BOHOT YAAD AATA HAI!!!!!

by Talat on January 07, 2005, 01:34:39 PM
Pages: 1 ... 11 12 13 14 [15] 16
ReplyPrint
Author  (Read 16890 times)
amrita
Guest
«Reply #210 on: June 11, 2005, 05:39:43 AM »
Reply with quote
ghum humare pass hai
khushi ki koi aas nahi...
jisse milne ki tamanna hai
woh humare pass nahi...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aaj phir tum bohot yaad aaye !!!!!! by Talat in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 5 6 »
-Teri Yaad Bohot Aati Hai- by Meena is back in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3  All »
Bohot Yaad Aati Hai Maa.....!! by Talat in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
WO DOST BOHOT YAAD AATA HAI by sahal in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Suno!!!! Tum bohot yaad aate ho by shoebxie in Shayri for Khumar -e- Ishq
Talat
Guest
«Reply #211 on: June 11, 2005, 09:34:40 AM »
Reply with quote
very nice Amrita ............... n welcome to Yoindia happy9
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #212 on: June 13, 2005, 09:07:55 AM »
Reply with quote
dus dafe samjhaya per ek baar bhi nahi mani
her baar wada karti aur phir mukar jaati

mere mana karne per bhi wo lout aati
her choti si baat ko dus bar dohraati

sunti thi dil ki meri, per karti thi apne man ki
rahti to thi dil me mer, per kahti thi apne man ki

" yaadein " hi hai jo mujhe chor ker nahi jati
hath jodne per bhi mere panv hai pad jaati
Logged
bond
Guest
«Reply #213 on: June 13, 2005, 01:44:29 PM »
Reply with quote
bahut achha likha hai SAM.... n TALAT........

duniya badal jaati hai
waqt badal jaata hai
pyaar badal jaata hai
dost badal jaata hai
bas hum hi nahi badal paate
na ye dard badal paata hai

BOND
Logged
Talat
Guest
«Reply #214 on: June 13, 2005, 01:54:53 PM »
Reply with quote
Thanks Bond............ and very nice both...............!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #215 on: June 13, 2005, 01:58:06 PM »
Reply with quote
too gud all of u................................................ ............
Logged
bond
Guest
«Reply #216 on: June 13, 2005, 02:01:50 PM »
Reply with quote
thanx TALAT............................................ ...............
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #217 on: June 14, 2005, 08:35:28 AM »
Reply with quote
palko ko baate karte suna
to paya ki koi soya nahi
gili zubaan se usne kaha
to paya ki wo roya nahi

koi shor sara pi gaya
bina ruke ek ghoont ke
per cheekha wo kuch is trah
to paya ki wo bola nahi

talaash raha tha wo zindagi
saanso ko seene me liye
per saans jab usne bhari
to paya ki wo jiya nahi

saleeke sse pesh aata raha
wo aankho ko apni rok ker
itne adab se wo jab mila
to paya ki wo sanbhla nahi
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #218 on: June 15, 2005, 08:53:41 AM »
Reply with quote
Quote from: "samnoj"
palko ko baate karte suna
to paya ki koi soya nahi
gili zubaan se usne kaha
to paya ki wo roya nahi

koi shor sara pi gaya
bina ruke ek ghoont ke
per cheekha wo kuch is trah
to paya ki wo bola nahi

talaash raha tha wo zindagi
saanso ko seene me liye
per saans jab usne bhari
to paya ki wo jiya nahi

saleeke sse pesh aata raha
wo aankho ko apni rok ker
itne adab se wo jab mila
to paya ki wo sanbhla nahi


bahot  khoob sam...........wonderfull..........nice work  bond..........amrita.....
Logged
vaibhav7143
Guest
«Reply #219 on: June 18, 2005, 05:32:28 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
koyi ye kaise bataye ke wo tanha kyun hai..
wo jo apna tha wo aur kisi ka kyun hai...
yahi dunya hai to phir aesi ye dunya kyun hai...
ye hi hota hai to phir yahi hota kyun hai...
ek zara hath barhayen to pakar len daaman...
us ke seene main samajaye hamari dharkan..
itne qurbat hai to faasla itna kyun hai..
dil-e-barbad se nikla nahin ab tak..
aass jo toot gayi phir se bandhata kyun hai..
tum mussarat ka kaho ya ise ghum ka rishta..
kehte hain ke payar ka rishta hai janam ka rishta..
hai, janam ka rishta to phir badalta kyun hai..


(nm)


NA CHAHO KISI KO ITNA
KI CHAHAT TUMHARI MAJBURI BAN JAYE
CHAHO KISI KO ITNA
KI TUMHARI CHAHAT USKE LIYE ZAROORI BAN JAYE
[/b]
Logged
vaibhav7143
Guest
«Reply #220 on: June 18, 2005, 07:56:41 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
bohot hi yaad aata hai mere dil ko tarpaata hai
woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai

woh mera teri aankhon ke samandar main utar jaana
aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana

teri awaaz ke sahar se na nikal paana
tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana

bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
na teri yaad main reh ke tere saath ka sochoon

bhula doon saari yaadon ko ke jin se dil tarapta hai
ke jin se tees uth ti hai ke jin se dard hota hai

magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
tere hi khawab hote hain teri hi baat hoti hai

to tai paaya ab mumkin nahi tujh ko bhula dena
teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna

tujhe jab yaad karte hain to dil apna tarapta hai
woh tera paas na hona bohot mehsoos hota hai!!!!


(NM)



WOH PAAS RAHE YA DOOR RAHE
DIL MEIN SAMAYE REHTE HAI
ITNA TO BATA DE KOI
KYA PYAR ISI KO KEHTE HAI
 ~~~ ~~~ ~~~ ~~~
Logged
Talat
Guest
«Reply #221 on: June 19, 2005, 07:57:55 AM »
Reply with quote
Bohot Khoob Sam n Vaibhav ............!!!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
bond
Guest
«Reply #222 on: September 09, 2006, 09:39:34 PM »
Reply with quote
nice ones............


jo bhi yaad hai....
wo bhala kyun yaada aata hai....
jisse jaana hota hai....
bhala kyun jindagi mein aata hai....
2-4 din ka afsaana....
kyun fir umar bhar rulaata hai....
bas yahi soch....
har baar mera gala bhar jaata hai....
jo waqt nahi aa sakta wapas....
bhala kyun reh rehkar yaad aata hai....
Logged
Talat
Guest
«Reply #223 on: September 10, 2006, 01:13:32 PM »
Reply with quote
Nice one Bond !!

Wo baatain wo hansi, wo sath sath chalna
Kabhi muskurana aur kabhi yunhi bigadna
Kabhi ho kar pareshaan khamosh ho jaana
Aur pooche "woh" wajah to bas ro dena
Kabhi hanste hanste aankhon ka bheeg jana
Kabhi kisi baat be yunhi rooth jaana
Aur kisi surat me maan ke  na dena
Haan bohot yaad aata hai mujko
Yaad aata hai wo guzra hua zamana !!!
Logged
salaam2all
Guest
«Reply #224 on: September 10, 2006, 02:45:10 PM »
Reply with quote
zindagi key raastey kitney ajeeb hain
muhabbat may vaastey kitney ajeeb hain
kehtey hain meri yaad mein wo bhi barey bechain hain
khamosh intezaar hay ye chahtein ajeeb hain
Logged
Pages: 1 ... 11 12 13 14 [15] 16
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:57:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer