~*~duri ka dard~*~

by roshni246 on April 11, 2006, 12:30:27 PM
Pages: 1 ... 14 15 16 17 [18] 19
ReplyPrint
Author  (Read 23129 times)
SK
Guest
«Reply #255 on: February 17, 2007, 03:24:21 PM »
Reply with quote
Hum aapko mana nahi paaye,
na jaane yeh hamare pyaar ki kami hai ya Khuda ki marzi.
Bas aapse itna kehna chahte hai,
Phir kabhi aisi khata nahi hogi.
 :cry:
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Duri Kyun Hoti hai by pakipimpsta in Shayri-E-Dard
<>*sahi nahin jati tumse duri sanam*<> by *KasaK*....Dil Ki in Shayri for Khumar -e- Ishq
Duri by yasmeen khan in Share:Love Poetry
DURI by heena i.s in Shayri-E-Dard
khaash yeh duri na hoti..... by Jaggu Diljale in Shayri for Dard -e- Judai
Sonu
Guest
«Reply #256 on: February 22, 2007, 04:37:39 AM »
Reply with quote
sk ji welcome to yoinda....

bahut acha likha hia apney per app udas keo hia...

Quote from: "SK"
Dur rehkar kareeb rehne ki aadat hai,
Yaad bankar aankhon se behne ki aadat hai.
Kareeb na hote huye bhi kareeb hai,
Mujhe ehsaas bankar paas rehne ki aadat hai.
 :cry:
Logged
SK
Guest
«Reply #257 on: February 22, 2007, 11:11:40 AM »
Reply with quote
Shukriya Sonu Ji.

Thank you for the appreciation and welcome

 Usual Smile

Aapne bhi bahut khoob likha hai!!!!!!!
Logged
Sonu
Guest
«Reply #258 on: February 23, 2007, 03:43:41 AM »
Reply with quote
sk ji your most welcome have funn in yoindia... shukriya...

per meyney to kuch likha hi nahi tha  :lol: chalu phir bhi shukriya...

Quote from: "SK"
Shukriya Sonu Ji.

Thank you for the appreciation and welcome

 Usual Smile

Aapne bhi bahut khoob likha hai!!!!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #259 on: February 23, 2007, 06:16:09 PM »
Reply with quote
very nice  Roshani......  Sk..........
Logged
paani
Guest
«Reply #260 on: February 27, 2007, 05:55:37 AM »
Reply with quote
All u nice SK keep going
Logged
~princess~
Guest
«Reply #261 on: October 02, 2007, 10:06:16 AM »
Reply with quote
thxxxxxxxx als

ab yeh thread phir se shuru kiya jayega

to b continued!
Logged
~princess~
Guest
«Reply #262 on: October 02, 2007, 10:07:34 AM »
Reply with quote
unki chaht jatane ka bahane bhi khoob tha
wo azmane aur tadpane ka zamana bhi khoob tha

hum nazdeekiyon ki chah karte rahe
duriyan bada ka pyaar jatana bhi khoob tha

shaharr mein mashoor thi unki bewafai
phir bhi unki wafa ko manna khoob tha

thokarein bhi unki thi wo diye zakhm bhi unke hi
yun raston mein kante bicha kar unka sahara bhi khoob tha

diwana dil manne ko taiyaar nahi k wo ek dhoka hai
sab jaan kar phir bhi is dil ka behalna bhi khoob tha

ab akele hai tanha hai uska saath to chuta hi duniya ne bhi chodiya
humne phir bhi dil mein armano ko jaga rakha tha
unke intezaar mein tadap kar jeena manzoor kiya
ddastak pe ayi sukun maut ka thukrana bhi khoob tha


~Roshni~
Logged
~princess~
Guest
«Reply #263 on: October 02, 2007, 10:09:46 AM »
Reply with quote
Ab dil lagane ki chaht na rahi
kisiko apna banane ki chaht na rahi

dard ki laali apni hatheliyo pe lagaye kyun?
kisika nam in lakeeron pe sajanee ki chaht na rahi

ek bewafa ki bewafai ne hume barbad kardiya
phir ek ashian basane ki chaht na rahi

kya khabar hai phir koi is dil ke tukhre karega nahi
Maidan e jang mein haath badane ki chaht na rahi

gir kar sambhalna hi zindagi ka naam hai
zameen mein bas kar hawa mein khyal udane ki chaht na rahi

dil todna kisika asan to hai par khud ka tute to jano
Ba-wafa karke ab pachatane ki chaht na rahi

Hum chahe to kare khilwad unke dil k saath bhi
lekin khud ro kar kisiko rulane ki chaht na rahi


~Roshni~
Logged
Roja
Guest
«Reply #264 on: October 02, 2007, 02:31:34 PM »
Reply with quote
Quote from: "~princess~"
Ab dil lagane ki chaht na rahi
kisiko apna banane ki chaht na rahi

dard ki laali apni hatheliyo pe lagaye kyun?
kisika nam in lakeeron pe sajanee ki chaht na rahi

ek bewafa ki bewafai ne hume barbad kardiya
phir ek ashian basane ki chaht na rahi

kya khabar hai phir koi is dil ke tukhre karega nahi
Maidan e jang mein haath badane ki chaht na rahi

gir kar sambhalna hi zindagi ka naam hai
zameen mein bas kar hawa mein khyal udane ki chaht na rahi

dil todna kisika asan to hai par khud ka tute to jano
Ba-wafa karke ab pachatane ki chaht na rahi

Hum chahe to kare khilwad unke dil k saath bhi
lekin khud ro kar kisiko rulane ki chaht na rahi


~Roshni~


Wonderful... wah wah...
Logged
Roja
Guest
«Reply #265 on: October 02, 2007, 02:35:46 PM »
Reply with quote
Quote from: "~princess~"
unki chaht jatane ka bahane bhi khoob tha
wo azmane aur tadpane ka zamana bhi khoob tha

hum nazdeekiyon ki chah karte rahe
duriyan bada ka pyaar jatana bhi khoob tha

shaharr mein mashoor thi unki bewafai
phir bhi unki wafa ko manna khoob tha

thokarein bhi unki thi wo diye zakhm bhi unke hi
yun raston mein kante bicha kar unka sahara bhi khoob tha

diwana dil manne ko taiyaar nahi k wo ek dhoka hai
sab jaan kar phir bhi is dil ka behalna bhi khoob tha

ab akele hai tanha hai uska saath to chuta hi duniya ne bhi chodiya
humne phir bhi dil mein armano ko jaga rakha tha
unke intezaar mein tadap kar jeena manzoor kiya
ddastak pe ayi sukun maut ka thukrana bhi khoob tha


~Roshni~



Bahut khoob.... Roshni... daad hazir hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #266 on: October 02, 2007, 02:40:38 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai, dono hi rachnaye bahoot sunder likhi hai... Good Job!!!
Logged
~princess~
Guest
«Reply #267 on: October 05, 2007, 11:53:41 AM »
Reply with quote
Thx roja and pooja di....:-D

Kiya tha pyar jisse humne zindagi ki tarah
wo nibha rahe the rishta dosti ki tarah

Mehfil mein kadam rakhne se sabka salaam paya
bas wohi mila mujhse koi ajnabee ki tarah

Muskaan humne unhe dekar dukh unke kabool kiye
Har sitam sahe humne jaise khushi ki tarah

Duaon ki tabeer humne unhe hi samja har pal
Wo bad dua dete rahe kisi dushmani ki tarah

Beech rah mein saath chod diya bhatakte rahe hum
Wo bhela rahe the dil koi dil lagi ki tarah........


~Roshni~
Logged
Roja
Guest
«Reply #268 on: October 05, 2007, 01:42:57 PM »
Reply with quote
Again good work Roshni..

Unko mujhpe kiye sitam ka ehsaas kabhi toh hoga
Aaj dhur hai mujhse to woh pass kabhi toh hoga

Ab haste hai woh dekhkar "Roja" ki berbadi ko
Yakeen hai mujhko unka dil udas kabhi toh hog..!!
[/color]
Logged
~princess~
Guest
«Reply #269 on: October 05, 2007, 02:51:28 PM »
Reply with quote
bohot khoob roja


Ek din Khuda ki khudai tumse jawab poochegi
Meri wafa par tumhari bewafai ka jawab poochegi

Meri ankhon mein jala kar intezaar k diye
Bahe jo ansun rahon mein bebasi tujhse inka jawab poochegi

Kyu khel bana diya mukaadar ko mere
Is khel mein meri haar teri us jeeet ka jawab poochegi

Mein kahin bhi rahun sanam tu mere saatth to humesha hai
Par Yun dur rehkar Tanhai tujhse tapadane ka jawab poochegi

Jab fasle badane the to yun nazdeek aye kyu
Chadni raaton mein adhuri neend tujhse jawab poochegi

Humne kisika kya bigada k mere hisse mein ayi udaasiyan
Lakeerein meri haathon ki tujhse teri khushiyon ka hisaab poochegi


~Roshni~
Logged
Pages: 1 ... 14 15 16 17 [18] 19
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:58:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer