do gulo.n ko chaman mei.n
is ujde huey gulshan ko fir kabhi bahaar mile na mile

do chaar pal hi sahi teri pehlu mei.n gujar jaane de
is be-chaine dil ko fir kabhi qaraar mile na mile

gaur se dekh le mujh ko mere mitt jane se pehle
ke fir kabhi tujh ko mujh sa yaar mile na mile

bahut sambhal kar rakhna tum meri rudaad-e-mohabbat
kisi kitaab mei.n fir kabhi ek lafz "pyar" mile na mile

rudaad-e-mohabbat "Book of Love"  || irshad ahmed siddiqui ||
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aakho hi aakho me by tushar_4u_im in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
uski aakho by tushar_4u_im in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
SEDHE AAKHO by Dr Maqsood Hasni in Other Languages
Roti hui aakho ko......( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Swarg basa hai mera, aye maan tere charan mein................Iftakhar by Iftakhar Ahmad in Shairi - E - Zindagi
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: October 22, 2010, 06:14:54 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bht hi dilkash kalaam hai ye aapka irshadd ji bht hi khubsurat peshkash
Logged
sayyed aamir hussain
Guest
«Reply #2 on: October 22, 2010, 08:05:25 PM »
Reply with quote
dikha ke neecha kisi ko hidayate(n) kaisi
jata ke chhota kisi ko mahbbate(n) kaisi

dilo ko dena khushi bhi sawab hota hai
dukha ke dil ko kisi ke ibaadate kaisi

paraye dard pe aansu bhi kuch bahaya karo
khud apne dard pe rone ki aadate kaisi

ye zindagi bhi khuda ki ek aazmaeesh hai
to zindagi ke gamo ki shikayate kaisi

garib logo ko apna banaye rakhiyega
faqat ameero se milna sharafte kaisi

hamesha darna bado se darana chhoto ko
hamari duniya ki yeh hain rawayate kaisi

buraeeyon ko aur aibo ko doondna sab me
hamaare khoon me aayi hain khaslate kaisi

hai zindagi ka safar to nibhana rishto ka
zara si baat pe aapas me nafrate kaisi

bahut hi thodi si hoti hai zindagi Aamir
to mukhtasar se safar me adawate kaisi
Logged
sayyed aamir hussain
Guest
«Reply #3 on: October 22, 2010, 08:07:04 PM »
Reply with quote
Ranjshi hi sahi dil hi dukhane k liye
Aa phir se mujhe chor k jane k liye
Pehly se marasim na sahi phir bhi kabhi to
Rasm o rhe duniya hi nibhane k liye
Kis kis ko batain gai judai ka sabab hum
Tu mujh se khafa hy to zamane k liye
Kuch to mere pindaar e muhabbat ka bharam rakh
Tu bhi kabhi mujh ko manane k liye
Logged
sayyed aamir hussain
Guest
«Reply #4 on: October 22, 2010, 08:07:56 PM »
Reply with quote
Jo Chala Gya Mujhe Chor K
Main Kabhi Na Us Ko Bhula Saka
Wohi Dorian Wohi Fasle Main
Kabhi Na In Ko Mita Saka.
Kya Use B Mujh Se Pyar Tha
Ya Tabussum Us Ka Shuar Tha
Wo Koi Ajib Sawal Tha
Jo Meri Samajh Mein Na Aa Saka
Meri Zindagi Ka Sakoon Tha
Wo Mere Dil Ka Ik Janon Tha
Meri Bandagi Mera Pyar Tha
Yehi Bat Na Main Bta Saka
Yehi Sochta Tha Main Raat Bhar
wo Kabhi Mile Ga jo Raah Par
To Karon Ga Us Se Shikaitain
Wo Mila To Lab Na Hila Saka...
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #5 on: October 23, 2010, 07:48:02 AM »
Reply with quote
bahot khoob....irshad ji...
Logged
irshad ahmed siddiqui
Guest
«Reply #6 on: October 23, 2010, 11:08:23 AM »
Reply with quote
Wah Wah Janaab Kya Baat Hai
Mano Jaise Aapne Anjaane Mein
Humaare Hi Dil Ka Haal Likh Diya Ho.
Bahut Hi Achchi Lagi Aapki Peshkash

Hazaron Dilse Dad...

Khsuh Rahiye...

~Shihab~

Thankx Dear
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #7 on: October 23, 2010, 11:11:57 AM »
Reply with quote
Behetareen sidiqui ji bahut khoob likha hai...
Logged
irshad ahmed siddiqui
Guest
«Reply #8 on: October 23, 2010, 11:22:03 AM »
Reply with quote
Thankx dear
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: October 23, 2010, 09:30:48 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause
waah waah janaab sirf waah nikal raha hai mere hothon se aapke liye .. kya khoob likha hai... bahut bahut umda ... maan gaye sarkaar aapko .. bahut khoob likha hai...!!!
Logged
irshad ahmed siddiqui
Guest
«Reply #10 on: October 24, 2010, 09:00:57 AM »
Reply with quote
Thankx Hriday bhai...thankx
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 04:33:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.19 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer