~*~duri ka dard~*~

by roshni246 on April 11, 2006, 12:30:27 PM
Pages: 1 ... 10 11 12 13 [14] 15 16 17 18 19
ReplyPrint
Author  (Read 23148 times)
roshni246
Guest
«Reply #195 on: July 22, 2006, 07:58:52 PM »
Reply with quote
Zindagi cheen ker kehte hain Zindagi se pyar kijiaye
Aap pehle chahat ka to Iqrar kijiaye

Mere har ghum mein tera saath hona zaroori to nahin
Tu har such ka nigeba.n hai mera itna to aitbaar kijiaye

Basna ujadna sab ki taqdeer hai ey humdam
Yeh khel hai nirala iss se na inkaar kijiaye

Loog parte hein chehron ko kitaboun ki tarah
Chahat ko meri nisaab mein shamil na yaar kijiaye

Jinhe hota hai her haal mein maut se larna
Unn ke liye duaein na apni bekaar kijiaye

Waqt ki zanjeer hai badi berehem aye..humdard
Mere pyar par bharosa bas ek baar kijiaye

Mere Rub sun le aaj to fariyaad ko meri
fasi hai kashti bhanwar mein....usse abb paar kijiaye


~rosh~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Duri Kyun Hoti hai by pakipimpsta in Shayri-E-Dard
<>*sahi nahin jati tumse duri sanam*<> by *KasaK*....Dil Ki in Shayri for Khumar -e- Ishq
Duri by yasmeen khan in Share:Love Poetry
DURI by heena i.s in Shayri-E-Dard
khaash yeh duri na hoti..... by Jaggu Diljale in Shayri for Dard -e- Judai
indian_groom
Guest
«Reply #196 on: July 22, 2006, 08:17:15 PM »
Reply with quote
Quote from: "roshni246"
Zindagi cheen ker kehte hain Zindagi se pyar kijiaye
Aap pehle chahat ka to Iqrar kijiaye

Mere har ghum mein tera saath hona zaroori to nahin
Tu har such ka nigeba.n hai mera itna to aitbaar kijiaye

Basna ujadna sab ki taqdeer hai ey humdam
Yeh khel hai nirala iss se na inkaar kijiaye

Loog parte hein chehron ko kitaboun ki tarah
Chahat ko meri nisaab mein shamil na yaar kijiaye

Jinhe hota hai her haal mein maut se larna
Unn ke liye duaein na apni bekaar kijiaye

Waqt ki zanjeer hai badi berehem aye..humdard
Mere pyar par bharosa bas ek baar kijiaye

Mere Rub sun le aaj to fariyaad ko meri
fasi hai kashti bhanwar mein....usse abb paar kijiaye


~rosh~



good ji mein tau aap se takkar he nahi le sakta.


aaj karta tujhse ye wada aye jakham mere,
tujhe bana ke apne zindagi ka humsafar apna

mein dard se ishaq ka mukadar likhuga.
tere ko apni  mohabbat se har dard se dur rakhuga.

mein tere kashti ko apne dharkan se bhi jayada tej kar ke.
tere sapno ke kinare mein le kar jaoga.
Logged
roshni246
Guest
«Reply #197 on: July 22, 2006, 09:42:01 PM »
Reply with quote
Quote from: "indian_groom"

good ji mein tau aap se takkar he nahi le sakta.


aaj karta tujhse ye wada aye jakham mere,
tujhe bana ke apne zindagi ka humsafar apna

mein dard se ishaq ka mukadar likhuga.
tere ko apni  mohabbat se har dard se dur rakhuga.

mein tere kashti ko apne dharkan se bhi jayada tej kar ke.
tere sapno ke kinare mein le kar jaoga.



meri ek choti si khoshish...!

Dur tak is kohre mein kuch bhi nazar aata nahi
Apna sa koi lamha...mujhe kahi lubhata nahi

Logo ka milna..kuch pal muskurana phir..bhul jana..
Ab mere mann yeh jhuta rishta samata nahi...

Ek pal kisi ka hona...ek pal na hona..
Tanhaiya deta hai....
Dil ka yeh dard ab mujhse saha jata nahi..

Tumko oro se alag samjha yeh meri hi bhul thi
Aaye aur aakar yu chal diye jaise kuch hua hi nahi..
Itna kuch keh diya...par kuch kaha hi nahi..

Kohre mein tumhara aana..roshni ki kiran samjhe
tum to andhere mein hame hamse chura gaye..

Tumhare liye na royenge hum, soch liya tha humne
Par in bundo ko ankho se bhehte humse roka jata nahi..
Tumhari bewafai ko humari bebasi humse kaha jata nahi....


~rosh~
Logged
roshni246
Guest
«Reply #198 on: July 23, 2006, 12:27:43 PM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
bohat achhi koshish hai


kurbaton mein bhi judai ke zamane maange
dil ye bemeher ke rone ke bahane maange

ye hi dil thaa jo tarastaa thaa marasim ke liye
ab wohi tark-e-taalluq ke bahane maange

apna ye haal ke jee haar chuke lut bhi chuke
ab muhabbat wohi andaz purane maange

dil kisi haal pe ane hi nahi jan-e-faraaz
kyu har ik baat pe deedar-e-maahataab mange



wah ....very gud majid ji..!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #199 on: July 23, 2006, 02:53:57 PM »
Reply with quote
ji likhenge...khoshish jaari hai...!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #200 on: July 23, 2006, 03:30:09 PM »
Reply with quote
intezaar karne k liye shukriya majid ji!

tere diye hue aansoo hai tere diye hue gham hai
tera diya hua tuta hua dil hai jeene ke liye ye kya kam hai

jab pyaar humne tujhse kiya to kya pyaar inse kam hai
teri yadoo ke diye hue mele hain kya hua agar akele ham hai

bhoolne...milne juda hone ke kayi sawaal hai
her jawab main bas ankhein hi to nam hai

teri bekukhi tera yu satana tere liye chup chup ker ansoon bahana
zindagi ke safar main kafi ye karam hai

inayat ye sache pyaar ki har kisi ko nahi milti
sache pyaar ka ye tofa mila mujhe tujhse hi to sanam hai

kon kehta hai ke juda hogaye in faslon se hum..tum
lamho ki is barish main har pal teri yadoon ka janam hai

teri batein tere wade teri woh muskurahatein
jilenge ab inke sahare inmain bohat dam hai

jab tujhse pyaar kiya...to tere gumoon se bhi ker lenge
kya hua agar bewafa hai tu.....magar hai to wohi saman na tu...


~rosh~
Logged
roshni246
Guest
«Reply #201 on: July 23, 2006, 03:33:34 PM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
BOHAT ACHHI KOSHISH HAI

AB HUM KUCHH LIKHNE KI KOSHISH KARTE HAI
PAR HA AAP JITNA ACHHA NAHI HEHEH


hume intezaar hai..!  Puzzled !
Logged
roshni246
Guest
«Reply #202 on: July 23, 2006, 03:37:30 PM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
SHUKARIYA INTEZAAR KARNE KE LIYE
HUMNE AAP KI TARHA LONG NAHI LIKHA HAI JI


Saath chal rahie hai pas aa sakte nahie
Ek nadi kei do kinare mil sakte nahie
Raaz jab dil sei bahar aaya apna to
Reit pe gire ansu utha sakte nahie



wah....hume aapka reply bohottttt pasand aya...very gud...!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #203 on: July 23, 2006, 03:51:28 PM »
Reply with quote
Azeem hai ye kurbatoo ki duriyaan bhi
Sath reh kar bhi usko na pana ab achha lagta hai

Kismat mein nahi phir bhi usse chahte hain
Phool samaj kar kantoo par chalna ab achha lagta hai

Ab to mehfilo mein bhi humare liye tanhayii hai
Gum chupakar mehfil ko sajana ab achha lagta hai

Mehfil mein dusro se ab hans hans kar milte hain
Tanhayii mein gum kai aansoo bahana ab achha lagta hai

Samjhaane par bhi samajta nahi hai ye dil
Uski yaad mein raaton ko tarapna ab achha lagta hai

Uski berukhi ne itne diye hain zakhm ke
Zakhm khakar bhi muskrana ab achha lagta hai

Us Sangdil ne tor diya mere armaano ka Taj Mahal
Dil ke Kabristan mein armaano ko dafnana ab achha lagta hai

Jab wo hans hans kar baat kare doosro se
Apne hooton ko dabana tab achha lagta hai.....



~rosh~
Logged
nikki
Guest
«Reply #204 on: July 23, 2006, 03:54:52 PM »
Reply with quote
gr8 Roshni dear n Majid...
Logged
roshni246
Guest
«Reply #205 on: July 23, 2006, 03:58:48 PM »
Reply with quote
bohot khoob majid...and thxx niki sis...


nazro k saamne paya tumhe..
ek bhekumari si chane lagi...

hue is tarah hum bekhabar...
k khud ko khud main bhoolane lage...

ab pyaar kiya hai tumse....dil o jaan main base ho tum...
har lamhe bin tumare..hum saza main katne lage..


~rosh~
Logged
roshni246
Guest
«Reply #206 on: July 23, 2006, 04:08:58 PM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
nice


Khud jaankar anjaan bante hain
Meri nazron se chupa karte hain,
Yun to bhari mehfil me chaar baatein karte hain
Jab saamne aate hain to gair bante hain,
Zuban se kuch nahi kahte magar
Aankhon se waar karte hain,
Kaid karke apne dil me hume...
Humise pyaar karte hai ......


mohabbat dhoka hai fareeb hai
arzoo ki is fareeb main anna nahi
jo kush rehna ho zindagi main tumko
to dil tum kisise kabhi lagana nahi


~rosh~
Logged
roshni246
Guest
«Reply #207 on: July 23, 2006, 04:13:34 PM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
arey ye kya baat hui

aap ki is baat pe to mujhe
MUGHL..E..AAZAM KA ek sher yaad aa gaya


MOHABBAT HUMNE MAANA ZINDAGI BARBAAD KARTI HAI
MOHABBAT HUMNE MAANA ZINDAGI BARBAAD KARTI HAI
PAR YE KYA KUM HAI KE MAR JAANE PE YE DUNIYA YAAD KARTI HAI


 Puzzled !  Puzzled !
Logged
roshni246
Guest
«Reply #208 on: July 23, 2006, 04:23:13 PM »
Reply with quote
Mein Tarapti rahi, Sisakti rahi
Uss ki berukhi se marti rahi

Tujhe kya pata tujhe kya khabbar
Mein kahan kahan bhatakti rahi

Jo naseeb mein tha wo mila nahin
Tujh ko kho kar haath malti rahi

Uss bewafa ki bewafai per
Aashkon ko chor, dil se roti rahi

Mera ye armaan meri qabar tak gaya
Wo dulha aur mein dulhan banti rahi

Arre deep kya jalega?
Jo Zindagi bhar mein jalti rahi


~rosh~
Logged
roshni246
Guest
«Reply #209 on: July 23, 2006, 04:26:03 PM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
is ishq teri najane kya hai
ek khayal hai ,najaane kya hai

is mein fitrat nahie howa karti
yeh deewanoo ka kaam hai
is main akal nahie howa karti

khwaboon ke karwan yeh chala kar
phir shab e gham yeh maussam chala kar
loti khushi najaane kitne yeh chakkar chala kar

jalnee ka pyara sa maza dila kar
chood aaye pane mein tapish dila kar
kahin sapnaa to kahin aas dila kar
awara bana dala is ko kashish dekha kar

yeh "anjaan"to kyon tadap raha hai
ahsaas to kismat mein khel raha hai
woh milegi yeh dil bata raha hai
beta kahin tere khayalon main kho raha hai



 =D>  =D>  =D>  Puzzled !
Logged
Pages: 1 ... 10 11 12 13 [14] 15 16 17 18 19
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 25, 2024, 01:04:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer