Ek Khayal~~~~~~

by Saba_Saba on July 11, 2005, 09:48:45 AM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 19
ReplyPrint
Author  (Read 23806 times)
harashmahajan
Guest
«Reply #90 on: December 23, 2005, 04:25:45 PM »
Reply with quote
Quote from: "Sonu"
shukriyaa harash...

very nice harash...

Yu to lakho hain haseen is duniya mein
tum jaisa koi is jmaane mein nahi
kitne hii jaam yu to peete hain roz hii
teri aankho ka nasha magar kissi paimaane mein nahi


sharaab our shabaab ka male muddat se shirkat kerta hai sonu ji....lovely....

na jaane kis-kis ki maout aayee hai
aaj rukh pe koi tere nakaab nahi .
teri zulfon ki chha rahi hai kaali ghata,
teri shabnami aankho se peene ka jawaab nahi .
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ek khayal .... ( Divya) by deepika_divya in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
aaj koi khayal aaye na by saahill in Miscellaneous Shayri
Khayal ki Titli by dksaxenabsnl in Share Poetry You Like
Khayal..... by satish-Aman in Ghazals
Khayal by Lovely-Prince in Shayri for Dard -e- Judai
Sonu
Guest
«Reply #91 on: December 23, 2005, 07:54:48 PM »
Reply with quote
bahooot khoob harash...

zulf ne bal khaya to bura maan gay.
chand badli main jo aaya to bura maan gay.
sab ko pila rahay thay mast aankhon say
hath humne jo brahya to bura maan gay.
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #92 on: December 24, 2005, 07:00:07 AM »
Reply with quote
Quote from: "Sonu"
bahooot khoob harash...

zulf ne bal khaya to bura maan gay.
chand badli main jo aaya to bura maan gay.
sab ko pila rahay thay mast aankhon say
hath humne jo brahya to bura maan gay.


aha..sonu ji waah..


bade hue woh haath gar hum thaam lete,
Teri Akhyon se jaam hum subah-o-shaam lete,
Badnaseebi ye hai ki log kehte hume kaasid,
Warna tere khwaab gah main hum Araam lete.
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #93 on: December 24, 2005, 09:34:25 AM »
Reply with quote
Greattttttttttttt Harash Ji n Mom

WoWwwwwwwww

Paimane chalakte rahe
Jaam yu labo.n se lagte rahe
Teri aankho.n se jo pee thi kabhi
bas usi yaad me hum peete rahe
Logged
Sonu
Guest
«Reply #94 on: December 24, 2005, 07:41:06 PM »
Reply with quote
shukriyaa harash.... and thx gudiyaa... tumney donu ney bhi bahut acha likha hai

saki ney diya jaam, hum peygam dhundtey hai,
ek pather key booth mey insaan dhundtey hai.
subha ko nahi koi pehchan unsey,
sham ko hum meyrbaan dhudntey hai.
vefa sey nahi koi kaam unka,
beyvafaee ki hum hadh dhundtey hai.
hai reyshmi libas mey lipta ek shab,
khuda hee janey hum keya dhundtey hai.
hia unki galiyo mey bahoot bednaam,
hum esleya aaj koi anjaan dhundtey hai.
hai muskan, unki mithi, per bhari zahar sey,
aaj hum apni mouth ka saman dhundtey hia.
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #95 on: December 25, 2005, 04:07:13 AM »
Reply with quote
very nice sonu ji.................................. tongue3

maiN nazar se pee raha hooN ye samaaN badal na jaay
na jhukaaO tum nigaahaiN kaheeN raat Dhal na jaay

miray ashk bhee haiN iss meiN ye sharaab ubal na jaay
miraa jaam Choonay waalay tiraa haath jal na jaay

abhee raat kuch hai baaqee, na uTha naqaab saaqee
tiraa rind girtay girtay, kaheeN phir saNbhal na jaay

miree zindagee ke maalik, miray dil pe haath raKhna
tiray aanay kee khushee meiN miraa dam nikal na jaay

mujhay phooNknay se pehlay, miraa dil nikaal lainaa
ye kisee kee hai amaanat, miray saath jal na jaay...........................(nm)
Logged
Sonu
Guest
«Reply #96 on: December 25, 2005, 05:07:56 AM »
Reply with quote
shukriyaa badnam shayar ji...

bahoot khoob...

na cheez hua karte thay
woh hotey to saamney jab shreef hua karte thay,
woh hansstey jo dil sey, to hum bhi hanssa karte thay.

unke aaney ki khabar sey hum diya jala diya karte thay, kudratey-chaman..
mahroom se khiley phoolo ko le
unke baalo main baha diya karte thay.

kahney sey pahley kuch unkey dil se duwa hum karte thay,
unki aakho sey aansoo kabhi hum aaney na diya karte thay.

woh baat gayi.. mulaqaat gayi akele hum.. woh dur gayi,
tanha sey rishta humara abb dil hum gairo ko dikhatey nahi.
apno ko suna kar kissey dil rakhtey hain hum bhi
aisa kisi ko hum bataatey nahi.

... jee rahey hain bas tanhayee mey ketni pee rahey hai ab koi hesaab rakhtey nahi happy9
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #97 on: December 25, 2005, 05:15:04 AM »
Reply with quote
thats gr8 one sonu ji................bahut acche...................

jo khayal thay, naa qayaas thay,
wahee loog mujh say bichar gayae
Jo mohabaton kee asaas thay wahee,
loog mujh say bichar gayae
Jinhain mantaa hee nahin yeah dil,
wahee loog meray hain ham safar
Mujhay har tarah say joo raas thay,
wahee loog mujh say bichar gayae
Logged
Sonu
Guest
«Reply #98 on: December 25, 2005, 05:23:33 AM »
Reply with quote
shukriyaa badnaam shayar ji... very nice ...

Na maqsad.. na kinara na kisi hawa ka sahaara
na mahfil, na mahobbat ho phir jaam yeh sara

na aankhen.. ho sharaabi na dil kare "aahh" zara bhi
na hontho  par laali na jubaa  par shiqwa

na phool jo khiley toh na bhanwro ka hona.. phir
na kuch aur ho, bas aik tu.. duja tere pyar ka pana

na jhagda, na maatam na ho mera naach aur gana
phir na aansoo teri aankho main na dil main bay-cheni

na khoon ho.. na rishta na toadey.. na joadey
tu khush rah, meri zindgi hai abb teri yaado ke sahare

phir na kahna.. na shiqayat sirf hai teri yaado main rahna par don't you fikar..

na aaongi tere aagey na gaaongi tere gaaney
bas.. yuin hi zindgi bhar tujhe soch kar hain din bitaaney

do pal toh bhi nahi baaqi aadhey toh waqt se pahle
katt jaaney hain yuin hi bachaa kya?.. kar diya sab tere hawaaley

par jaaney se pahle aik baat kah deti hoon
agar pyar kiya hai meine toh sirf tumse.. tumhi sey

chaahe maano ya na maano na kahna hai kuch abb humey
naam diya hai tumhe mahbuub mere na abb kahna pagal humey
just because... i am premi and then...

na naataq na acting na lagega phir exciting
yeh waada hai tumse na hogi dobara 'liking'...
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #99 on: December 25, 2005, 06:22:20 AM »
Reply with quote
wah wah   .........  bahot  khoob Sonu........Saba,,...Harsh  Bhai........Badnam Shayar.......

Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do

Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do

Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do

Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do

Mar hi gaye auroon kay liye hum
Tum apni khatir hum ko Zinda rehney do..........nm
Logged
Sonu
Guest
«Reply #100 on: December 25, 2005, 06:41:22 AM »
Reply with quote
thx waheed muna...

bahoot khoob... wonderful babo

teri khushi ki abb barsaat hogi
gammon se saadiq hamaari mulaqaat hogi
na hoga sabr iss dil main baaki
jakhmey-sangeen har aaney waali jo raat hogi
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #101 on: December 25, 2005, 03:22:46 PM »
Reply with quote
Quote from: "Saba_Saba"
Greattttttttttttt Harash Ji n Mom

WoWwwwwwwww

Paimane chalakte rahe
Jaam yu labo.n se lagte rahe
Teri aankho.n se jo pee thi kabhi
bas usi yaad me hum peete rahe


waah saba waah....lovely write..

saaki Sharaab peene de, Na Roko Yaad sataati hai
Botal se ab laptein mujhko ,mere Mehboob ki aati hai.
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #102 on: December 25, 2005, 03:27:50 PM »
Reply with quote
Quote from: "Sonu"
shukriyaa harash.... and thx gudiyaa... tumney donu ney bhi bahut acha likha hai

saki ney diya jaam, hum peygam dhundtey hai,
ek pather key booth mey insaan dhundtey hai.
subha ko nahi koi pehchan unsey,
sham ko hum meyrbaan dhudntey hai.
vefa sey nahi koi kaam unka,
beyvafaee ki hum hadh dhundtey hai.
hai reyshmi libas mey lipta ek shab,
khuda hee janey hum keya dhundtey hai.
hia unki galiyo mey bahoot bednaam,
hum esleya aaj koi anjaan dhundtey hai.
hai muskan, unki mithi, per bhari zahar sey,
aaj hum apni mouth ka saman dhundtey hia.


Sonu ji...great.....aapka toh bas jawaab nahi.....

Kya mili sougaat mujhko unki mehfil se
Bin peeye hi mujhko khumaar aaya
Tere lafzon ne hi peela mujhko itni
Tere har kadam main tera jawaab aaya.
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #103 on: December 25, 2005, 03:34:33 PM »
Reply with quote
Quote from: "waheed_rose2004"
wah wah   .........  bahot  khoob Sonu........Saba,,...Harsh  Bhai........Badnam Shayar.......

Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do

Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do

Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do

Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do

Mar hi gaye auroon kay liye hum
Tum apni khatir hum ko Zinda rehney do..........nm


bahoot sunder badnaam shayar  ji aapke sunder ashars Gazlom main Achhay lage..


Waheed ji...badi muddat ke baad aapki Gazal is colloumn mai utri hai..bahoot umda tareeke se tehreer main utaari hai..bahoot khoob...

Koi Jo roye toh woh muskra ke dekhte hain,
Chalo toh Aaj hum bhi aansu baha ke dekhte hain.

Suna hai unko bhula ker hi hi mout aayegi,
Toh aaj hi se hum unko bhula ke dekhte hain.

Suna hai jaake wahaan se koi nahi aata,
toh unke paas jara hum bhi ja ke dekhte hain.

Suna hai dil ke makaan main Zameer Rehta hai,
Toh fir makaan ka der khat-khata ke dekhte hain.
Logged
Sonu
Guest
«Reply #104 on: December 26, 2005, 05:14:57 AM »
Reply with quote
bahoot khob harash.... wonderful...

shukriya harash....

Yeh hawa ka koi jhonka nahi
Teri yaadon ka ek samundar hai

Nahin lag sakta kabhi maikhane main taala
Ek nahin..do nahin...Saara shahar hai peene waala

Mujhe bhulna bhi chaho to bhula na sako ge
Main to palkon pe thahar jaoon ga, aaansoon ki tarah


muna bahoot hee khob gazel likhi hai tumney....

harash bhoot khoob.... wonderful...

Jahan raho,khush raho,mangte hain hardam yehi duaa
aise to sanam ham kabhi, apne bhi talabgaar na thay.

Sikha kar mohabbat ka tarana, mahubaat-e-wafa hi badal dali
teri qasam warna ham, aise bhi wafadar na thay.

Jhukaana nazrein,bichana palkein,hain sab karamat-e-mohabbat
har aahat pe dil dharrakna, kabhi aise be-qarar na thay.

Tumari doori ne to jeenay ki tamanna hi mitta dali
zindagi se hamari mulakat ,pehle bhi khushgawaar na thay.

Wafa ke paasbaan hain,jafa bhala kiya jaanein
aik tum hi to faqat,wafa ke alamdar na thay
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 19
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 09:23:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer