Ghayel samajhta hain......(Ghayel)

by sajid_ghayel on February 01, 2009, 08:37:07 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
ReplyPrint
Author  (Read 8522 times)
sajid_ghayel
Guest
Reply with quote
Dr. Kumar Vishwas ko apni yeh ek sundar rachna Koi deewana kehta hain koi pagal samjta hain.....You Tube pe padhte hue suna aur bas usi dhun yeh char line ban gayee, bohat khushi hogi agar aap sab bhi isme apni 4 line add karte rahe.

Koi gair kehta hain, koi apna samajhta hain
Haqeeqat yeh hain peeda* zakhmo ki, to bas GHAYEL samajhta hain
Karu q sirf main shikwa tere ashko se aye dilbar
Dard tujhse bichedne ka , tera kajel bhi samajhta hain

                        -Sajid Ghayel-

* Pain
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hone de Ghayel muje.......(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Ghayel kahe Parmeshwar........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
Banke Ghayel hamesha.........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
Ghayel na yaha hota........(Ghayel) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Ek Kahani Ghayel ki zubani........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
angel4u
Guest
«Reply #1 on: February 01, 2009, 08:57:59 AM »
Reply with quote

Mere ashqon ki tapish ko mere khwab ka har tukda samajhta hai,
Kirchiyome bikhri zindagi ko mere dilbar tu jeevan samjhta hai,
karein kya shikayat tujhse bichhadne ki ab mera pyaase dil ka gharonda
Teri yaad aajaye to ye banjar makaan use barasta sawan samajhta hia...
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #2 on: February 01, 2009, 09:00:23 AM »
Reply with quote
Dr. Kumar Vishwas ko apni yeh ek sundar rachna Koi deewana kehta hain koi pagal samjta hain.....You Tube pe padhte hue suna aur bas usi dhun yeh char line ban gayee, bohat khushi hogi agar aap sab bhi isme apni 4 line add karte rahe.

Koi gair kehta hain, koi apna samajhta hain
Haqeeqat yeh hain peeda* zakhmo ki, to bas GHAYEL samajhta hain
Karu q sirf main shikwa tere ashko se aye dilbar
Dard tujhse bichedne ka , tera kajel bhi samajhta hain

                        -Sajid Ghayel-

* Pain


Bahoth qoob Ghayel sahab !! Aj kal kafi tanz me likh rahe ho janab !! waise apki har nazam me maza ajata hai !! Allah apko khush rakhe !!

Qadeer Toopchi
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: February 01, 2009, 09:23:22 AM »
Reply with quote


Tanhayi Mein Baithe Hue Jab Sochti Hu Kuchh Likhun,
Tab Gamon Ki Dhaara Samne Se Gujar Jati Hai.

Khushi Ke Do Labz Bhi Zuban Tak Nahin Aate,
Kavita Meri Dukhon Ke Sabdon Se Bhar Jati Hai. 

Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #4 on: February 01, 2009, 09:40:12 AM »
Reply with quote
Beautiful contribution by Roja and Angel thank you so much...& thank u Qadeer.

Main tujhse door rehkar bhi, teri yado me rehta hu
Kasam hain mujko farishto ki, tera hi nam leta hu
Bichad ke jee rahe hain tujhse, aur ab ban chuke GHAYEL
Main har lamha tadapta hu, har lamha main marta hu

                             -SG-


Logged
samir_bc
Guest
«Reply #5 on: February 01, 2009, 10:24:49 AM »
Reply with quote
bahot khooob Ghayal ji.. angel ji...& roja ji.......

ek choti si koshish meri taraf se bhi........


main zakhmo ko apne kabhi bharne nahi deta
un dard bhari yadon ko kabhi mitne nahi deta
kitne tukde kiye dil ke woh bhul gyi ho shayad
main aj bhi un tukdo ko judne nahi deta
Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: February 01, 2009, 01:15:44 PM »
Reply with quote
Beautiful contribution by Roja and Angel thank you so much...& thank u Qadeer.

Main tujhse door rehkar bhi, teri yado me rehta hu
Kasam hain mujko farishto ki, tera hi nam leta hu
Bichad ke jee rahe hain tujhse, aur ab ban chuke GHAYEL
Main har lamha tadapta hu, har lamha main marta hu

                             -SG-





tere har lamhe mein main guzarti hoon khamoshi se main,
Saanson ki maanind rakhti hoon yaadon ka aana jaana main,
Pighal na jaaye rooh meri in dooriyon ki adhuri tapish se,
Tujhse na keh paun ye bhi, hoon kuch is qadar majboor main...
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #7 on: February 01, 2009, 01:28:01 PM »
Reply with quote
Beautiful Contribution Samir and Angel....

Teri har aah sunta hain, teri har baat sunta hain
Sadaye jab bhi deti hain, GHAYEL tera sunta hain
Mujko khud meri bhi ab sunayee nahi deti
Dhadakta hain mera dil me par dhadkan teri sunta hain

                        -SG-
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: February 01, 2009, 03:22:54 PM »
Reply with quote
Meri aahon ko sunke bhi ansuna kar deta hai na jaane kyon,
Tere dilse shayad takra ke aa jaati hai dhadkanein meri,
Bula le tu ek baar phir usi kashish se apni mohabbat ko,
beqaraar hia meri saansein sunneko wo Masoom si aahat teri...
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #9 on: February 01, 2009, 05:51:44 PM »
Reply with quote
Bohat khoob Angel... Clapping Smiley

Meri majboori ko pagli, berukhi q samajti hain
Jitna samjha hain tujhko, Kya tu mujko bhi samajti hain
Chuda lu tujhse damen yeh kaha mumkin hain GHAYEL se
Main q samjaoo duniya ko, jo muje tera samjti hain

                      -SG-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: February 01, 2009, 06:14:19 PM »
Reply with quote
Subhan Allah, Subhan Allah,.
Good Goind Bhaijaan, And Good One Huznaina Ji, And Roja Behna,.

Hum Bhi Ek Choti Koshish Karenge, Agar Buraa Na Lage,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: February 01, 2009, 06:27:08 PM »
Reply with quote
Meri Khamoshi Ko, Ab To Saara Shehar Samajta Hai,.
Ye Baat Aur Hai Ke, Tu Mera Haal Dekh Ke Hasta Hai,.

Ab Kaise Main Zamaane Ko, Ye Tera Rang Batlaaoon,.
Saara Shehar Mujhe Abto, Teraa Aashiq Samajhta Hai,.

Kyun Mujhse Door Hua Hai Tu, Ye Mujhe Bhi Nahi Maaloom..
Teri Is Doori Ko "Azeem, Ab Bhi, Teri Mohabbat Samajhta Hai,.

Tera Chehra Mujhe, Teri Bechaini Bataata Hai,.
Tu Meri Hai, Aur Mera Tujhse Dil Ka Naata Hai,.

Bhale Mujhse Tu Karle Laakh Zamaane Ke Sitam "Jaana,.
Tu Bhi Tadpegi Aakhir Mein, Ye Mera Dil Kehta Hai,.

___________________________________-Jaanasheen-

 
Logged
angel4u
Guest
«Reply #12 on: February 01, 2009, 06:39:56 PM »
Reply with quote
Quote
Bohat khoob Angel... Clapping Smiley

Meri majboori ko pagli, berukhi q samajti hain
Jitna samjha hain tujhko, Kya tu mujko bhi samajti hain
Chuda lu tujhse damen yeh kaha mumkin hain GHAYEL se
Main q samjaoo duniya ko, jo muje tera samjti hain

                      -SG-

Shukriya...  tearyeyed

Teri har majboori se waaqif hoon par kya karun,
sisakta hai teri chhuwan ko mera har pal kya karun,
Kahin se to aa jaa bas mere armaano ko sehlane,
bilakhne lage hai khwaab bhi mere tere bin kya karun...
  tearyeyed
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: February 01, 2009, 06:49:14 PM »
Reply with quote
Teri har majboori se waaqif hoon par kya karun,
sisakta hai teri chhuwan ko mera har pal kya karun,
Kahin se to aa jaa bas mere armaano ko sehlane,
bilakhne lage hai khwaab bhi mere tere bin kya karun...


Hmm, Nice One,.

Main Aaoonga, Meri "Jaanam Tujhe Apna Banaane Ko,.
Tujhe Khushiyaan Dene Ko, Tere Sang Ghar Basaane Ko,.

Abhi Kuch Pal Ki Doori Hai, Tu Haske Ise Sehna,.
Teri Muskaan Meri Hai Meri Jaan, Sadaa Haste Hi Tu Rehna,.

Ye Duniya Kya Tere Liye, Main Jannat Bhi Sajaa Doonga,.
Tu Bas Kehde Tu Meri Hai, Main Sab Ko Bhulaa Doonga,.

_________________________________-Jaanasheen,.



Logged
HANNU
Guest
«Reply #14 on: February 01, 2009, 07:07:54 PM »
Reply with quote
Teri har majboori se waaqif hoon par kya karun,
sisakta hai teri chhuwan ko mera har pal kya karun,
Kahin se to aa jaa bas mere armaano ko sehlane,
bilakhne lage hai khwaab bhi mere tere bin kya karun...

Meri Khamoshi Ko, Ab To Saara Shehar Samajta Hai,.
Ye Baat Aur Hai Ke, Tu Mera Haal Dekh Ke Hasta Hai,.

Ab Kaise Main Zamaane Ko, Ye Tera Rang Batlaaoon,.
Saara Shehar Mujhe Abto, Teraa Aashiq Samajhta Hai,.

Kyun Mujhse Door Hua Hai Tu, Ye Mujhe Bhi Nahi Maaloom..
Teri Is Doori Ko "Azeem, Ab Bhi, Teri Mohabbat Samajhta Hai,.

Tera Chehra Mujhe, Teri Bechaini Bataata Hai,.
Tu Meri Hai, Aur Mera Tujhse Dil Ka Naata Hai,.

Bhale Mujhse Tu Karle Laakh Zamaane Ke Sitam "Jaana,.
Tu Bhi Tadpegi Aakhir Mein, Ye Mera Dil Kehta Hai,.

___________________________________-Jaanasheen-

 

waah kitni khubsurat lines likhi apne Jaanasheen ji or Anjel ji....kya khub likha... Applause Applause
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:30:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.172 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer