~*~duri ka dard~*~

by roshni246 on April 11, 2006, 12:30:27 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 19
ReplyPrint
Author  (Read 23128 times)
roshni246
Guest
Reply with quote

Dur rehke humse kaise reh paoge
Dil dhukhega tumhara, hamme bhi rulaoge
dekho aise na rulao
kuch karo ilaaj iss dard ka
kehte ko aashiq ho mere
karo insaaf iss dil ka

Kehte hain duriyan nazdikiyan banke aati hain
Kya ye duriyan nazdikiyan banke aayengi
kya ye hamme aur paas le aayengi
ya ye duriyan, duriyan hi ban jayengi
dekho aise na satao
pyar ho tum mere
pyar nahi tho yaari ki hi khatir
karo kuch ilaaj iss dard ka
kehte ho aashiq ho mere
karo insaaf iss dil ka

Shayad ye sirf mera ek brahm hai
Dur rehne se dilon ki duriyan nahi banengi
mujhe apne pyar pe pura wishwaas hai
par iss dard ka kya karoon
jo iss duri ke saath aata hai
tumhe apne samne na dekh ke
mera dil dhadak sa jata hai
nahi nahi karo kuch tho ilaaj iss duri ka
kehte ho aashiq ho mere
karo insaaf iss dil ka
kuch tho karo insaaf iss dil ka!!!


~roshni~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Duri Kyun Hoti hai by pakipimpsta in Shayri-E-Dard
<>*sahi nahin jati tumse duri sanam*<> by *KasaK*....Dil Ki in Shayri for Khumar -e- Ishq
Duri by yasmeen khan in Share:Love Poetry
DURI by heena i.s in Shayri-E-Dard
khaash yeh duri na hoti..... by Jaggu Diljale in Shayri for Dard -e- Judai
nikki
Guest
«Reply #1 on: April 11, 2006, 12:39:57 PM »
Reply with quote
hello n toooo gud Sis...

duri ka dard saha nahi jaata
kis haal mein hun yeh bhi to kaha nahi jaata
yeh kaisi majboori hai
paas aaya nahi jaata
door bhi raha nahi jaata
Logged
roshni246
Guest
«Reply #2 on: April 11, 2006, 12:40:34 PM »
Reply with quote
thxx nikki sis
apki shayari awesome hai yaar !! too gud!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #3 on: April 11, 2006, 12:47:00 PM »
Reply with quote
thanx a lot sis...

agar diwaar-e-duniya na hoti
to hum mil gaye hote
na yeh duriya humein satati
na yeh faasle paida hue hote
Logged
roshni246
Guest
«Reply #4 on: April 11, 2006, 12:54:29 PM »
Reply with quote
2 guddd!!!

Teri Rahoon Main Aankhein Bichhaye Baithay Hain
Is Dil K Tufan Main Mohabbat Ki Shamma Jalaye Baithay Hain

Aye Zalim Kis Mor Pay Lakar Chora Hai Tunay Mujh Ko
Abhi Bhi Milnay Ki Hasrat Say Teri Yaad Ko Dil Say Lagaye Baithay Hain

Dil Ko Aadat Si Ho Gayi Hai Chout Khane Ki
Bhigi Hui Palkon Kay Saath Muskurane Ki

Kash Anjaam-e-Wafa Pehlay Se Jaan Jaatay Tum
Koshish Bhi Nahi Ki lout k ane ki


~roshni~
Logged
nikki
Guest
«Reply #5 on: April 11, 2006, 01:05:37 PM »
Reply with quote
wonderfull sis..kamaal ka likha hai...meri to himmat nahi hoti kuch likhne ki itna acha padh kar..hehe.

tere intzaar mein bar bar sajde kiye hain uske dar par
aye_kash tu laut aaye...dua maangi hai
na jaane hamare pyar mein koi kami hai
ya fir khuda hi hamari nahi sunta
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #6 on: April 11, 2006, 01:10:21 PM »
Reply with quote
Humnafas eye beshaadgee yoon lavzon se zulm na kiya karo
meri sukhee aankhon ko kabhie mrig naino se 2 ghunt peene diya karo

Iss dil mein bhi to muhabaat hai gulshan gulshan
Zamane ke patharon se yoon na dil ko choot pahunchaya karo

Badnaam shaher ke galiyon mein mai bhi hoon aaur tum bhi
Yoon "Tum aaur mai" kar karr ke khud aksh se juda na karaya karo

Merey fatwon key patwaar pe naam gadey honge tumahre
kabhie mujhe bhi aapnee mehfil mein sajaya karo..

Denge hum tumhein Duhayein teh ke aakhiri dil se
kabhie humein bhi parda-e-dil ke pichey kee taswir dikhlaya karo
Logged
nikki
Guest
«Reply #7 on: April 11, 2006, 01:15:30 PM »
Reply with quote
superbbb Nirbhay....
Logged
roshni246
Guest
«Reply #8 on: April 11, 2006, 01:21:21 PM »
Reply with quote
awesome nirbhay !! ab hum iska jawab kaise dein ufff!!!

Usne bhi shayad auroN ki tarah Mujhe aazmaaya hoga
Jisne ab tak mera saath diya Uska saaya hoga
Itnee muddat band rahi aaNkheN k andhee ho gayee
Rastaa bhatak main dar badar bhatak jayega ye shakhs,
Ye khayaal na usko aaya hoga
Taa-umr rahe tu hamsafar, ek hi tamana thi humari ....
asoonon ne jahan duboya mera, sab samajhte hain toofan aaya hoga


~roshni~
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #9 on: April 11, 2006, 01:30:07 PM »
Reply with quote
Subak subak kar bhinge meri palkon ke ye ghonshe
dard dene waaley ne socha muhabaat ka pasina aayaa hoga

ye dil dhadak dhadak kar tarr bahata tha dedon se
usne socha mubabaat kee andhie se ankh mein tinka aaya hoga

maine kaha meri dhakan, ye sansein, aaur aarzu bhi hai teri
usne socha fhir koi fakeer darrr pe maraa maraa aaya hoga

Dil dekar humne sitam jhelein hain bahut dil se hee..
Jisne diye sitam usne kaha tu iss raah mein bhatak karr kabhie aaya hoga!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #10 on: April 11, 2006, 01:41:52 PM »
Reply with quote

Yakeen kyu nahi ata , ke tu kisi aur ka hai,
Jab tumhai dekhthi hu tho humara pal yaad atha hai,
Toot k betein hai, ye dil khoya hai khayalo mai,
Lagta hai kai tu lout ayea ga,
Ab nahi, tho chand salo mai,
sau saal hi kyu na guzar jayen ,
Magar yaad taza hai,
Ab na dil lagaoongi, teri kya rab ki kasam ,
yeh mera vada hai......


~roshni~
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #11 on: April 11, 2006, 01:53:59 PM »
Reply with quote
Wah wah Xcellent Roshni..


Mai Nafraton ka humguzar hoon
mera kafila anchahon se bhara zyada hai
ek manzil tumahri bhi rah mien kahin aayegi
jo meri majboori aaur meri chahat tumhein batayegi
ye dil abb unn banjar keewadon ke tarah hai
jinpe na koi aahat aayi barson se na kabhie aayegi!!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #12 on: April 11, 2006, 02:22:22 PM »
Reply with quote
Kabhi Roke Muskuraye, Kabhi Muskurake Roye
Teri Yaad Jab Bhi Aayee, Tujhe Bhula Bhulake Roye
Ek Tera Hi Naam Tha Jise Hazaar Baartha Likha
Jise Khush Hue The Likhar Use Mita Mitake Roye.


~roshni~
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #13 on: April 11, 2006, 02:24:03 PM »
Reply with quote
wah wah  nice  work   Roshni sis.........   Nirbhay  Bhayya tongue3
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #14 on: April 11, 2006, 02:35:10 PM »
Reply with quote
Jiski bahoon ne tha sameta
uske pehlu mein sirr chipaye roye
dard ko sanwartey kabb talak
dil ke dard ko dho dho kar roye!!
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 19
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:53:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer