Ek Khayal~~~~~~

by Saba_Saba on July 11, 2005, 09:48:45 AM
Pages: 1 ... 13 14 15 16 [17] 18 19
ReplyPrint
Author  (Read 23719 times)
Bharat
Guest
«Reply #240 on: April 11, 2006, 03:42:38 AM »
Reply with quote
Quote from: "Saba_Saba"
Very Nice Vikas

Na kaam ho ke dil ne yeh kaam kar diya hai
Naam o nishan humara be naam kar diya hai

Kab khatm hoga ya RAB mausam judaiyo ka
Ro ro ke hum ne din ko fir sham kar diya hai

Jo dekhta hai hum ko leta hai naam tera
Hum ko mohabbato ne badnam kar diya hai

Ab tak faseel par hai apne diye salamat
Hum ne hawa ka hamla na kaam kar diya hai

Dil tak bhara hua tha khwahisho ke meh se
Ab zindagi ne khali yeh jaam kar diya hai

Hum ne Saba us ko chaha tha dil hi dil me
Us ne fasana e dil kyu aam kar diya hai



fasana e dil aam karun, yeh mumkin hi nahin
har lamha har waqt, is dil ne unko awaz di hai

dil mein wo hi basen hai par lab pe yeh gila hai
us ne meri mohabbat ko nazar-andaz ki hai !!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ek khayal .... ( Divya) by deepika_divya in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
aaj koi khayal aaye na by saahill in Miscellaneous Shayri
Khayal ki Titli by dksaxenabsnl in Share Poetry You Like
Khayal..... by satish-Aman in Ghazals
Khayal by Lovely-Prince in Shayri for Dard -e- Judai
waheed_rose2004
Guest
«Reply #241 on: April 11, 2006, 02:32:39 PM »
Reply with quote
bahot  khoob  Saba. .............. Bharat.............
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #242 on: April 14, 2006, 03:08:14 PM »
Reply with quote
Thanxx Waheed... :oops: Usual Smile

Very Nice Bharat .... Usual Smile

Fishar_e_hijar meri rooh me utar bhi gya
Duaa_e_wasal me baaki tha jo asar bhi gaya

Ab is ke baad kadi dhoop ka safar hi to hai
Mai jis chhao me rehti thi woh shajar bhi gaya

Uthaye rakhti to, shaano par reh gaya hota
Jhuka diya tha so, is jurm me sar bhi gaya

Kare to kis se kare apni be ghari ka gila
Kaha ka ghar tha, ke jisko kahe ke ghar bhi gaya

Hunar to gum ko chhupane ka mai bhi rakhti thi
Naseeb gum huye aise ke yeh hunar bhi gaya

Hawa bhi tand thi, ghayal bhi tha wajood mera
So naqad_e_jaa hi nahi rukht baal_o_par bhi gaya

Wisaal aur kaha khojti firoo SABA
Kisi ke hijar ka mausam to ab guzar bhi gaya
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #243 on: April 15, 2006, 09:03:53 AM »
Reply with quote
bahut khoob saba ji and bharat ji...
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #244 on: April 27, 2006, 09:05:22 AM »
Reply with quote
aakhri ek khayal tere liye
zindgi ki aakhi shaam tere liye
maut ka pehla paigam
tere is bhule aashiq ke liye
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #245 on: April 27, 2006, 10:12:54 AM »
Reply with quote
bahoot acha Likha hai sab ne,..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #246 on: April 27, 2006, 02:07:34 PM »
Reply with quote
bahoot khoob saba, bharat and vikas!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #247 on: April 28, 2006, 05:40:36 AM »
Reply with quote
Juda Hoon Isliye Tujhse Main Ke Kuch Majboorian Hain,..
Dil-o-Jaan To Hamare Ek Hain Bas Lamhon Ki Doorian Hain,..
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #248 on: April 29, 2006, 04:37:08 AM »
Reply with quote
thnaks POOJA JI and JS Bhai.

and nice one JS.

Har Lamho aati ha yaad apki
dil jab bhi dhadkta hai
yaad aati hai aapki
har saans pe likhta hun naam aapka
meri ruh pe ikhtiyar hai aapka
Logged
Pooja
Guest
«Reply #249 on: April 29, 2006, 06:18:59 AM »
Reply with quote
Ek khayal hai tu aor kuch bhi nahi
Juda hai mujse tu, aor kuch bhi nahi
radap hai tu aor kuch bhi nahi
Zindagi hai tu, aor main khud ki najar mai kuch bhi nahi
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #250 on: April 29, 2006, 12:16:41 PM »
Reply with quote
Shukriya Vikaas Bhai,..

Dard-e-Judai To Sehna Meri kismat Hai Ab,..
Usne Kaha Hai Aaoongi Main Tere Marne Se pehle,..
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #251 on: April 29, 2006, 02:15:42 PM »
Reply with quote
Good JS Bhai and Thanks Pooja Ji for sharing some great thought
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #252 on: May 03, 2006, 07:04:15 AM »
Reply with quote
Shukriya Vikaas Bhai,..

Seh Raha Hoon Judai ke Lamhe Main Apni Zindagi Mein Isliye,..
Ke Wo Mujhse Maut ke Baad kahin Judaa Na Hojaaye,..
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #253 on: May 04, 2006, 04:53:01 AM »
Reply with quote
nice saba
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #254 on: May 04, 2006, 07:50:24 AM »
Reply with quote
Khushi Hai Mujhe Judaai ke Gham Sehkar Bhi,.
Ke Wo Bhi Taradpati Hai Mujhse Milne ke Liye Kahin,.
Logged
Pages: 1 ... 13 14 15 16 [17] 18 19
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 01:20:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer