~*~duri ka dard~*~

by roshni246 on April 11, 2006, 12:30:27 PM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 19
ReplyPrint
Author  (Read 23367 times)
TOUCHY
Guest
«Reply #90 on: April 22, 2006, 07:33:45 PM »
Reply with quote
Quote from: "roshni246"
thxx toucy!!!!!!!
Puzzled !  Puzzled !  Puzzled ! yeh kaun hai??
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Duri Kyun Hoti hai by pakipimpsta in Shayri-E-Dard
<>*sahi nahin jati tumse duri sanam*<> by *KasaK*....Dil Ki in Shayri for Khumar -e- Ishq
Duri by yasmeen khan in Share:Love Poetry
DURI by heena i.s in Shayri-E-Dard
khaash yeh duri na hoti..... by Jaggu Diljale in Shayri for Dard -e- Judai
roshni246
Guest
«Reply #91 on: April 22, 2006, 08:06:29 PM »
Reply with quote
opppzz sry touchy!!!!!!!!:( Puzzled !
Logged
ur_amar
Guest
«Reply #92 on: April 23, 2006, 03:18:13 PM »
Reply with quote
Quote from: "roshni246"
Yaadon ko laga kar seene se taqdeer jagaya kerti hun...
Mein tere khayyaloun sey teri tasveer banaya kerti hun...

Jab yaad suhani hoti hai, Jab yaad purani aati hai...
Mein chand sitaron ko Dukh ki tafseer sunaya kerti hun...

Jab sara Aalam sota hai,Ek dard sa dil mein hota hai...
Dukh bhare iss aalam mein, Main nain bhaya kerti hun...

Kya tujse kahoun duniya walon!hai dard bhari rawadad meri...
Tanhai mein ro ro ker ghum ki tehreer mitaya kerti hun...

Yun rah-e-mohabbat mein tanha chor k janey walay...
Kya teray khayyaloun mein bhi kabhi aaya jaaya kerti hun...??

~roshni~

Taqdeer ne meri teri yaad ko apna bana diya....
Tasveer ne teri mere arman ko begana bana diya....

Yado ka kahu har pal har waqt chali aati hai,
Dekh teri yado ne mujhe parvana bana diya....

Bat na kar sone ki mai shab-e-furkat ka jaga hu,
Dhekh jagti aankho k khwabo ne humko deewana bana diya....

Iljam nahi hai duniya par maine khud he likhi hai ye dastan,
Dhekh teri meri kahani ne humko tanha bana diya......

Dard dard na raha aab khuda ki ibadat ban gaya,
Dhekh teri judai ne humko insan bana diya......

Har sans har dhadkan me basi hai tu aye juda hone wale,
Dhekh tere khayalo ne humko pal do pal ka mehman bana diya......
Logged
ur_amar
Guest
«Reply #93 on: April 23, 2006, 03:25:58 PM »
Reply with quote
Quote from: "roshni246"
[!!! 4 someone !!!] from my soul & heart!!!]

Tum ne yeh kaise keh diya
Mujhe bhool jaana!!!
Kitni aasaani se keh diya
Mujhe bhool jaana!!!
Gar tumhe yaad ho
Woh pyaar bhari baatein!!!
Woh baharon se bhari  mulakatein!!!
Ek dusre ka ghum baatna....
Ek dusre k liye hasna rona...
Ek dusre ke liye woh kasamein khaana...
Kya sab yun hi koi
Parihaas kiya tha tum ne
Kehte the pyaar kiya tha humse
Kab aur kaise bhool gaye
Ki main ke insaan hoon??!!
Gudiya nahin ke baas
Thokar mari aur chal diye
Socha bhi nahin kya hoga mera
Kaise jeeyenge, kya haal hoga mera
Tum ne apna kaam khatam kar diya
Kah ke woh teen...dard bhare shabd
..Mujhe Bhool Jaana!!!

~ROSHNI~

Kya gajab expression hai,,, wonderfull.......
Logged
roshni246
Guest
«Reply #94 on: April 23, 2006, 03:53:23 PM »
Reply with quote
thxx amar phir apne ek lajawab reply diya hai !!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #95 on: April 24, 2006, 02:39:06 PM »
Reply with quote
Quote from: "ur_amar"
Quote from: "roshni246"
Yaadon ko laga kar seene se taqdeer jagaya kerti hun...
Mein tere khayyaloun sey teri tasveer banaya kerti hun...

Jab yaad suhani hoti hai, Jab yaad purani aati hai...
Mein chand sitaron ko Dukh ki tafseer sunaya kerti hun...

Jab sara Aalam sota hai,Ek dard sa dil mein hota hai...
Dukh bhare iss aalam mein, Main nain bhaya kerti hun...

Kya tujse kahoun duniya walon!hai dard bhari rawadad meri...
Tanhai mein ro ro ker ghum ki tehreer mitaya kerti hun...

Yun rah-e-mohabbat mein tanha chor k janey walay...
Kya teray khayyaloun mein bhi kabhi aaya jaaya kerti hun...??

~roshni~

Taqdeer ne meri teri yaad ko apna bana diya....
Tasveer ne teri mere arman ko begana bana diya....

Yado ka kahu har pal har waqt chali aati hai,
Dekh teri yado ne mujhe parvana bana diya....

Bat na kar sone ki mai shab-e-furkat ka jaga hu,
Dhekh jagti aankho k khwabo ne humko deewana bana diya....

Iljam nahi hai duniya par maine khud he likhi hai ye dastan,
Dhekh teri meri kahani ne humko tanha bana diya......

Dard dard na raha aab khuda ki ibadat ban gaya,
Dhekh teri judai ne humko insan bana diya......

Har sans har dhadkan me basi hai tu aye juda hone wale,
Dhekh tere khayalo ne humko pal do pal ka mehman bana diya......

Wada kar mairay humsafar kai agar hum mile nahi to
Aik doosre kai bina marain gay nahi

Sunheray huroof mein likh dain gay teri yadein
Aik doosre ko kabhi bhi bhoolein gay nahi

Aik doosre ko humesha izzat se yaad karein gay
Dil pai kya beeti? kisi ko batayain gay nahi

Duniya chalti rahay gee apni jagah aur hum apni jagah
Bus hum phir kabhi tere bina muskurayain gay nahi

Tanhai mein yaad aatein hain yaadein aur zyaadah
Hum kabhi waqt tanha bitayain gay nahi

Jin rahoan per chaltay hain hum saath saath
Un raastoan per kabhi kisi aur kai saath chalein gay nahi

Zindagi ko guzarain gay khushi kai saath
Afsoas aur ghamoan ki aahain bharein gay nahi

Khushiyoan ko dhoond kar layain gay waapis
Ghamoan kai baadal zindagi mein dobaarah chayain gay nahi

Hum bohut royain gay aik doosre ko naa paakar
Isi liye hum kabhi kisi doosre ko rulayain gay nahi

Jeetain gay hum aik doosre ko naa paakar bhi
Zindage mein hum kabhi haarain gay nahi

Thaam kar haath doosre ka hum aik doosre ko jalaatay hain
Phir kabhi kisi moar per hum kisi ko jalayain gay nahi

Humesha doosroan kai pyaar ko milayain gay
Hum kabhi kisi pyaar karnay waalay ko tarpayain gay nahi

Zindagi aur waqt chalta rahay ga, chalta rahay ga
Aur hum bhi kabhi thahrein gay nahi

Jaantay hain hum kai agar hum naa milay
To kabhi ek doojay saa pyaar payain gay nahi

Baishak chaand ki tarah chamaktay to rahain gay
Per sitaroan ki tarah jhilmilayain gay nahi

Tu apni jagah, main apni jagah khush rahain humesha
Bus sachi mohabbat phir kabhi kisi se karain gay nahi

Tang kiya kartay hain hum aik doosre ko pyaar se
Phir kabhi kisi ko tang karain gay nahi

Kaam aayain gay doosroan kai humesha
Bus jaan kabhi kisi per waarain gay nahi

Dubaarah kisi moar per mil jayain to anjaan hain hum
Laut kar waapis aik doosre ki zindagi mein aayain gay nahi

Per duya hai mairee yehi khuda se aur hai yeh yaqeen
Kai hum kabhi aik doosre se bichrein gay nahi

~roshni~
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #96 on: April 24, 2006, 02:46:54 PM »
Reply with quote
Superb!!! Tabhie maine socha aaj din bhar kahan they aap!! heheh Bahut hee khoob, Direct@dilse.com!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #97 on: April 24, 2006, 02:47:53 PM »
Reply with quote
shukriya nirbhay!!!
Logged
ur_amar
Guest
«Reply #98 on: April 24, 2006, 05:02:41 PM »
Reply with quote
thx roshniji........aour aap ne bhi bahut khubsurt reply diya hai...... jawab dene ki koshish karuga..... filhal itna he

Ujalo ki talash me umra dar umra gujar gai,
Mayssar huwi roshni to andhere he rass ane lage.....
Logged
ur_amar
Guest
«Reply #99 on: April 27, 2006, 04:32:57 PM »
Reply with quote
Kaha hai tu, kin andhero me baitha hai,
Tham kar dard se sina,kis gum ko liye baitha hai..
Dhekh maine tere liye chandni se tasveer banai hai,
Par ek tu hai ki kagaj par dundhli lakeere liye baitha hai.......

Aarju gumnam huie har humrah begana huwa,
Jo sada se chala aaya hai wahi fasana huwa,
Milti hai saja Jurm-e-ulfat me kisi ko,
Par ek tu hai ki iljam sar apne liye baitha hai........

Bhul gaya hai koi mud k kisi ne na dhekha hai,
Mashroof jamane ne dard kisi ka kaha dhekha hai,
Wafa, judai, ishq, jajbat kagaj ki bate hai,
par ek tu hai ki Laila Majnu ki misale liye baitha hai......
Logged
roshni246
Guest
«Reply #100 on: April 27, 2006, 04:57:31 PM »

bohot ache amar ji!!!! really its awesome!!
hum apko jawab zaroor denge!!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #101 on: April 27, 2006, 05:16:14 PM »
Reply with quote
Bohat Khoob Amar bhai..

And nice Avtar Roshni!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #102 on: April 27, 2006, 07:20:05 PM »
Reply with quote
thxx nirbhay!!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #103 on: April 27, 2006, 07:44:51 PM »
Reply with quote
tuwada bhot bhot welcum hai roshni !!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #104 on: April 28, 2006, 04:57:34 AM »
Reply with quote
Quote from: "ur_amar"
Kaha hai tu, kin andhero me baitha hai,
Tham kar dard se sina,kis gum ko liye baitha hai..
Dhekh maine tere liye chandni se tasveer banai hai,
Par ek tu hai ki kagaj par dundhli lakeere liye baitha hai.......

Aarju gumnam huie har humrah begana huwa,
Jo sada se chala aaya hai wahi fasana huwa,
Milti hai saja Jurm-e-ulfat me kisi ko,
Par ek tu hai ki iljam sar apne liye baitha hai........

Bhul gaya hai koi mud k kisi ne na dhekha hai,
Mashroof jamane ne dard kisi ka kaha dhekha hai,
Wafa, judai, ishq, jajbat kagaj ki bate hai,
par ek tu hai ki Laila Majnu ki misale liye baitha hai......

yaad kartEy heIn tumhien raatoon mein
le kar sab arman ankhoon mein

haath tha tumhara mere hathoon mein
kushion ke raag thay fizaoon mein

kya kami thee humari wafaoon mein
jo chorh diya saath ulfat ki rahoon mein

karenge tumhien bhi shumar parayon mein
na aayen gay kabhi tumhari rahoon mein

chal paray hain hum jeven ki naye rahoon mein
le ke sab kushiyon kay rang ankoon mein

ek pagam hai tumaharay liyay in batoon mein
kareen gay aabad naya jaha kisi ki bahoon mein

jo aye phir kabhi tum humari rahoon may
na hoga kuch tumhare liyay in nighahoon main

!~ROSH~!
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 19
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:43:50 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer