~*~duri ka dard~*~

by roshni246 on April 11, 2006, 12:30:27 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 19
ReplyPrint
Author  (Read 23127 times)
roshni246
Guest
«Reply #15 on: April 11, 2006, 03:33:53 PM »
Reply with quote
thxx bhai jaan !!! Puzzled !
akhir sis kiski hain hum tongue3


Aapse milkar sochti reh gayi
Zindagi me ab na koi kami reh gayi

Chaaha tha humsafar ik umrabhar ke liye
Saath aapka jo mila, manzil khudhi mil gayi

Yoon dilki gehraaion tak aapka utarjaana
Ki aapko paakar aap hi ki ho gayi

Log milkar hote hai judaa aksar yahaan
Aapka pyaar ab ek anmol nishaani ho bangayi

Chale the pyaar se jaana hai pyaar tak
Kood ke dariya me aanaa hai pyaar tak
Sahil pe hum miley ya miley judaai waqt ki baat ho gayi...



~roshni~[/i][/b]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Duri Kyun Hoti hai by pakipimpsta in Shayri-E-Dard
<>*sahi nahin jati tumse duri sanam*<> by *KasaK*....Dil Ki in Shayri for Khumar -e- Ishq
Duri by yasmeen khan in Share:Love Poetry
DURI by heena i.s in Shayri-E-Dard
khaash yeh duri na hoti..... by Jaggu Diljale in Shayri for Dard -e- Judai
ur_amar
Guest
«Reply #16 on: April 11, 2006, 05:19:08 PM »
Reply with quote
Bat karte hai KATRE bhi samunadr ki tarah,
Log iman badalte hai CALANDER ki tarah........

Bacha sakte hai aab iss kashti ko wahi,
Jo doob sakte hai MAJHDHAR me LANGER ki tarah.......

Khusbu ki tarah basaya tha tan man me jise,
Baitha hai pahalu me mere wahi KHANJAR ki tarah.......... [/b]
Logged
roshni246
Guest
«Reply #17 on: April 12, 2006, 08:31:31 AM »
Reply with quote
very gud amer keep writing !!!

welcum 2 yoindia dear!!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #18 on: April 12, 2006, 08:35:39 AM »
Reply with quote
Matt poocho aalam hamare dil-e-be-basi ka
qyaamat ki bheer hai aas paas,dil mein magar tanhaai hai.

Yoon dil ke aangan mein teri yaadon ki aahat hui
jaise doore kisi waadi mein mushkurahton ki barsaat hui.

Khaa kar fareb khud apni hi taqdeer ke haathun
ilzaam den kis ko ham,qismat hi harjaai hai.

Tere intazaar mein rehna bann gai hai meri aadat
khushi to nahi qismat mein magar,gham se aashnaai hai.

Yeh bhi nahi kam khiyaalon mein agar tujh ko choo loon
tuu to nahi yaad teri,ham sey milney aai hai.


~roshni~
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #19 on: April 12, 2006, 10:26:50 AM »
Reply with quote
Lahro.n si uthi hai tarap dil main tujhe paanay ki
Tufaa.n sey bhi bechain mohabbat main yeh dil hoga
Umangain liye jeeta tha umeedon pe tere her pal
Dil main liye mohabbat saahil ek kinara tere liye
socha tha tera jawab samundar se bhi jo gahra hoga!!!!

Pass aakar tumhare maine yeh jaana hai
Door maine kitna tum se khud ko le Jaana hai
Maine socha tha ke mere sath sair karna ek bahana hai
Tujhe mera sath zindagi bhar sath reh kar nibhana hai!!

Khush hoon, is liye nahi ke tum achi ho bahut pyari ho
isliye ke anjane mein hee pata chala tum nahi hamari hoo

Mai to Sochta tha tumhare dil ko bhi kuch ho jayega
Sambhalaoge kabb takk ye bhi mujhmein kho jayega
Iss tarah say zindagi mein samaa jaougi tum
Madhosh ho ke hosh mein aane ka sawaal he nahi reh jayega

Tum kuch bhi kaho jasie bhi kaho ye dil sabb sunta jayega
Dil say nikla hua her lafz mere dil takk pahunch jayega
Sheron ka, dillagi ka nahi, bandagi mein saaj hai ye Jigar
tum lavzon ko matt bun.na abb aaur, ye fasana baad-e-haya se bayaan hojayega!!
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #20 on: April 12, 2006, 11:25:49 AM »
Reply with quote
bahut khoob likha hai sabne.. nice work neer ji and roshni ji...
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #21 on: April 12, 2006, 11:37:53 AM »
Reply with quote
Yeh tadap jo jagi hai hamein paane ki,
Ek umeed jo rakhi hai mere aane ki,
Kyon thaani hai hawaaon ko giraftt mein leney ki,
Jaan gaye ho jab mein hoon amanatt kisi ki,
In hausalon ko umeed-e-kiran kyon di,
Dillagi ka rog ho jaata hai khud-b-khud yeh jaante hain hum,
Per na karo yeh baatein dil dukhane ki,
Kisi ke dil mein kya hai koi kya jaane,
Kisey khona hai kisko paana hai yeh to daastaan hai sabb lakeeron ki..

gesu's koshish!!!!!!!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #22 on: April 12, 2006, 11:39:39 AM »
Reply with quote
wah wah Gesu Jee Wah wah
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #23 on: April 12, 2006, 11:42:08 AM »
Reply with quote
shukriya janaab.....
Logged
roshni246
Guest
«Reply #24 on: April 12, 2006, 11:50:55 AM »
Reply with quote
gud reply gesu ji!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #25 on: April 12, 2006, 12:36:02 PM »
Reply with quote
Yeh nahi dikha tha uske ehsaas mein hogi judaii bhi kabhie
Socha nahi tha Saza aisi hogi unsay dil lagane kee kabhie
Hum to unki wafa ki laaye taal mein letey they kasmein
kya pata tha bewafa aisi niklegii ke nazar milayege na phir kabhie

Tore diye sab dil kay rishtay kar kay waadon ki her baat
Joo do qadam na saath dey saki zindagi bhar kya deti ? "Khaak"

Kyon basaya hai tumne aashiyana abb tak yaadon main meri
jab tere dil main mere liye koi aasra koi panah hi nahi
dil lagaya hi kyon tha zalim tumne..
Jab Rishton ko nibhana tumhein ataa hi nahi

logg bewafa nahi hotey jo be-reham hotey hain
abb lagta hai wo HaQiQat mein sirf be-sharam hotey hain
Ehsaas-e-dil se dil takk ka unlogon ko sirf weham hotey hain
Chup rehkar bhi Izhaar-e-mohabbat unka bharam hota hai

Aaur kisi muhabaat bhare dil Ke liye 'Nirbhay'
woh Sirf aaur sirf ek dard bhara zakham hota hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: April 12, 2006, 03:53:42 PM »
Reply with quote
wah neer kaya baat hai!!! bahoot khoob likha apne!!
Logged
ur_amar
Guest
«Reply #27 on: April 12, 2006, 04:33:02 PM »
Reply with quote
Jab bhi mai iss shahar se nikla,
Mere swagat ko har ek jeb se khanjar nikla....

Mere hoto pe hansi uske hoto par gali,
Jiske ander jo tha wahi nikla........

Kya ajib cheej hai insan ka dil bhi yaro,
Kabhi mom to kabhi sangdil nikla..........

Doob kar jisme Ubar na paya jeevan bhar,
Ek aansu ka katra bhi samundar nikla........

Jindgi bhar jise dhekh kar Itrata raha,
Uska sab roop mitti ki Dhrohar nikla.......
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #28 on: April 12, 2006, 04:58:01 PM »
Reply with quote
Wah wah wah kinn lavzon mein tareef karoon aapki Ur_umar..... lagta hai bahut kuch sikhne ko milega aapse wah!!

Bohat Shukriya Pooja didi...:smile:
Logged
sweety pie
Guest
«Reply #29 on: April 12, 2006, 05:47:21 PM »
Reply with quote
Roshini....im stunned by ur writing whilst reading i could see all my feelings put in words 4 got me in tear's :cry: !
Nirbhay ur writing is amazing aswell....& the rest of u!Keep it up
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 19
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:37:47 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer