Very nice Vikas
Jo hua haal mera us ne suna to hoga
Us ke armaano ka bhi khoon hua to hoga
Dil me yaado ke haseen phool khile to hoge
Aankh me ashko ka toofan utha to hoga
Ho rahe honge meri darbadri ke charche
Bazm me un ki mera zikar chhira to hoga
Khashmagi nazre yeh kehti hai ke kuchh kehna hai
Unko khud apni is haalat ka pata to hoga
Woh batayenge nahi puchh ke dekh Saba
Zindagi me magar unki bhi khala to hoga
Saba wooowwwwww ur writing shows the pain and love both.
Meri is haalat ka unko pata to hoga
hua hai mera jo haal unko pata to hoga
rooti hai meri aanke ek aansu unki aankh mai aaya to hoga
dhadkta hai jo mera dil dard unko hua to hoga
mangi jo maine maut kafan unhone to kharida hi hoga
Thanks Vikas :oops: ... Aap bohat achha likhte hai
jaan kar bhi jo anjaan rehte hai
un se mera koi rishta to hoga
mere haatho.n ki lakeero.n me
Kahi na kahi tera zikar to hoga
Saba kuch jo di ko chu jata hai aisa likha hai
Chuute wo din chuuta unka saath
baaki ab kuch nahi ha to bas ek yaad
hansi kuch aisi thi baaten kuch wasi thi
wo aisa karti thi wo aise chalti thi
chuban durri ki kasak milne kuch yun badhi
raaton ko intezaar karte hai din ko behaal rehte hai
aayen zaruur ummed hai issilye
roz kabar se nikal kare apna janaza sajate hai
Kuchh dil ko chhu gaya hai ... shayad ....
Hum to woh log hai jo
na kisi ke dast e shumar me hai
na kisi ki nigah ke hisar me hai
yu jaise koi ho, sadiyo ka be ant safar
Sehra sehra firta koi khak basar
Kya puchte ho ke kaun hai hum
jaan lo hume to tumhe maloom ho
Hum to woh log hai jo jeevan dekar bhi
Kisi ke dil me maskan na bana paaye
yu jaise koi madham si kiran
Kisi rozan se ubhre aur doob jaaye