Gham-e-Judaai,..

by Jaanasheen on May 19, 2006, 03:46:24 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 10116 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
Jab Se Juda Hua Main Tujhse,..
Bichard Gayi Hain Saansein Mujhse,..

Jeene ki Aas Chordi Maine, Jabse Tu Judaa Hua,..
Mehfilein Hain Bahoot Kareeb Phir Bhi Main Tanhaa Hua,..

Tu Kya Jaane Judaai Kya Hoti Hai,..
Naam Sunte Hi Iska Zindagi Roti Hai,..

Seh Raha Hoon Sitam Judai Ka Main Ke thodo Majboorian Hain,..
Dilon Ke Paas Hain Hum Jaanasheen Bas Jismon Ki Doorian Hain,,..

Mitegi Ye Deewarein Judai Ki,.
Phir Na Hogi Zaroorat Hume Tanhaai Ki,..

Rakhna Intezaar Tum apni Nigaahon Mein,..
Ke Hum Marenge Bhi To Akar Teri Baahon Mein,..

______________-Azeem-____________
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
<<<JUDAAI>>> by Ravinder in Shayri for Dard -e- Judai
judaai by roshni246 in Shayri-E-Dard
Judaai.. by Pundreek in Shayri for Dard -e- Judai
judaai by nilotpal in Shayri for Khumar -e- Ishq
teri judaai ka gham by saahill in Shayri for Dard -e- Judai
darde_dil
Guest
«Reply #1 on: May 19, 2006, 09:22:40 PM »
Reply with quote
Wah J'sheen Bhai Bohot Hi Khoob Likha Hai !!!!

Meri Laash K Sirhaane Khade Voh Keh Rahe Hai,
Is Ko Neend Yu Na Aati Agar Kisi Ka Intezaar Hota !!!!!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: May 20, 2006, 02:00:55 PM »
Reply with quote
Wah Dard-e-Dil bhai bahoot Khoob Kaha Hai tumne Bhi...

Intezaar Karte Karte Tera Humne Apni Hasti Mitaa Di,..
Tum To Aa Na Sake Magar Humne Saansein Gawaa Di,..

______________________________________-Jaanasheen-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: May 20, 2006, 03:43:01 PM »
Reply with quote
Judaa Hua Tu Jaane Kab Se,..
Maang Raha Hoon Main Sirf Tujhe,...
Apne Rabse,..
Logged
darde_dil
Guest
«Reply #4 on: May 21, 2006, 11:40:58 AM »
Reply with quote
Bohot Khoob Likha Hai J'sheen Bhai !!!! Aur Bohot Bohot Shukriya !!!!!

Mile Jab Tab Anjaan The, Bichde Tabhi Bhi Anjaan Bane,
Kya Zindagi Isse Hi Kehte Hai Ki Garaj Mit Te Hi Apman Kare Huh???
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: May 21, 2006, 01:47:22 PM »
Reply with quote
Waah Bahi bahoot Khoob Likha hai,..

Anjaan Banke Hi Har Koi Dil Mein Samaa Jataa Hai,..
Jab Waqt Ataa hai Judaai Ka To Dard De Jataa Hai,..

_________________________________-Jaanasheen-
Logged
kamyayni
Guest
«Reply #6 on: May 22, 2006, 06:06:18 AM »
Reply with quote
Seh Raha Hoon Sitam Judai Ka Main Ke thodo Majboorian Hain,..
Dilon Ke Paas Hain Hum Jaanasheen Bas Jismon Ki Doorian Hain,,..

 bahaut khoob kaha hai aapne jismo ki hi dooriyan hoti hain
 janasheen ji baaki dil to humesha kareeb hi rehte hain bas
 mehasoos karne ki baat hai.

Rakhna Intezaar Tum apni Nigaahon Mein,..
Ke Hum Marenge Bhi To Akar Teri Baahon Mein,..
 
aapki ye line dil chhoo gayi hain.
aapka har ashar dil me utar sa gaya hai.
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #7 on: May 22, 2006, 06:23:32 AM »
Reply with quote
bahoot khoob Jsheen and kamyayi
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: May 22, 2006, 09:05:06 AM »
Reply with quote
Shukriya Kamayani Ji And Pankhuri Ji,..
Gar App Do Lines Likh Dete To seekhne Ka Maukha Milta,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: May 22, 2006, 12:21:36 PM »
Reply with quote
Wo Kabhi Mil Jaaye To Kya Kijiye,..
Raat Din Surat Ko Dekha Kijiye,..

Chandni Raaton Mein Ek Phool Ko,..
Bekhudi Kehte Hain, Sajda Kijiye,..

Jo Tamanna Bhar Na Paaye Umar Bhar,..
Umar Bhar Uski Tamanna Kijiye,..

Ishq Ki Rangeeno Mein Doob Kar,..
Chandni Raaton Mein Roya Kijiye,..

Hum Hi Uske Ishq Ke Kabeel Na The,..
Kyun Kisi Zaleem Ka Shikwa Kijiye,..

_____________________________[NM]
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: May 22, 2006, 12:48:17 PM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Bhai,..

Chamakte Chand Ko Toota Hua Tara Bana Dala,..
Meri Awargi Ne Mujhe Awaara Bana Dala,..

Bada Dilkash Bada Rangeen Hai Ye Sheher Kehte Hain,..
Yahan Par Hain Hazaron Ghar Gharon Mein Log Rehte Hain,..
Mujhe Is Sheher Ne Galion Ko Banjara Bana Dala,..

Main Is Duniya Ko Dekhkar Aksar Hairaan Hota Hoon,..
Na Mujhse Ban Saka Chota Sa Ghar Din Raat Rota hoon,..
Khudaya Tune Kaise Ye Jahan Sara Bana Dala,..

Mere Malik, Mera Dil Kyun Taradpta Hai, Sulagta Hai,..
Teri Marzi,. Teri Marzi Pe Kis Ka Zor Chalta Hai,..
Kisi Ko Gul, Kisi Ko Tune Angara Bana Dala,..

Yehi Agaaz Tha Mera Yehi Anjaam Hona Tha,..
Mujhe Barbaad Hona Tha Mujhe Nakaam Hona Tha,..
Mujhe Taqdeer Ne Taqdeer Ka Mara Bana Dala,..

_____________________________________________
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: May 22, 2006, 01:00:58 PM »
Reply with quote
Ghulaam Ali Ji Ki Hai Bhai...

Dukh Ki Laher Ne Cheda Hoga,..
Yaad Mein Kankar Phenka Hoga,..

Aaj To Mera Dil Kehta Hai,..
Wo Is Waqt Akela Hoga,..

Main To Aaj Bahoot Roya Hoon..
Tu Bhi Shayad Roya Hoga,..

Mere Chume Hue Haathon Se,..
Aur Ko Khat Likhta Hoga,..

Mera Saathi Shaam Ka Tara,..
Tujhse Aankh Milaata Hoga,..

Yaadon Ki Jalti Shabnam Se,..
Phoolon Sa Chehra Dhoya Hoga,..

Naasir Tera Meet Purana..
Tujhko Yaad Aata Hoga,..

_____________________-Naasir-


Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: May 23, 2006, 08:00:35 AM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
GOOD ONE BHAI
MAINE SUNI HAI KAYI BAAR HEHE
BURA LAGA HO TO SORRY

Mujhe Kyun Bura Lage Ga Bhai,..
Gazal Bhi To Ek Shayari Ka Hissa Hai,..
Waise Apne Bhi bahoot Acha Likha Hai,..
Logged
darde_dil
Guest
«Reply #13 on: May 26, 2006, 12:27:51 AM »
Reply with quote
Bohot Khoob J'sheen Bhai Aur Majid Bhai !!!!
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #14 on: May 26, 2006, 02:00:46 AM »
Reply with quote
bahoot khoob majid!! Jsheen ji apne AWARGI movi ke gaane ki yaad dila di!! Nice wordings!!!
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:17:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer