Ghayel samajhta hain......(Ghayel)

by sajid_ghayel on February 01, 2009, 08:37:07 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8
ReplyPrint
Author  (Read 8528 times)
angel4u
Guest
«Reply #45 on: February 02, 2009, 05:18:06 PM »
Reply with quote
Aa tere har zakhm ko sehla dun kuch aise,
registaan me baras pade dheemi boond jaise,
khwaabon ke gharonde mein ek tara jhilmila gaya,
andheri raat mein bikhri ho chaandni jaise...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hone de Ghayel muje.......(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Ghayel kahe Parmeshwar........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
Banke Ghayel hamesha.........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
Ghayel na yaha hota........(Ghayel) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Ek Kahani Ghayel ki zubani........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
sajid_ghayel
Guest
«Reply #46 on: February 02, 2009, 05:29:13 PM »
Reply with quote
Bas ab itna tanha hu ke muje seene se laga le
Mere zakhmo ko chum ke har dard mita de
Kabhi kisi se kaha nahi na zahir kiya in aakho ne
GHAYEL ke askho ko aaj apne damen se bheega de

                         -SG-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #47 on: February 02, 2009, 05:31:32 PM »
Reply with quote
Achcha Achcha,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #48 on: February 02, 2009, 05:42:15 PM »
Reply with quote
Tere ashqon mein beh na jaaye ye zindagani meri,
Aa samet loon in motiyon ko palkon mein meri,
chal isi kashmakash mein guzaar dein ye raat sanam,
main teri rooh banu ya tu bane qaayenaat meri...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #49 on: February 02, 2009, 05:46:19 PM »
Reply with quote
Achcha Achcha,.
:O
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #50 on: February 02, 2009, 05:48:40 PM »
Reply with quote
Waah Kya Baat Hai,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #51 on: February 03, 2009, 02:28:14 AM »
Reply with quote
Thanks Khawahish...
Logged
Roja
Guest
«Reply #52 on: February 03, 2009, 02:49:31 AM »
Reply with quote
Waise to mohabbat ka charcha nahi karte
GHAYEL kabhi zakhmo ka tazkira nahi karte
Mera nam lekar tune jo kiya hain Iqrare mohabbat
Muje ab keh bhi lene do, HUZENA tujhse hum ishq hain karte

                    -SG-


Beete waqt ko yu dil pe liye gooma nahi karte
Jisse Dil se pyar kiya usko yu ruswa nahi karte

Waqt malam ka kaam karta hai Sajid..
Pyar ko yu nafrat nahi karte..

Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #53 on: February 03, 2009, 07:53:17 AM »
Reply with quote
Aadat nahi thi humko muskurane ki
Kismat nahi thi meri pyaar pane ki
Par teri bato se aaj aisa lagta
Baddua kam na aayee zamane ki

                        -SG-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #54 on: February 03, 2009, 08:08:56 AM »
Reply with quote
Nice One Roja Sis, And Nice One Sajid Bhai,.
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #55 on: February 03, 2009, 08:15:38 AM »
Reply with quote
Tere ashqon mein beh na jaaye ye zindagani meri,
Aa samet loon in motiyon ko palkon mein meri,
chal isi kashmakash mein guzaar dein ye raat sanam,
main teri rooh banu ya tu bane qaayenaat meri...


yaar is thread me Valentine ko zaroor koi na koi kissi ko propose karega ye thread zara denger lag rahi hai !! waise ye sirf mera nazariya hai ap logon ke ashar padkar jo mahesos howa likh diya !! allah sub ko isi taraha khuch rakhe ameen !!

Qadeer Toopchi
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #56 on: February 03, 2009, 08:27:08 AM »
Reply with quote
Aameen,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #57 on: February 03, 2009, 04:33:08 PM »
Reply with quote
Tu ho gaya ab meri rooh ki gehraiyon mein shaamil,
teri har muskurahat ban gayi hai jaise dua meri,
chahe zamana dushman ho ya rab ho jaaye khafa,
rahegi teri dhadkano ke kareeb masoom mohabbat meri...
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #58 on: February 03, 2009, 04:47:05 PM »
Reply with quote
Tere vishwas pe khara utre, usme woh salika kaha hain
Jeet le tujhe duniya se, GHAYEL me woh tareeka kaha hain
Yu to har baat me dard hain uski, mohabbat nahi hain
Zakhm Tanhaiee Aasoo yeh hunar hain uske, ishq karna usne seekha kaha hain

                      -SG-
Logged
angel4u
Guest
«Reply #59 on: February 03, 2009, 04:52:56 PM »
Reply with quote
Is duniya ki hai fiqr bahut tujhe na jaane kyon,
dhadkano ki sada ansuni kar di tune na jaane kyon,
zakhm tere dard mujhe bhi dete hia tu na samjha,
kuredta hai inhe mere pehloo mein aake na jaane kyon...
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:33:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer