Ghayel samajhta hain......(Ghayel)

by sajid_ghayel on February 01, 2009, 08:37:07 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 8
ReplyPrint
Author  (Read 8402 times)
angel4u
Guest
«Reply #30 on: February 02, 2009, 03:48:35 PM »
Reply with quote
Uffffffffff.......

Ab bhi tujhe chahu nahi to lagta hain gunaah hoga
Shayed hi kahi koi tujsa dusra hoga
Par hoti nahi jurrat ke keh du main jo kehna hain
Itna bebas itna lachaar shayed hi koi hua hoga

                        -SG-


Apne Dil ka haal beshak tu chhupa le mujhse,
Keh degi aankhein tere dilki daastan mujhse,
Meri bhi bebasi ka aalam tujhse kya kahun,
teri judayi ne le li hia meri jaan mujhse...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hone de Ghayel muje.......(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Ghayel kahe Parmeshwar........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
Banke Ghayel hamesha.........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
Ghayel na yaha hota........(Ghayel) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Ek Kahani Ghayel ki zubani........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
sajid_ghayel
Guest
«Reply #31 on: February 02, 2009, 03:54:22 PM »
Reply with quote
Apne Dil ka haal beshak tu chhupa le mujhse,
Keh degi aankhein tere dilki daastan mujhse,
Meri bhi bebasi ka aalam tujhse kya kahun,
teri judayi ne le li hia meri jaan mujhse...


Kaise kahu main tujhse chal yeh to bata de
Himmat hain jo tujme mera nam lekar dikha de
Majbooriyo ne meri roki hain zubaan
Jo main na kar saku tu kar ke dikha de

                         -SG-
Logged
angel4u
Guest
«Reply #32 on: February 02, 2009, 04:01:59 PM »
Reply with quote
Kaise kahu main tujhse chal yeh to bata de
Himmat hain jo tujme mera nam lekar dikha de
Majbooriyo ne meri roki hain zubaan
Jo main na kar saku tu kar ke dikha de

                         -SG-


Na kar izhaar apni chahat ka mujhe gam nahi,
tujhe chahun jee jaan se ye bhi to kam nahi,
Tere naam se hi to chalti hai saansein meri,
tere bin is zindagi ki dhoop ki koi shaam nai...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #33 on: February 02, 2009, 04:03:38 PM »
Reply with quote
Hmm,..
Good Going Lage Raho,.
Lage Raho,.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #34 on: February 02, 2009, 04:05:48 PM »
Reply with quote
Rehna de mera nam lena jo tujhe gawara nahi
Muje bhi shero ke alawa koi pyaara nahi
Bas ek koshish ki thi tujhe aazmane ki
Mile pyaar SAJID ko khuda ko bhi shayed gawara nahi

               -SG-
Logged
angel4u
Guest
«Reply #35 on: February 02, 2009, 04:16:48 PM »
Reply with quote
Tera hi to naam mehekta hain mere alfaazon mein,
Tu samajh na paaya dilki zubaan mere sheron mein,
iqraar se dar kaisa jab khuda se maang liya tujhe,
Kehta hai sajid_ghayel khudko jisne kiya ghayal hamein...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #36 on: February 02, 2009, 04:19:34 PM »
Reply with quote
Milega Pyaar Tujhe Zaroor, Ye Mera Dil Kehta Hai,.
Wo Khamosh Hai To Kya Hua,.
Main Jaanta Hoon Tu Uske Dil Mein Rehta Hai,.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #37 on: February 02, 2009, 04:37:21 PM »
Reply with quote
Tera hi to naam mehekta hain mere alfaazon mein,
Tu samajh na paaya dilki zubaan mere sheron mein,
iqraar se dar kaisa jab khuda se maang liya tujhe,
Kehta hai sajid_ghayel khudko jisne kiya ghayal hamein...


Waise to mohabbat ka charcha nahi karte
GHAYEL kabhi zakhmo ka tazkira nahi karte
Mera nam lekar tune jo kiya hain Iqrare mohabbat
Muje ab keh bhi lene do, HUZENA tujhse hum ishq hain karte

                    -SG-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #38 on: February 02, 2009, 04:40:24 PM »
Reply with quote
Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.
Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.
Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.

Khush Raho Aabaad Raho,.

Sajid Bhaiya, Huzaina Bhabhi,.

May Allah Bless You,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #39 on: February 02, 2009, 04:44:09 PM »
Reply with quote
Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.

Khush Raho Aabaad Raho,.

Sajid Bhaiya, Huzaina Bhabhi,.

May Allah Bless You,.

 icon_scratch icon_scratch
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #40 on: February 02, 2009, 04:46:49 PM »
Reply with quote
Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.Mubarakaan,.

Khush Raho Aabaad Raho,.

Sajid Bhaiya, Huzaina Bhabhi,.

May Allah Bless You,.

Oye chote control control   DOH DOH DOH

Logged
angel4u
Guest
«Reply #41 on: February 02, 2009, 04:57:38 PM »
Reply with quote
aakhir kar hi diya mohabbat ka iqraar,
bikhra tu bhi aaj mere daaman mein tootkar,
hai itni tapish meri aahon ki aahat mein,
reh hi gaya ek patthar dil bhi pighalkar...
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #42 on: February 02, 2009, 05:07:58 PM »
Reply with quote
Kya hairat jo pyaasa do boond pani mange
Waqt-e-Qaza koi kudrat se zindagani mange
Aur ek muddat se jo zakhmi ho
Hairat nahi woh GHAYEL, tujhse marhem deewani mange

                             -SG-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #43 on: February 02, 2009, 05:11:08 PM »
Reply with quote
Jab Khule Aam,.
Pyaar Ka Izhaar Kar Rahe Ho Aap Dono,.
Mujhe Maloom Hogaya, Ke Yahi Pyaar,.

Khush Raho, Aur Jeeyo Muskuraake,.

May Alla Bless you,.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #44 on: February 02, 2009, 05:17:54 PM »
Reply with quote
sajid Bhai aur Angel...

Har ek alfaaz Sacha sa lagraha tha..Aap dono Ne Sama Hi Baandhiya..

Bhaut Bahut Bahut Khoob Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 8
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:38:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.141 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer