~*~duri ka dard~*~

by roshni246 on April 11, 2006, 12:30:27 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 19
ReplyPrint
Author  (Read 23247 times)
roshni246
Guest
«Reply #60 on: April 19, 2006, 05:50:38 PM »
Reply with quote
Quote from: "ur_amar"
Bahut he shan dar roshiniji....

Tujhe aab apna banane ki Hasrat na rahi,
Muhabbat me judai ki aab wo Kayamat na rahi.....

Nibhata chalu Rasm-e-Muhabbat aour aage,
Mujhme aab wo aarju aour  wo Sharafat na rahi.....

Tadafta tha dil koi gair tumko dhekhe,
Dil ki aag me aab wo Nafrat na rahi.......

Tu mere naseeb me na thi na sahi
Jindgi se mujhe aab koi Shikayat na rahi.........

awesome !!! no words 2 say!!!nirbhay sahi kehte hain aapse hume kuch seekhne ko milega !!!! Puzzled !  Puzzled !
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Duri Kyun Hoti hai by pakipimpsta in Shayri-E-Dard
<>*sahi nahin jati tumse duri sanam*<> by *KasaK*....Dil Ki in Shayri for Khumar -e- Ishq
Duri by yasmeen khan in Share:Love Poetry
DURI by heena i.s in Shayri-E-Dard
khaash yeh duri na hoti..... by Jaggu Diljale in Shayri for Dard -e- Judai
ur_amar
Guest
«Reply #61 on: April 20, 2006, 02:57:32 PM »
Reply with quote
thx roshniji and nirbhayji......
Logged
roshni246
Guest
«Reply #62 on: April 20, 2006, 06:46:51 PM »
Reply with quote
Koi is adaa se juda humse hua
Ki khwaabon khayaalon me har vaqt harsoo hua

Daaman me sitamgar ne kuch rahaa hi na baaqi
Dil, qaraar, pyaar, sab kuch to hai luta hua

Qismat ne shab bhar me badle yun sitarein
Ki yaaron bohot zulm hua, humse bada dhoka hua

Be-panaah mohabbat hai tumse mere habeeb
meri duaon ka yeh kya sila hua ?

Shaayad judd jaaye sheesha tutkar hazaaron me
Is dard-e-dil ke tukde judey ho kab hai aisa hua?

~roshni~
Logged
roshni246
Guest
«Reply #63 on: April 20, 2006, 07:42:39 PM »
Reply with quote
Quote from: "nirbhay"
Quote from: "roshni246"
ur always welcum shika !!!

hum kabhi tumse khafa nahi ho sakte
vaada kiya hai bewafa nahi ho sakte
aap bhale hi hame bhula kar chale jao
magar hum apke bina ji nahi sakte

door rehna mujhse teri fitrat hi sahi
dard dena hume teri aadat hi sahi
tu chahe kitne bhi dha le sitam
hum to phir bhi tumse hi pyar karenge sanam

badle badle janab nazar aate hain
hume to tute hue har khwab nazar aate hain
kehete hain ki sab kuch thik hai lekin
hume to sab kuch barbad nazar aate hain

tu chahe kitne bhi bewafazi kare
hum phir bhi pyar tumse hi karenge
tu chahe us gair ka sahara le le
hum apna sahara khud banenge
dard jab had se jyada ho jayega to
gabrana nahi hum tum se sika na karenge
hum khud se hi sikayat kar lenge

~roshni~

Chodiye chodiye ye jo baatein hein meri hansraton ke afsane hain
hum bhi dewaane hein jo kehtein hein ke aapke isQ mein deewane hain

Dil chahta hai ke mar kar bhii aap ko rusvaa naheen hone dein
Hokar badnaam jo dusron ko jalatein hein wo aur parvane hotein hain

Logg bhulaa Daaltey hein kisi ki kurbani ke karam
fhir hum to zulmon ko bhii ehsaan sirr lagaar mantein hain

Yoon to ehsaas uska saaye ke tarah saath vo rahata hai mere
Fhir bhi unko ye mehsus hua ke hum unko begane mantein hain

Jabb Lavz mere izhaar-e-mohabbat ke aap hee na samajh na paaye
ye mera dukh ye mere zakhm to merii khushi se anjaane hain!!!

sry nirbhayji thora waqt laga hume lekin aapki shayari ka jawab den bhi to kaise alfaz hi nahi milte !!!

Teri hasti hui surat sada salamat ho
Meri dua hai ke hasi ye teri taa-qayamat ho

kadam kadam per nayi khushi mile tujhko
khuda ki tujhper Azmat har ghadi inhayat ho

Tujhko khush dekhker milti hai jo rahat mujho
Aisaa lagta hai khushi sare jahan ki mil gayi ho

Mere dil mai too bus yehi duaa rehti hai
Khuda puri kare jo tere dil mai hasrat ho

Tere bagair to duniya meri andheri hai
Tum banke roshni aajao too inhayat ho

~ROSHNI~
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #64 on: April 21, 2006, 02:47:02 AM »
Reply with quote
Qayamat...Qayamat...Abb to mujhe bhi bahut kuch Jugaad karna padega iska JAwab dene ke liye, Masha-allah...bahut he khoobsurat!!!
Logged
Tabrez khan
Guest
«Reply #65 on: April 21, 2006, 06:34:24 AM »
Reply with quote
Quote from: "roshni246"
2 guddd!!!

Teri Rahoon Main Aankhein Bichhaye Baithay Hain
Is Dil K Tufan Main Mohabbat Ki Shamma Jalaye Baithay Hain

Aye Zalim Kis Mor Pay Lakar Chora Hai Tunay Mujh Ko
Abhi Bhi Milnay Ki Hasrat Say Teri Yaad Ko Dil Say Lagaye Baithay Hain

Dil Ko Aadat Si Ho Gayi Hai Chout Khane Ki
Bhigi Hui Palkon Kay Saath Muskurane Ki

Kash Anjaam-e-Wafa Pehlay Se Jaan Jaatay Tum
Koshish Bhi Nahi Ki lout k ane ki

~roshni~
Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
   Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De
         Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
         Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De
Logged
roshni246
Guest
«Reply #66 on: April 21, 2006, 09:11:13 AM »
Reply with quote
Quote from: "Tabrez khan"
Quote from: "roshni246"
2 guddd!!!

Teri Rahoon Main Aankhein Bichhaye Baithay Hain
Is Dil K Tufan Main Mohabbat Ki Shamma Jalaye Baithay Hain

Aye Zalim Kis Mor Pay Lakar Chora Hai Tunay Mujh Ko
Abhi Bhi Milnay Ki Hasrat Say Teri Yaad Ko Dil Say Lagaye Baithay Hain

Dil Ko Aadat Si Ho Gayi Hai Chout Khane Ki
Bhigi Hui Palkon Kay Saath Muskurane Ki

Kash Anjaam-e-Wafa Pehlay Se Jaan Jaatay Tum
Koshish Bhi Nahi Ki lout k ane ki

~roshni~
Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
   Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De
         Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
         Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De

very gud!!
keep writing tabrez ji !!!!
Logged
ur_amar
Guest
«Reply #67 on: April 21, 2006, 04:21:30 PM »
Reply with quote
Quote from: "roshni246"
Koi is adaa se juda humse hua
Ki khwaabon khayaalon me har vaqt harsoo hua

Daaman me sitamgar ne kuch rahaa hi na baaqi
Dil, qaraar, pyaar, sab kuch to hai luta hua

Qismat ne shab bhar me badle yun sitarein
Ki yaaron bohot zulm hua, humse bada dhoka hua

Be-panaah mohabbat hai tumse mere habeeb
meri duaon ka yeh kya sila hua ?

Shaayad judd jaaye sheesha tutkar hazaaron me
Is dard-e-dil ke tukde judey ho kab hai aisa hua?

~roshni~

lajawab andaj hai roshniji.... very nice..... Kosish karta hu apna andaj batane ki.....

Tu lakh de dalil apni begunahi ki,
Jab waqt tha faisle ka to teri Muhabbat kaha thi.....

Suna hai maine har hath me hoti hai mahboob ki lakeere,
Salamat the mere hath par meri Kismat me tu kaha thi.....

Kahata hai koi "Vada to fir bhi vada hai mai jahar bhi pee jau.."
Koi unhe ye samjhaye vada nibhane ki Mohalat kaha thi.....

Pata hai tu ho chuki hai aab kisi aour ki,
Tere naseeb me meri Mayyat kaha thi.....

Barbad jindgi, Tanha safar, Ruswa muhabbat, Badnam aashiq,
Bata tujhse pahle meri aisi Shohrat kaha thi........
Logged
roshni246
Guest
«Reply #68 on: April 21, 2006, 04:36:11 PM »

apka andaaz hume bohot pasand aya amar ji !!!

sry but iska jawab hum jald hi denge !!!! OK??? Puzzled !  Puzzled !
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #69 on: April 21, 2006, 04:38:34 PM »
Reply with quote
Wah wah amar bhai very Good one keep it up!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #70 on: April 21, 2006, 09:05:15 PM »
Reply with quote
Quote from: "ur_amar"

lajawab andaj hai roshniji.... very nice..... Kosish karta hu apna andaj batane ki.....

Tu lakh de dalil apni begunahi ki,
Jab waqt tha faisle ka to teri Muhabbat kaha thi.....

Suna hai maine har hath me hoti hai mahboob ki lakeere,
Salamat the mere hath par meri Kismat me tu kaha thi.....

Kahata hai koi "Vada to fir bhi vada hai mai jahar bhi pee jau.."
Koi unhe ye samjhaye vada nibhane ki Mohalat kaha thi.....

Pata hai tu ho chuki hai aab kisi aour ki,
Tere naseeb me meri Mayyat kaha thi.....

Barbad jindgi, Tanha safar, Ruswa muhabbat, Badnam aashiq,
Bata tujhse pahle meri aisi Shohrat kaha thi........

dil-jalo ke saath dil ke kafile bhi jal gai
naam na lo ab uska hum bhi ab badal badal se gaye

shazishon ke saath the hasraton ke raasten
dil ko behlane ke liye uspe hum bhi chal gaye

thaam lete the hame wo apni qamzori samjhke
mil gaya jab maqsad unhe tu wo bhi badal gaye

saath janmo ka ye saath, saath dino main toot gaya
ranjisho ke raasto pe hum akele chod gaya

dard ki ye aah ne dil ko is tarah se tod diya
apne armano ko khud hi hum pairo tale kuchal gaye

teri is judaii ne gir ke uthna sikha diya
dhoka dene walo se hum to ab sambhalne lage

kisipe koi bharosa dil ab ye karta nahi
teri wajese sabse ruswa hum reh gaye

roti hui ankho se bhi muskrate hain har waqt
zindagi k in gamon main do pal main hume dhal diya !!!!!

~roshni~
Logged
roshni246
Guest
«Reply #71 on: April 22, 2006, 09:23:16 AM »
Reply with quote
Quote from: "phoenix"
paane chale the pyaar hum
par is raah mein khud ko kho diya

kisi aur ko hasane k liye
apne daman ko bheego diya

na majhi mila na kinara mila
bus ek mein tha aur mein hi reh gaya

har ghadi palatkar dekha
par kisi ko sath na paya

phir bhi chalta gaya mein us raah par
par khud ko kho diya hai tumhare liye

aaj na kafila mera hai na aashiyana mera hai
ek khuda hi tha mera par aaj usne bhi muh mod liya

are aapne bhi likha hai yahan just great hum jawab likhne ki khoshish main hain !!!!!!!!!

ur reply!!!!!

Tanhaai me kabhi aaine se baatein kar lete hai
Teri tasveer aankhon me dekhke jee bhar lete hai

Kuch pal hi sahi, mehboob ki baahon me jo guzarte hai
Har ik saans me hum jaise sadiyaan jee lete hai

Tere deedaar ko nigaahein jo taras jaati hai
Ashq-e-ishq peekar to pyaas bujha lete hai

Dekhte hai duniya juda kaise hume kar paati hai
Gar Aaj hI umrbharka pyaar tumhe kar lete hai...

~roshni~
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #72 on: April 22, 2006, 09:43:36 AM »
Reply with quote
Wah jee, Bahut khoob Roshni!!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #73 on: April 22, 2006, 09:44:36 AM »
Reply with quote
sab apki dua hai nirbhay ji !!!
ap bhi likhne ka kasth karen Huh?
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #74 on: April 22, 2006, 09:46:26 AM »
Reply with quote
Bahoot Ache Roshni Jee,..

Judai Bhi Mujhe Ab Rahat Dene Lagi,..
Teri Nafrat Bhi Mujhe Chahat Dene Lagi,..
Na Jaan Kaise Hua Ye Asar Ultha,..
ke Ek Bewafaa Bhi Mujhe Mohabbat Dene Lagi,..
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 19
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:12:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer