bay khof

by chitralsony on February 16, 2009, 06:51:28 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1177 times)
chitralsony
Guest
Reply with quote
 yay jo drd bhara hamara wajood hay
 isay zinda rehnay ki kub bhala chah hogi
 
 yay jo pit giya apnay hi daav say
 isay ab bhala kub koyi khof e maat hogi
 
 
 wo jo khanjer e habeeb ka shikar howa
 osay kub wafa ki koyi bi aas  hogi

 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
khof-jada by Prabha prakas in Share: Poetry of Pain
Talat
Guest
«Reply #1 on: February 16, 2009, 09:01:05 PM »
Reply with quote
Nice one Chitral
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #2 on: February 16, 2009, 09:08:21 PM »
Reply with quote
yay jo drd bhara hamara wajood hay
 isay zinda rehnay ki kub bhala chah hogi
 
 yay jo pit giya apnay hi daav say
 isay ab bhala kub koyi khof e maat hogi
 
 
 wo jo khanjer e habeeb ka shikar howa
 osay kub wafa ki koyi bi aas  hogi

 



WAH CHITRA, bahut khoob likha

DARD BHAREY DIL MEH EK JAGAH KAR LOH
KISI PYARE DOST KOH YAHA JAMA KAR LOH
JINDAGI HASEEN LAMHEY FIR LOTADEGI
APNEY DARD MEH KISI APNEY KOH SHAMIL KAR LOH



JASBIR SINGH



Logged
chitralsony
Guest
«Reply #3 on: February 16, 2009, 09:18:04 PM »
Reply with quote
thank u celmira ji ,jabeer singh ji bhot khob ,lakin baz drd aysay hotay hain jinhay bhot sent kr rakha jata hay and osay hum kisi say bi share nahi kr saktay ,
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #4 on: February 16, 2009, 09:29:05 PM »
Reply with quote
thank u celmira ji ,jabeer singh ji bhot khob ,lakin baz drd aysay hotay hain jinhay bhot sent kr rakha jata hay and osay hum kisi say bi share nahi kr saktay ,

HAR DARD KAM HO JATA HAI
JAB APNEY KISI EK SEY
YEH SHARE HO JATA HAI

YAKEEN KAR KEY DEKH TOH LOH EH DOST
YEH WOH DARD NAHI JOH JAA LEWA HO JATA HAI



JASBIR SINGH
Logged
chitralsony
Guest
«Reply #5 on: February 17, 2009, 11:09:16 AM »
Reply with quote
jabeer singh ji loag apna ban kay hi tu sokon cheentay hain ,anjanay loag tu na app ko dukh daitay hain na khoshi apni dunia may magan hotay hain ,drd tu hamish loag apna ban kay daitay hain and hum shayed apnon pay bharosa bi bhot kertay hain na and jub maan tut jata hay to aas omeed khatum hojati hay na ,kisi shayer nay dunia kay loagon ki haqeeqat ko kiya khob biyan kiya hay,


 kon kub kisi ka hota hay
sub jhothay rishtay hotay hain
sub dil rakhnay ki batain hain
sub asli roop chuphatay hain
ekhlaas say khali loag yahan
lafzoon kay teer chalatay hain
aur sari omer tarpatay hain
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #6 on: March 21, 2009, 03:26:51 PM »
Reply with quote
jabeer singh ji loag apna ban kay hi tu sokon cheentay hain ,anjanay loag tu na app ko dukh daitay hain na khoshi apni dunia may magan hotay hain ,drd tu hamish loag apna ban kay daitay hain and hum shayed apnon pay bharosa bi bhot kertay hain na and jub maan tut jata hay to aas omeed khatum hojati hay na ,kisi shayer nay dunia kay loagon ki haqeeqat ko kiya khob biyan kiya hay,


 kon kub kisi ka hota hay
sub jhothay rishtay hotay hain
sub dil rakhnay ki batain hain
sub asli roop chuphatay hain
ekhlaas say khali loag yahan
lafzoon kay teer chalatay hain
aur sari omer tarpatay hain




Aap sach keh rahey ho sony, par



HUMRAAZ APNOH KOH BANAYA JATA HAI
GAIROH SEY DIL CHUPAYA JATA HAI
UMEEDEH JAB APNOH SEY BADD JATI HAI
CHOTI BHOOL KA BHI PAHAAD BANAYA JATA HAI
HUMRAAZ APNOH KOH BANAYA JATA HAI


ISS DUNIYA KI BHEED MEH HUM KUCH KOH CHUNTEY HAI
DIL LAGEY JISSEY, HUM DUNIYA FIR USI SEY BUNTEY HAI
DHOOP CHAV KI TARAH, RISHTEY BHI DAAYE BAAYE HOTEY HAI
HUM NASAMAJ SIRF UNKI KAMIYOH KOH HI KU CHUNTEY HAI




JASBIR SINGH



Logged
TOUSIFSHAIKHH
Guest
«Reply #7 on: March 21, 2009, 03:30:55 PM »
Reply with quote
Acha likha hai,
,
Dard sehne ki itni aadat ho gayi hai hame,
,
Dard na mile to dard hota hai.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #8 on: March 21, 2009, 03:40:53 PM »
Reply with quote
Acha likha hai,
,
Dard sehne ki itni aadat ho gayi hai hame,
,
Dard na mile to dard hota hai.






Thanks Tousif


DARD SEY RISHTA JODD RAKHA HAI
DARD HI TOH ABB MERI DAWA HAI
KHUSHIYA TOH KUCH PAL SAATH NIBHATI HAI
AKSAR JINDAGI TOH DARD MEH BHI BEET JATI HAI



JASBIR SINGH


Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:23:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer