Ek Khayal~~~~~~

by Saba_Saba on July 11, 2005, 09:48:45 AM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 19
ReplyPrint
Author  (Read 23960 times)
harashmahajan
Guest
«Reply #105 on: December 26, 2005, 06:01:50 AM »
Reply with quote
Quote from: "Sonu"
bahoot khob harash.... wonderful...

shukriya harash....

Yeh hawa ka koi jhonka nahi
Teri yaadon ka ek samundar hai

Nahin lag sakta kabhi maikhane main taala
Ek nahin..do nahin...Saara shahar hai peene waala

Mujhe bhulna bhi chaho to bhula na sako ge
Main to palkon pe thahar jaoon ga, aaansoon ki tarah


muna bahoot hee khob gazel likhi hai tumney....

harash bhoot khoob.... wonderful...

Jahan raho,khush raho,mangte hain hardam yehi duaa
aise to sanam ham kabhi, apne bhi talabgaar na thay.

Sikha kar mohabbat ka tarana, mahubaat-e-wafa hi badal dali
teri qasam warna ham, aise bhi wafadar na thay.

Jhukaana nazrein,bichana palkein,hain sab karamat-e-mohabbat
har aahat pe dil dharrakna, kabhi aise be-qarar na thay.

Tumari doori ne to jeenay ki tamanna hi mitta dali
zindagi se hamari mulakat ,pehle bhi khushgawaar na thay.

Wafa ke paasbaan hain,jafa bhala kiya jaanein
aik tum hi to faqat,wafa ke alamdar na thay


bahoot sunder sonu ji....

Nahi hai sarokaar mere mehboob Is Zamane se
mehsoos hote hain tere Lafzon main bhi tarane se.
Ab ye insaani taale kya humko Rok paatyenge ai 'harsh'
Tere kai roop Jhilmilate hain,hote jab Ruksat hum maikhane se.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ek khayal .... ( Divya) by deepika_divya in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
aaj koi khayal aaye na by saahill in Miscellaneous Shayri
Khayal ki Titli by dksaxenabsnl in Share Poetry You Like
Khayal..... by satish-Aman in Ghazals
Khayal by Lovely-Prince in Shayri for Dard -e- Judai
Sonu
Guest
«Reply #106 on: December 26, 2005, 06:35:41 AM »
Reply with quote
shukrya harash ji...

bahoot badiyaa harash...

itne sangeen bhi mat bano mein jaa rahi hoon
ho sakey toh meri kabr par aa jaana
aansoo bahaana yaad beyshaq na aaye tumhey
dil khol ke hum par kaantey chadhaa jaana
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #107 on: December 26, 2005, 06:56:49 AM »
Reply with quote
Quote from: "Sonu"
shukrya harash ji...

bahoot badiyaa harash...

itne sangeen bhi mat bano mein jaa rahi hoon
ho sakey toh meri kabr par aa jaana
aansoo bahaana yaad beyshaq na aaye tumhey
dil khol ke hum par kaantey chadhaa jaana


sonu ab khud hi sangdil ban ke ,      iljaam yahaan thhok diya..lolsss


Aks dikhe her shaks main tera toh yuin lage,
Khyaal teri yaad ke saanche main dhal gaye.

kabra ki karoge baat toh nazara dekhogi,
Phool ban.ne ki chah main kaante badal gaye.
Logged
Sonu
Guest
«Reply #108 on: December 26, 2005, 07:15:19 AM »
Reply with quote
harash jha etney chutey miley vha keya kesi per koi iljam hum thupeyngey... jub apney he dukha dey jaey to keya kesi ko sangdil kahngey...

bahoot khoob harash...

zindgi zahar nahi doosrey zahar hain
kismat khraab nahi pal pal ki baat hai
nashe main anaab-shnaab bolna pasand nahi
pyar kiya jinse... woh dilbar shraab hai
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #109 on: December 26, 2005, 07:24:47 AM »
Reply with quote
Rok lo kadamon ko jakhm nasoor na ban.ne paayein...Sonu ji ye zindagi itni bhi namuraad nahi ki..ek ke be-wafa ho jaane se duniya hi badal jaaye...


Ab kyuin hamaare darmiyaan, yuin faasle badne lage,
magrooriyaan jo kutchh bhi hain Tuzhko bhi hain Muzhko bhi hain.
Logged
Sonu
Guest
«Reply #110 on: December 26, 2005, 07:58:47 AM »
Reply with quote
harash ji... yea kadem ab ruk nahi pangey... basi ahi jindi yaad es dil mey usey bhula na paehngey, ab to her ek beywafa legta hai bus dildaro ki kami nahi hai es jahan mey...

bahoot khoob harash ji...

khud ko gunhagar samjhtey keo ho, jo tumhra kabhi tha he nahi usey apna kheytey keo hoo, jinkey ahkho mey mudadto sey bahrey hia ansoo unko khushi key pal deytey keo hoo, bikhar jangey sab ahkh key moti unko puchtey keo ho
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #111 on: December 26, 2005, 08:20:18 AM »
Reply with quote
bahut khoob sonu ji............... tongue3
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #112 on: December 26, 2005, 08:29:52 AM »
Reply with quote
Quote from: "Sonu"
harash ji... yea kadem ab ruk nahi pangey... basi ahi jindi yaad es dil mey usey bhula na paehngey, ab to her ek beywafa legta hai bus dildaro ki kami nahi hai es jahan mey...

bahoot khoob harash ji...

khud ko gunhagar samjhtey keo ho, jo tumhra kabhi tha he nahi usey apna kheytey keo hoo, jinkey ahkho mey mudadto sey bahrey hia ansoo unko khushi key pal deytey keo hoo, bikhar jangey sab ahkh key moti unko puchtey keo ho



waah sonu ji...ab kya kahoon..

Kho gaya yuin yaadgaar pyaar yaar bheed main,
Ho gaya hai dil ka saaz taar-taar bheed main.

Kyuin karein Gila, Unki Bewazeh Judayee ka,
ker gaya woh dil pe waar aar-paar bhed main.

Kab tak chhipe ye dard unki be-wafayee ka,
Dus raha jo ban ke naag, baar-baar bheed main.

Bhool ker bhi bhoolte nahi hain din shabaab ke,
Ro raha hai dil bhi aaj , Jaar-jaar bheed main.

Berang khaton ke dher, dekh ker kareeb se,
'harsh' ropye jaar-jaar baar-baar bhed main.
Logged
Sonu
Guest
«Reply #113 on: December 26, 2005, 08:29:59 AM »
Reply with quote
shukriya badnam shayar ji...
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #114 on: December 26, 2005, 08:04:36 PM »
Reply with quote
Harash Jee .... Sonu ...... aur badnam shayar jee
aap ne bohat khuub likha

Tu jo tha to aabad tha mera gulshan
ab to hawaye bhi zara duur se guzarti hai
Logged
Sonu
Guest
«Reply #115 on: December 27, 2005, 04:54:24 AM »
Reply with quote
shukriya harash ji... khney ko to lafaz nahi mager suney ko to koi harz nahi hia... dil chahey ketna bhi roey mager bataney ko koi alfaz nahi hia...

bahoot khoob harash ji...

kyaamat jo husn waalo ne di
maatam bichaa rakkha hai tanhaai main bhi
laakh samjhaaya par samajh na paya.. yeh dil
ghaayal kar rakkha hai bewafaaii main hee...


thanks gudiyaa...

saba tumney bhi bahot acha likha hai...

abb toh bas aarzoo hi na rahi
jab se hum dil ko duubo baithey
woh bijli gira gaye hum par
aur hum.. zindgi bhula baithey
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #116 on: December 27, 2005, 06:54:09 AM »
Reply with quote
Quote from: "harashmahajan"
Quote from: "Sonu"
harash ji... yea kadem ab ruk nahi pangey... basi ahi jindi yaad es dil mey usey bhula na paehngey, ab to her ek beywafa legta hai bus dildaro ki kami nahi hai es jahan mey...

bahoot khoob harash ji...

khud ko gunhagar samjhtey keo ho, jo tumhra kabhi tha he nahi usey apna kheytey keo hoo, jinkey ahkho mey mudadto sey bahrey hia ansoo unko khushi key pal deytey keo hoo, bikhar jangey sab ahkh key moti unko puchtey keo ho



waah sonu ji...ab kya kahoon..

Kho gaya yuin yaadgaar pyaar yaar bheed main,
Ho gaya hai dil ka saaz taar-taar bheed main.

Kyuin karein Gila, Unki Bewazeh Judayee ka,
ker gaya woh dil pe waar aar-paar bhed main.

Kab tak chhipe ye dard unki be-wafayee ka,
Dus raha jo ban ke naag, baar-baar bheed main.

Bhool ker bhi bhoolte nahi hain din shabaab ke,
Ro raha hai dil bhi aaj , Jaar-jaar bheed main.

Berang khaton ke dher, dekh ker kareeb se,
'harsh' roye jaar-jaar baar-baar bhed main.


Logo ke hujum me hum akele rahe
Roshni ki talash me bejaan andhere rahe

Tum se wada tha ek mulaqat ka
Hum tere intezar me savere rahe

Tum huye juda sab rounke lekar SABA
Ab humare paas bas duniya ke bakhere rahe
Logged
Sonu
Guest
«Reply #117 on: December 28, 2005, 04:02:55 AM »
Reply with quote
bahoot khob gudiya...

zindgi mein ek hi dukh hai ki tum hamare sath nahin
thodi der se milo par marne ke bad nahin.
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #118 on: December 28, 2005, 09:30:10 AM »
Reply with quote
Mom Bohat KhuuB
lekin

Marne ka kyu soche hum
Jab mili zindagi se ghadiya kam
Jo bhi guzri bohat Khuub thi
Baaqi guzar jaaye to ho RAB ka karam
Logged
Sonu
Guest
«Reply #119 on: December 29, 2005, 05:18:11 AM »
Reply with quote
thanks gudiyaa...

very nice gudiyaa...

Teri bewafa hone ka subhah tha mujhe,
Par behaya bhi hai ish-se hum anjaan the.
Teri bholi surat pe kai baar qurbaan huye hum,
Shayad dil masoom tha hum nadan the.
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 19
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:03:01 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.141 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer