GUM MAIN DOOBI YAAD HOON

by majid on August 31, 2006, 07:07:12 AM
Pages: [1] 2 3 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 6238 times)
majid
Guest
Reply with quote
GUM  MAIN DOOBI SHISHKATI YAAD HOON .....
THARTHARAATE  MAUN KA SAMWAAD HOON .....

LAAJ JISKI RAUN DALI BHEED NEY .....
US ABAL AEKANT KI FARIYAAD HOON .....

UD RAHI HAI DARD KI MITHI MEHEK ......
MAIN MOHABBAT MAIN HUA BARBAAD HOON.....

ASHQ JISKO DER TAK PADTE RAHE.....
MAIN KISI KI CHIKH KA ANUWAAD HOON......

KAASH MIL JAAYE MUJHE GALIB KOI......
EK MUDDAT SE TARASTI DAAD HOON......n/m
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jab main unhein yaad karta hoon by waheed_rose2004 in Ghazals « 1 2  All »
Main unse keh raha hoon mujhe yaad by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Bahut door hoon par Tujhse Juda Nahi Hoon Main..... by khwahish in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 5 6 »
Main Hi Humsafar Hoon, Main Hi Humraaz Hoon... by khwahish in Ghazals « 1 2  All »
ranjana
Guest
«Reply #1 on: August 31, 2006, 07:15:58 AM »
Reply with quote
wah!!!!!!! bahut khoob majid ......very beautiful....kuch mein bhi koshish karti hun....


dard mein dube hue is dil ko kaise manaau
siskiyoon mein dubi apni aavaaz kaise wapas laau

nazdikiyaan ab badal gayi hai duri mein
in faili hui duriyo ka fasla ab kaise mitaau

kyu kiya na kabhi unhone hamaare vaade per yakeen
ab main is kho gaye vishwaas ko wapas kaise dohraau

yeh kaise tadap hai is dil ki jo khatam nahi hoti
apni zindagi ki is bujhati lau ko ab kaise wapas jalaau !!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #2 on: August 31, 2006, 07:34:03 AM »
Reply with quote
shukriya .......nice one majid.....

kyu bekhabar rahi main apne pyaar se
kyu murjha ke reh gayi meri zindagi bahaar se
kyu tute mere sab khawab saolne
kyu mil saka na woh mujhe mera dil bhi haar ke?Huh??
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: August 31, 2006, 07:56:02 AM »
Reply with quote
bahut khoob ...Majid ...sach mein yeh pehli ab suljhaaye kaise?? Usual Smile


payasa payasa yeh dil hai mera
payase payase hain yeh nayan

dil mein chipi hain baate kitni
kyu tumse main keh na paayi sajan

kyu tum bhi anjaan rahe meri is peera se
kya tere dil mein nahi they mere pyaar ke rang

sooni sooni yeh diwaare ab mujhe bahut rulaati hai
kyu tere rasta har pal taka karte hain yeh mere do nayan !!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #4 on: August 31, 2006, 12:10:32 PM »
Reply with quote
wah !!last line bahut acchi hai majid ...

Quote
Mohabat ibadat hoti hai
Kabhi thee paas chali gayi


ab toh hum hai aur hamaari tanhiyaan
ishq ki kuch ruki hui hain dil mein parchaiyaan

tutati jaati hain saanse dubate jaate hain dil
kyu mili aakhir hame pyaar mein ruswaiyaan

ki thee jitni bhi dua hamne tujhe paane ki
unti hi tanah karti gayi mujhe yeh dard ki gehriyaan
Logged
ranjana
Guest
«Reply #5 on: August 31, 2006, 12:32:49 PM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
THANKS KUCHH TO ACHHA HAI
AND 2 GOOG SACH MAIN BOHAT ACHHA LIKHA HAI GOOD JOB


Ek khalish dil ki yeh kya se kya kar gayi
Khusiyon ki aankh mein baarishe bhar gayi
Tere hote kitni haseen thi ye duniya
par ab tu nahi to mere dil main tanhaayan ghar kar gayi.........


bahut badiya ...

yeh zindagi tere bina ek khaali sa paimaana lagti hai
mujhe tere bin yeh duniaya apni varaani lagti hai

tum they toh asaan thee raha meri zindagi ki
ab toh mujhe har manzil begaani si lagti hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: August 31, 2006, 01:52:54 PM »
Reply with quote
wah !!!! bahut khoob .......

zindagi kabhi toh tu mujhse apno ki tarah mil
kab tak yun milagi mujeh ajnabi si  ban ke
odi hui hai maine ek naqab apne chahre per hansi ki
kabhi toh tu bhi dekh iske dard isko palat ke!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: August 31, 2006, 02:20:40 PM »
Reply with quote
wah ji wah ....

aankho se aap jara baat toh kiijiye
dil ki lagi ko ab yun hawa na diijiye
bahut seh chuke hain hum is zamaane ke sitam
aa ke ab toh bahaon mein hame thaam liijiye !!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: August 31, 2006, 02:38:45 PM »
Reply with quote
shukriya majid ...... Usual Smile

kuch kuwaish kabhi dard bada  de jaati hai
teri pyaar mein yeh duri bada tadpaati hai
badte jaate hain jitne jagha ke faasale
utani  hi dil ki duri ghatatai si jaati hai !!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: September 01, 2006, 04:14:41 AM »
Reply with quote
yeh dard ke rishte mere dil se bahut puraane hain
ek zid hai mere dil ki hawa mein bhi hamne deeye jarur jaalne hain!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #10 on: September 02, 2006, 08:18:05 AM »
Reply with quote
meri tanah zindagi ko fir apni yaado se aapne jaga diya
jo dard they abhi sheme se aapne fir se unhe nasur bana diya!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: September 02, 2006, 09:06:05 AM »
Reply with quote
humne bhi har waqt aapko hi yaad kiya
bas khamosh nazaro se aapko hi peghaam diya
aap na samajhe meri khamosh baato ko
hamne apni har dua mein tujhko hi yaad kiya
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: September 03, 2006, 08:50:23 AM »
Reply with quote
bahut khub majid ..........wonderful ..

na jaane woh kyu hamse dur hote ja rahe hain
meri kis khata ki saaja woh mujhe yun diye ja rahe hain

kyu badal rahi hain ab unki nighaae
kyu unke  bole lafaz ab nashtar chubha rahe hain

kuch is qadar chhaaya hai unka hi aqs aankho mein
hum zamaane bhar mein ab unke naam se mashoor hote ja rahe hain!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #13 on: September 04, 2006, 06:16:50 AM »
Reply with quote
wonderful reply majid ........bahut hi sunder likha hai ...

khaate hain hum jin patharo se thokare
zindagi ki manzil ka pata bhi unhi se chalalta hai

ek saaya hai un shakas ka har pal
jo mere saath saath bas yun hi chalata hai

dard deta hai wahi aur dawa ban ke chhoo bhi leta hai
na jaane apni kis kis aada se woh mere dil ka haal jaan leta hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: September 04, 2006, 07:04:18 AM »
Reply with quote
good one majid ......


jis zindagi  mod per hum they kahde hue
wahi se tere mere raste kyu alag se hue
puakaarti hain nazare kyu aaj bhi
jahan kabhi they hamare dil mein faasale hue
Logged
Pages: [1] 2 3 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:51:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer