Hontho par uska naam to markar bhi aayega.........

by Raja Jain on June 03, 2011, 07:57:16 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 4470 times)
Raja Jain
Guest
Reply with quote
"Rakh hausla buland ki ye manzar bhi aayega,
Pyase ke pass chal kar samundar bhi aayega",

"Yun thak haar ke na baith aye manzil ke musafir,
Tujhe manzil milegi jaroor aur meel ka patthar bhi aayega",

"Ye pyar ki dagar hai ajab rang-o-khushbuon ka khel,
Mahkegen isme phool to patjhar bhi aayega",

"Rutha hua hai is tarah se mere dil ka wo karar,
Lagta nahi hai ki ab kabhi wo mere ghar bhi aayega",

"Usse bichhad kar mere dil ko na thi ye khabar,
Ki wo yaad mujhko pahle se badkar bhi aayega",

"Aur marne ki baddua na do "RAJA" ko mere yaron,
Hothon par mere, Uska naam to markar bhi aayega"....


R.J.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Uska naam jamana hai. by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
Uska naam jamana hai by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
hai intezaar uska...na jaane kab woh aayega by anitha in Miscellaneous Shayri
~*~*~Jab Uska Naam Liya~*~*~ by pankshivam in Shayri for Dard -e- Judai
Tere Hontho Pe Bas Ek Baar Meraa Naam Sahi...........Touhid by Mohammad Touhid in Ghazals « 1 2  All »
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #1 on: June 04, 2011, 12:47:54 AM »
Reply with quote
BAHUT KHUB
Apne se khushnaseeb kisi aur ko nahi tu payega
jab kabhi tu usko manoj apni baho mei payega

dekhana dost wo din bhi teri jindgani mei aayega
dusman bhi jab haath dosti ka teri aur badayega

likhta rah bus yu he  tu apne dil ke jazbaat
dekhana shayere mehfil mei bus tu he tu chayega

"Rakh hausla buland ki ye manzar bhi aayega,
Pyase ke pass chal kar samundar bhi aayega",

"Yun thak haar ke na baith aye manzil ke musafir,
Tujhe manzil milegi jaroor aur meel ka patthar bhi aayega",

"Ye pyar ki dagar hai ajab rang-o-khushbuon ka khel,
Mahkegen isme phool to patjhar bhi aayega",

"Rutha hua hai is tarah se mere dil ka wo karar,
Lagta nahi hai ki ab kabhi wo mere ghar bhi aayega",

"Usse bichhad kar mere dil ko na thi ye khabar,
Ki wo yaad mujhko pahle se badkar bhi aayega",

"Aur marne ki baddua na do "RAJA" ko mere yaron,
Hothon par mere, Uska naam to markar bhi aayega"....


R.J.

Logged
nirala
Guest
«Reply #2 on: June 04, 2011, 03:57:32 PM »
Reply with quote
bht khub bht khub……

lekin ye nagma 2 part me kar dia aapne… Usual Smile

daad daad
Logged
Raja Jain
Guest
«Reply #3 on: June 04, 2011, 04:32:07 PM »
Reply with quote
bahut khoob manoj bhai ........
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #4 on: June 04, 2011, 06:12:42 PM »
Reply with quote
thanx
bahut khoob manoj bhai ........
Logged
Raja Jain
Guest
«Reply #5 on: June 04, 2011, 06:15:51 PM »
Reply with quote
Manoj bhai kuchh 2 lines sher ho jaye is par........
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #6 on: June 04, 2011, 06:59:02 PM »
Reply with quote
Rajaa Jain jee Aadaab!

Aapko pahli martaba padhe hai... Usual Smile
Achcha likha hai aapne... Ahsaas O khayaal ke
saath saath bayaani bhi behad khoob rahi aapki.. Usual Smile

Is khub kalaam par dil se daad O mubarakbad kabul
kijiye...... Usual Smile         




"Rakh hausla buland ki ye manzar bhi aayega,
Pyase ke pass chal kar samundar bhi aayega",

Kia kahne janab waqai zindaa dili ki baat kahi hai.. Usual Smile
Bahut umdaa matla kaha hai daad Usual Smile         



"Yun thak haar ke na baith aye manzil ke musafir,
Tujhe manzil milegi jaroor aur meel ka patthar bhi aayega",

Bahut khoob :)Achchi hoNsla afzai aur himmat dehi kar
rahe hai janab... bahut khoob Usual Smile         



"Ye pyar ki dagar hai ajab rang-o-khushbuon ka khel,
Mahkegen isme phool to patjhar bhi aayega",

Waah janab waah behad sahiN farmaya daad Usual Smile         


"Rutha hua hai is tarah se mere dil ka wo karar,
Lagta nahi hai ki ab kabhi wo mere ghar bhi aayega",

Haay kia kahne janab ... badi masoomiyat bhara
sher kaha hai daad daad daad Usual Smile         



"Usse bichhad kar mere dil ko na thi ye khabar,
Ki wo yaad mujhko pahle se badkar bhi aayega",

Kia kahne janab waah Masha Allah bahut achchi
shayari daad daad daad Usual Smile         



"Aur marne ki baddua na do "RAJA" ko mere yaron,
Hothon par mere, Uska naam to markar bhi aayega"....

Kia kahne janab bahut achche daad Usual Smile         


R.J.


Behad khoob likhate hai aap janab...
Is khub kalaam par phir daad O mubarakbad hazir hai Usual Smile

Likhate rahiye... Aate rahiye..
Khush O aabaad rahiye... Usual Smile
Khuda Hafez Usual Smile         

Logged
Raja Jain
Guest
«Reply #7 on: June 04, 2011, 07:04:56 PM »
Reply with quote
Aapka bahut bahut shukriya PARWAAZ bhai.... bas bhai aap log saath rahiye isi tarah ...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 12:12:16 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.154 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer