BOHOT YAAD AATA HAI!!!!!

by Talat on January 07, 2005, 01:34:39 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 16
ReplyPrint
Author  (Read 16889 times)
Talat
Guest
Reply with quote
bohot hi yaad aata hai mere dil ko tarpaata hai
woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai

woh mera teri aankhon ke samandar main utar jaana
aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana

teri awaaz ke sahar se na nikal paana
tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana

bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
na teri yaad main reh ke tere saath ka sochoon

bhula doon saari yaadon ko ke jin se dil tarapta hai
ke jin se tees uth ti hai ke jin se dard hota hai

magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
tere hi khawab hote hain teri hi baat hoti hai

to tai paaya ab mumkin nahi tujh ko bhula dena
teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna

tujhe jab yaad karte hain to dil apna tarapta hai
woh tera paas na hona bohot mehsoos hota hai!!!!


(NM)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aaj phir tum bohot yaad aaye !!!!!! by Talat in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 5 6 »
-Teri Yaad Bohot Aati Hai- by Meena is back in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3  All »
Bohot Yaad Aati Hai Maa.....!! by Talat in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
WO DOST BOHOT YAAD AATA HAI by sahal in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Suno!!!! Tum bohot yaad aate ho by shoebxie in Shayri for Khumar -e- Ishq
Meena
Guest
«Reply #1 on: January 07, 2005, 04:45:24 PM »
Reply with quote
wah wahhhhhhhh talat sis!

 :D
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: January 07, 2005, 05:01:59 PM »
Reply with quote
It's Beautiful Talat.... Bohat khoob...
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: January 10, 2005, 03:26:01 PM »
Reply with quote
Thanks!! Meena n Aryaan!!! happy9
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: January 12, 2005, 03:18:49 PM »
Reply with quote
koyi ye kaise bataye ke wo tanha kyun hai..
wo jo apna tha wo aur kisi ka kyun hai...
yahi dunya hai to phir aesi ye dunya kyun hai...
ye hi hota hai to phir yahi hota kyun hai...
ek zara hath barhayen to pakar len daaman...
us ke seene main samajaye hamari dharkan..
itne qurbat hai to faasla itna kyun hai..
dil-e-barbad se nikla nahin ab tak..
aass jo toot gayi phir se bandhata kyun hai..
tum mussarat ka kaho ya ise ghum ka rishta..
kehte hain ke payar ka rishta hai janam ka rishta..
hai, janam ka rishta to phir badalta kyun hai..


(nm)
Logged
Meena
Guest
«Reply #5 on: January 12, 2005, 06:37:19 PM »
Reply with quote
wahhhhhhhhhhhhhhhh talat sis!!!!!!

 :D
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #6 on: January 12, 2005, 07:49:21 PM »
Reply with quote
Bohat khoob  Talat...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: January 12, 2005, 09:09:51 PM »
Reply with quote
nice Talat!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: February 05, 2005, 02:51:50 PM »
Reply with quote
Thanks!! Meena Aryaan n pooja :oops: happy9
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: February 05, 2005, 04:03:42 PM »
Reply with quote
wah!!!!!!!!!!!!!11  talat........bahot  khoob..........

superb...............  dil khush ho gaya padkhar.....:lol:
Logged
salaam2all
Guest
«Reply #10 on: February 06, 2005, 01:15:02 AM »
Reply with quote
very nice talat..........salaam
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: February 06, 2005, 09:21:12 AM »
Reply with quote
Thanks!!! Waheed n Salaam happy9
Logged
Talat
Guest
«Reply #12 on: February 06, 2005, 09:25:54 AM »
Reply with quote
Tere khayalon se nikalne ka koi iraada nahi hai
Lekin tujhe bhool jane ke siwa koi chaara nahi hai
 
Is jahan main har koi apna sa lagta hai
Nahi hai to faqat ek tu humara nahi hai
 
Mere liye tum bhi udaas na rehne lago kahin
Ye mohabbat ko humari gawara nahi hai

Manzil hum se door hi rahi humesha ae dost
Shayad is samandar ka koi kinara nahi hai
 
Har morh par tujhe hi yaad kara maine
Aur tu kehta hai ke pukara nahi hai
 
Aa kar ek baar mil le humse tu
Ki phir tere shahar se guzarne ka iraada nahi hai
 
Tere he intizaar main kat gai umar saari
Ki tere bad kisi ko chaaha nahi hai!!
 (NM)
Logged
thycreator
Guest
«Reply #13 on: February 06, 2005, 09:30:37 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
koyi ye kaise bataye ke wo tanha kyun hai..
wo jo apna tha wo aur kisi ka kyun hai...
yahi dunya hai to phir aesi ye dunya kyun hai...
ye hi hota hai to phir yahi hota kyun hai...
ek zara hath barhayen to pakar len daaman...
us ke seene main samajaye hamari dharkan..
itne qurbat hai to faasla itna kyun hai..
dil-e-barbad se nikla nahin ab tak..
aass jo toot gayi phir se bandhata kyun hai..
tum mussarat ka kaho ya ise ghum ka rishta..
kehte hain ke payar ka rishta hai janam ka rishta..
hai, janam ka rishta to phir badalta kyun hai..


(nm)


Hey Talat ji......Agar mai galat nahi toh ye ek gazal hai Jagjit Singh ji ki....hai na???
Logged
Talat
Guest
«Reply #14 on: February 06, 2005, 09:33:01 AM »
Reply with quote
Jagjit Singh has sung it!!
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 16
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:28:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer