Guzar Rahi Andheron Mein

by riyaz106 on March 03, 2010, 12:59:24 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3281 times)
riyaz106
Guest
Reply with quote
        GHAZAL
Guzar rahi hai andheron mein ab to aa jaao
Agar chiragh nahi to ye ghar jalaa jaao
Umeed ho rahi kamzor din-ba-din ab to
Tumhara faisla kya hai hamein suna jaao
Hamara ghar se nikalna bhi ho gaya mushkil
Main begunah hun ye duniya ko tum bataa jaao
Main tum se rah ke juda aur jee na paaunga
Na mere ban sako to mujhko hi mita jaao


Riyaz "Ashna"
Logged
Talat
Guest
«Reply #1 on: March 03, 2010, 01:01:04 PM »
Reply with quote
Bohot bohot khoob Riyaz Ji
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #2 on: March 03, 2010, 01:03:26 PM »
Reply with quote
Bahut shukriya Talat Ji. Zarranawazi.
Bohot bohot khoob Riyaz Ji
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: March 03, 2010, 01:07:23 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Riyaz Bhai.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #4 on: March 03, 2010, 01:11:06 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Khwaish ji. Nawazish.
Bahut Bahut Khoob Riyaz Bhai.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #5 on: March 03, 2010, 02:01:25 PM »
Reply with quote
WAH WAH BAHUT KHOOB RIYAZ JI.
 Applause Applause Applause Applause
       GHAZAL
Guzar rahi hai andheron mein ab to aa jaao
Agar chiragh nahi to ye ghar jalaa jaao
Umeed ho rahi kamzor din-ba-din ab to
Tumhara faisla kya hai hamein suna jaao
Hamara ghar se nikalna bhi ho gaya mushkil
Main begunah hun ye duniya ko tum bataa jaao
Main tum se rah ke juda aur jee na paaunga
Na mere ban sako to mujhko hi mita jaao


Riyaz "Ashna"

Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #6 on: March 03, 2010, 02:39:18 PM »
Reply with quote
Wah wah kya khoob gazal hai.... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Dard aur mayusi se bhari hui ye negativity ko jaahir karti hai....



        GHAZAL
Guzar rahi hai andheron mein ab to aa jaao
Agar chiragh nahi to ye ghar jalaa jaao
Umeed ho rahi kamzor din-ba-din ab to
Tumhara faisla kya hai hamein suna jaao
Hamara ghar se nikalna bhi ho gaya mushkil
Main begunah hun ye duniya ko tum bataa jaao
Main tum se rah ke juda aur jee na paaunga
Na mere ban sako to mujhko hi mita jaao


Riyaz "Ashna"

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #7 on: March 03, 2010, 03:32:30 PM »
Reply with quote
bahut hi khoob riyaz ji...

Ek mushkil hai merri tum suljha jao,
kar do mujhe fanaa ya mujhe apna jao,
aati jati hawaye karti hai kuch ishare..
apni ankho ki bhasha ko apne labo se samjha jao......
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #8 on: March 04, 2010, 02:19:30 AM »
Reply with quote
Aapka bahut bahut shukriya Suresh ji.
WAH WAH BAHUT KHOOB RIYAZ JI.
 Applause Applause Applause Applause
Logged
drpandey
Guest
«Reply #9 on: March 04, 2010, 03:40:16 AM »
Reply with quote
        GHAZAL
Guzar rahi hai andheron mein ab to aa jaao
Agar chiragh nahi to ye ghar jalaa jaao
Umeed ho rahi kamzor din-ba-din ab to
Tumhara faisla kya hai hamein suna jaao
Hamara ghar se nikalna bhi ho gaya mushkil
Main begunah hun ye duniya ko tum bataa jaao
Main tum se rah ke juda aur jee na paaunga
Na mere ban sako to mujhko hi mita jaao


Riyaz "Ashna"

Bahut khoob Riyaz sahab, masa-allah..kya khubshurat ghazal pesh kiya hai..
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #10 on: March 04, 2010, 05:55:03 AM »
Reply with quote
Koyal Ji aapka behad shukriya ghazal pasand karne ka. Aapki baat sahi hai ke ismein negativity hai, magar aisa bhi to hota hai na. Kisi ne kya khoob kaha hai:

Insaan ke halaat hain kiske bas mein
Udte hue lamhaat hain kiske bas mein
Ek raat mili thi ittifaqan warna
Duniya tere din raat hain kiske bas mein.
Wah wah kya khoob gazal hai.... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Dard aur mayusi se bhari hui ye negativity ko jaahir karti hai....
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #11 on: March 04, 2010, 07:26:39 AM »
Reply with quote
Wah wah Riyaz bhai,bahut dard aur khoobsurti se likha aapne ye gazal.sori abhi dekhi.great work. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP
Logged
drpandey
Guest
«Reply #12 on: March 04, 2010, 08:40:02 AM »
Reply with quote
Koyal Ji Kisi ne kya khoob kaha hai:

Insaan ke halaat hain kiske bas mein
Udte hue lamhaat hain kiske bas mein
Ek raat mili thi ittifaqan warna
Duniya tere din raat hain kiske bas mein.
Riyaz Sahab achchhi sharing..halaat aur lamhaat ke isi zameen per ek sher yaad aa gaya hai...arz karna chahta hun...

Quid rahta hun to tauheen baal-o-par ki hai,
Aur ud jaun to syyaad ki ruswaai  hai,
May chhalak jaye to kamzarf hai peene wale,
Jaam khali ho to shaqi teri ruswaai  hai... (-NM-)
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #13 on: March 04, 2010, 12:24:38 PM »
Reply with quote
Aapka tahe-dil se shukriya BBL ji. Main aapka mashkoor hun. Aapne bhi jawaban bahut shandaar lines likhi hain.
bahut hi khoob riyaz ji...

Ek mushkil hai merri tum suljha jao,
kar do mujhe fanaa ya mujhe apna jao,
aati jati hawaye karti hai kuch ishare..
apni ankho ki bhasha ko apne labo se samjha jao......
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #14 on: March 04, 2010, 01:13:09 PM »
Reply with quote
Pandey Sahab aapka tahe dil se shukriya, is ghazal ko pasand farmane ke liye. Aapka mashkoor hun. karam, nawazish.
Bahut khoob Riyaz sahab, masa-allah..kya khubshurat ghazal pesh kiya hai..
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:55:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer