<>*Bht haseen the wo pal *<>

by *KasaK*....Dil Ki on December 15, 2010, 08:56:56 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3405 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
Reply with quote
<>*Bht haseen the wo pal *<>

Bht haseen the wo pal jab main roz tumse mila karti thi
Sajti thi sanwarti thi  roz ek naye rang me dhala karti thi

Mehak uthti thi meri sansein jab main teri soch se machalti thi
Khanak uthti thi ye hasi jab tujhe khud me mehsus kiya karti thi

Ladkahadte kadmon se jab main tere kareeb se jaya karti thi
Thaam loge mujhe tum apni baahon me isly khudko aazmaya karti thi

Aaj bhi sanwarti hun main aur nikharti hun main usi tarah magar
Nahin hai wo bat mere shringaar me jo tere liye sajne pe hua karti thi

Khona padta hai aaj bhi mujhe unn mazboot baahon k ghere me
Par nahin wo athkheliyan jo tujhe mehsus bhar kar lene se hua karti thi

Aajao k ab to nahin sahi jaati ye jalan ye tadap mahobbat me doorie ki
Tujh bin beete har kaali raat yahan ..mujhe kaali naagin si dasa karti thi…!!!
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #1 on: December 15, 2010, 09:04:44 AM »
Reply with quote
wahhhh kya baat kya baat--
kisi ki yaad aagai ye padh kar
--bahut sundar pyar bhari wah wah--
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #2 on: December 15, 2010, 09:06:57 AM »
Reply with quote
Good one ANU Ji
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #3 on: December 15, 2010, 09:18:22 AM »
Reply with quote
mastammmmmmmmmmmmmmm hai reeeeeeeeeee...........
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

haan aaj bhi ye raat waisi hi hai jaisa hua karti thi,
raat me pyaar ki wo baat waisi hi hai jaisa hua karti thi,

aaj bhi mere khwaab me tum mere baahon ke ghere me hoti ho,
angraayi waise hi leti ho jaisa ki pehle liya karti thi,

ye doorie ka ehsaas hota hai jab main aankhen kholta hoon,
band aankhon me mere paas hoti ho jaise pehle hua karti thi,

ye pyaar bhi waisa hi hai, ye khumaar bhi wisa hi hai,
bas doorie jismon ki hai, par dil me aaj bhi ho jaise hua karti thi....
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #4 on: December 15, 2010, 09:20:07 AM »
Reply with quote
Good one Kapil
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #5 on: December 15, 2010, 09:25:58 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Rajesh ji....!!!
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #6 on: December 15, 2010, 10:16:43 AM »
Reply with quote
Bahut Khub Ati Sunder Likha Hai Aapne Kasak JI Aur Nice Response Kapil JI
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #7 on: December 15, 2010, 10:43:06 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Rishi ji...!!!
Logged
Intezar
Guest
«Reply #8 on: December 15, 2010, 11:01:45 AM »
Reply with quote
pyaara pyaara sa ehsaas hai bahut aapka... likhte rehiye aate rehiye...
aur Hriday ji bhi bahut badhiya hain ji... yun hi jawaab likhte rehiye... !

kyon naye rang mein dhal gaye tum
dekhte dekhte kitna badal gaye tum

reh gaya main ulajh kar tujhme aisa
meri saanson ko bhi mehka gaye tum

har baar maine mehsoos kiya tujhe kareeb
jab jab kareeb aakar aazmaa gaye tum

tere us sanwarne mein jaane kya raaz the
jis tarah saadgi se mujhe apna bana gaye tum

ehsaas tujhe ab bhi meri giraft ka hoga
mere jism ko nahi rooh ko jo chhu gaye tum

ki tujh bin main bhi jalta raha is aag me
jo kareeb aakar mere dil me lagaa gaye tum... !

Intezar !
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #9 on: December 15, 2010, 01:12:21 PM »
Reply with quote
kAMAAL-dHAMAAL MACHA DIYA AAJ TOU.....AAPNE Anu-di..... icon_flower icon_flower icon_flower Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Dilkash they wo lamhe....
Par kho gaye samay ki dhaar mai...
Beh gaye Teri-meri pakadd se durr...
Ab kewal yaadein hain bas yaadein....

Lautenge kabhi wo pal kaise karun mein vishwaash
Sajti hu sawarti hu ab bhi par mann rehta niraash

Lagee hai Sakhee ab bhee unsey milan kee aass
Par jaanti hoon kabhee naa poori hogi ye aass


<>*Bht haseen the wo pal *<>

Bht haseen the wo pal jab main roz tumse mila karti thi
Sajti thi sanwarti thi  roz ek naye rang me dhala karti thi

Mehak uthti thi meri sansein jab main teri soch se machalti thi
Khanak uthti thi ye hasi jab tujhe khud me mehsus kiya karti thi

Ladkahadte kadmon se jab main tere kareeb se jaya karti thi
Thaam loge mujhe tum apni baahon me isly khudko aazmaya karti thi

Aaj bhi sanwarti hun main aur nikharti hun main usi tarah magar
Nahin hai wo bat mere shringaar me jo tere liye sajne pe hua karti thi

Khona padta hai aaj bhi mujhe unn mazboot baahon k ghere me
Par nahin wo athkheliyan jo tujhe mehsus bhar kar lene se hua karti thi

Aajao k ab to nahin sahi jaati ye jalan ye tadap mahobbat me doorie ki
Tujh bin beete har kaali raat yahan ..mujhe kaali naagin si dasa karti thi…!!!
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #10 on: December 15, 2010, 01:16:50 PM »
Reply with quote
wahhhhhhh gudiya chha gai re..........
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #11 on: December 15, 2010, 01:26:59 PM »
Reply with quote
Wah wah wah aaj Anu-di mud mai aa gayee re..... icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower love4 love4 wave wave hello hello
Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #12 on: December 15, 2010, 01:42:57 PM »
Reply with quote
wowwwww kasak ji........kya likha he maja aa gaya......but ek baat achi nahi lagi......na ji post me nahi balki sign ki.....ye rote huey ka pic nahi jama.....kasak must bhi cheering and happy....think about that please...post is mast
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #13 on: December 15, 2010, 02:28:25 PM »
Reply with quote
nahiiiiiiiiiiiiiiiiii
****kasak ko wapis laooo bas****
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: December 15, 2010, 02:48:15 PM »
Reply with quote
Bahut bahut Khoob Anuji.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Bahut Hi Khoob Andaz-E-Bayaan!!!!Par Kuch Lafzon Mein Ek Ajeeb Si Mayusi nazar Aa Rahi hai..Rabb Kare Sab Khair Ho..
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 04:06:35 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer