Dekho To Sahi,.

by Jaanasheen on December 18, 2007, 01:30:41 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1280 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
Kitnay din beet gayay hain daikho to sahi
Kitnay chiragh bujh gayay hain daikho to sahi

Mausam bahar ka phir tanha guzar gaya
Khizaan ek bar phir agayee hai daikho to sahi

Kitni chahat say likhta thai mai naam tumhara
Wo qalam hi tordia hai zara daikho to sahi

Itni asaani say to milti nahi nafrat bhi lekin
Tumne hasil shuda piyar thukradia daikho to sahi

Haanton mai tum ne apnay chupayay thay moti bohat
Ab k zabt tutnay say saylab ravan hai daikho to sahi

Aana rokti hai mujhay har bar jhuknay say magar
Kitni bar tumnay jhukaya hai daikho to sahi

Faqeer ban kar teray kuchay mai akar
Kitni aas say daikhtay hain tumhain daikho to sahi

___________________________________________-Nm-
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aaj mai .. kal koi aur sahi..... by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
sun to sahi by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
tum aao to sahi.......... by Tamanna4u in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
HUM SE NAH SAHI ..... by roshni246 in Shayri-E-Dard
Dekho To Sahi., by Azeem Azaad in Shayeri for Dard -e- Bewafai
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #1 on: December 18, 2007, 01:52:27 PM »
Reply with quote
Kitnay din beet gayay hain daikho to sahi
Kitnay chiragh bujh gayay hain daikho to sahi

Mausam bahar ka phir tanha guzar gaya
Khizaan ek bar phir agayee hai daikho to sahi

Kitni chahat say likhta thai mai naam tumhara
Wo qalam hi tordia hai zara daikho to sahi

Itni asaani say to milti nahi nafrat bhi lekin
Tumne hasil shuda piyar thukradia daikho to sahi

Haanton mai tum ne apnay chupayay thay moti bohat
Ab k zabt tutnay say saylab ravan hai daikho to sahi

Aana rokti hai mujhay har bar jhuknay say magar
Kitni bar tumnay jhukaya hai daikho to sahi

Faqeer ban kar teray kuchay mai akar
Kitni aas say daikhtay hain tumhain daikho to sahi

___________________________________________-Nm-


bahu hi aacha kalam khoj ker laye ho janseen ji.... isper ek kois humari bhi..

hai jwan aabhi bhi aapka khayal...
logo ne kahe kai sawal.....
tum aaj bhi rehte ho unki yadoon mein?
dekho beet gaye kitne ab saal.

humne kaha wo aaj bhi humse milne aati hai.
hasti hai , khelti hai, muskurati hai.
kabhi usne chooma tha mera haah dekho to sahi...

aaj bhi ker rahi tumhe bahut yaad
bas ek baar palat ker dekho to sahi
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: December 18, 2007, 04:19:54 PM »
Reply with quote
Kamaal Ka Reply Diya hai Bhai aapne.
Yunhi Likhte Raho,.

And Thank U,.
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #3 on: December 18, 2007, 05:23:41 PM »
Reply with quote
Nice Sharing Azeem and a Wonderful Reply Bhondu ji..
Logged
Roja
Guest
«Reply #4 on: December 19, 2007, 12:21:52 AM »
Reply with quote
Aana rokti hai mujhay har bar jhuknay say magar
Kitni bar tumnay jhukaya hai daikho to sahi

Faqeer ban kar teray kuchay mai akar
Kitni aas say daikhtay hain tumhain daikho to sahi

wah wah Jaanasheen nice sharing.... and Bhondu ji good reply..
Logged
prmchawla
Guest
«Reply #5 on: December 19, 2007, 03:49:47 AM »
Reply with quote
very great work done jaanasheen. pl. send me one of your creations on daily basis. I like it.
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #6 on: December 19, 2007, 03:16:25 PM »
Reply with quote
u
Aana rokti hai mujhay har bar jhuknay say magar
Kitni bar tumnay jhukaya hai daikho to sahi

Faqeer ban kar teray kuchay mai akar
Kitni aas say daikhtay hain tumhain daikho to sahi

umda jawab hai roja ji...

toot gaye sare ristey..
chut gaya mera yaar .................dekho to sahi.

jiski sanso se leta tha sanse.
bewafaa ho gaya mera pyaar .......... dekho to sahi.

tum hi kabhi manzil thi meri.
ab tum hi ho gayi ho dewaar ........ dekho to sahi.

jiski bahon mein rehti thi khusi herdum,
ab kafan bhi maangta hai udhaar..... dekho to sahi 
Logged
prmchawla
Guest
«Reply #7 on: December 20, 2007, 03:13:12 AM »
Reply with quote
nice bhondu ji
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #8 on: December 22, 2007, 12:23:20 PM »
Reply with quote
nice bhondu ji
prm ji aapne kuch nhi likha...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: December 22, 2007, 02:44:30 PM »
Reply with quote
Shukriya Ke aap Ko Meri Sharing Achchi Lagi,.
Roja sis,.
Prm Chawla Ji,
Shikha Sis,.
And Nice One Roja Sis,.

Chawla Ji,.
Hope I Too Share My Collections Here And Write Some,.

Nice One Bhondu Ji,.
Yunhi Likhte rahe./
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: December 22, 2007, 02:47:19 PM »
Reply with quote
     chak jigar ke see lete haiN
     jaise bhi wo jee lete haiN
     
     dard mile to seh lete haiN
     ashk mile to pee lete haiN

     aap kaheN to mar jaayeN hum 
     aap kaheN to jee lete haiN

     bejari ke andhi-yaare meiN 
     jeene wale jee lete haiN

     hum to haiN un fuloN jaise 
     jo kaanTo meiN jee lete haiN

     __________________-NM_
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: December 22, 2007, 02:48:15 PM »
Reply with quote
Hope U Like It,.

    kabhi khamosh baithogi, kabhi kuchh gungunaaogi
     maiN utna yaad aaoonga, mujhe jitna bhulaaogi

     koi jab poochh baithega, khamoshi kaa sabab tumse
     bahot samajahna chaahogi, magar samjhaa na paogee

     kabhi duniya mukkammal banake, aayengi nigaahOn meiN
     kabhi meri kami duniya ki, har ek shey meiN paaOgi

     kahiN par bhee raheN hum tum mohabbat fir mohabbat hai
     tumhe hum yaad aayenge, hameN tum yaad aaogee
   
     __________________________________________-nm-
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #12 on: December 23, 2007, 05:51:49 PM »
Reply with quote
very nice jaanasheen ji very good so nice saari shayari bahut khoob likhi hai supar likhi supar sabne bhi likha hai sab ne acha likha...

zindagi mein toh yaad aati hai
aap ho ke samjhte nahi ....... dekho toh sahi
khushi toh sabko milti hai or ghum bhi
aap toh bas aap toh apni mein rahte ho...... dekho toh sahi
kuch bhi zindagi ko aap ek shayari samjhte ho.....dekho toh sahi...

       from
           Muskan (khushboo)
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: December 24, 2007, 02:14:21 PM »
Reply with quote
Shukriya Muskan Ji,.
For Reading My Sharing,.
Waise Kahan the aap itne Din,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: December 24, 2007, 02:17:24 PM »
Reply with quote
Kitni Aasani Se
Kitni Aasani Se Log Keh Jaate Hein
Ke Pyaar Nahi Wo To Ek Dhoka Tha
Wo Sab Eik Fareb Tha Eik Tamasha Tha
Hawa Ka Ik Dilkash Jhonka Tha

Ab Humne To Akela Rehna Seekh Liya
Kya Yehi Sun-na Ab Reh Gaya Baaqi Tha
Usne Haal Poocha To Kisi Rishte Se Nahi
Saath Ye Bhi Kaha, Farz Ye Ikhlaaqi Tha

Bolo Bacha Hi Kya Hai Ab Kehne Ko
Us Dil Mein Jagah Hi Nahi Ab Rehne Ko
Koi Darr Hi Nahi Tha, Uske Saath Hone Se
Ab Himmat Hi Nahi, Koi Dukh Sehne Ko

Uski Tasveer Ko Yoon Haaton Mein Le Ke
Uske Aage Yoon Apna Dil Khol Diya
Usne Bhi Socha Ke Ye Kya Hai Harqat
Tang Aakar Usne Bhi Ye Bol Diya

Wo Jo Guzre Thay Sang Din Bhool Jao
Wo Din Nahi Hein Ab Aane Waale
Banhein Phelaye Khare Kyun Ho !!!
In Mein Ab Nahi Hum,Samaane Waale

_________________________-NM-
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 02:10:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer