HUM MUNTAZIR HAIN

by ammna on January 18, 2006, 05:16:54 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1136 times)
ammna
Guest
Reply with quote
Suno jo Dil main baat hai kehdo
ke hum hain muntazir kab se
tumhare chand lafzon ke
ya hum ko qaid kardaalo
ya phir aazad tum kardo
ke jazba koi bhi ho
izhaar ka mohtaaj rahta hai
yeh waqt agar haath se kho bethe
to phir pachtaoge tum bhi
lo humne aankhen bund karlin
chalo ab kehdo tum hum se
ke tum ko Humse Mohabbat hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
HUM MUNTAZIR HAIN by ammna in Shayri for Dard -e- Judai
Mehfil-E-Muntazir by Muntazir in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
___ Muntazir ___ by ehsaas chahat ka in Share:Love Poetry
Muntazir Koi Hamara Hota by riyaz106 in Share Poetry You Like
Mohabbat Muntazir Hogi by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
nawabian
Guest
«Reply #1 on: January 26, 2006, 09:13:56 AM »
Reply with quote
V V good.....
bohat doob kar likha heh....
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #2 on: January 27, 2006, 03:30:41 PM »
Reply with quote
Quote from: "ammna"
Suno jo Dil main baat hai kehdo
ke hum hain muntazir kab se
tumhare chand lafzon ke
ya hum ko qaid kardaalo
ya phir aazad tum kardo
ke jazba koi bhi ho
izhaar ka mohtaaj rahta hai
yeh waqt agar haath se kho bethe
to phir pachtaoge tum bhi
lo humne aankhen bund karlin
chalo ab kehdo tum hum se
ke tum ko Humse Mohabbat hai


waah waah waah !!! Ammna ji ... bahut acchi nazam pesh ki hai aap ne ..... 'teh dil se da'at kabool kijiye ..... kuch farmane ki gustakhi kar rha hoon !!

jane
Kitni mushkil baat thi
Jo main tum se
Yeh na keh saka
Ke tum hi tu ho
Jis se mere dil ko qarar hai
Ke tum hi ho
Jis se meri zindagi mein bahar hai
Ke tum hi ho
Jis ki baatain
Mere chehre pe
Qaus-e-qazah sameet ti hain
Ke tum hi ho
Jis ki maujoodgi
Meri zindagi mein
rang bikhayr ti hai
Ke tum hi ho
Sirf tum hi tu ho
Jis ki judai
Meri aankhon ko ghanton bhigao dati hai !!

Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: January 28, 2006, 01:15:37 AM »
Reply with quote
wah bahoot khoob ammna and HumTum ji@lajawaab.com!!!

Wo ayye pass baithy hai
Sharmaye khas baithy hai
Lub to hillaty hai, magar
Dil mai baat chupaye baithy hai!!!

Najro se sab bol gai
dil ka haal khol gai
lo jaaty jaaty wo
do kangan hatho mai chor gai!!!

kaisa yah Izhaar hai
kayun nahi kahty humse payaar hai
har baat mere sajan ki niraali hai
jise dekhaty hi dil jhoom uthy
aise adda uski matwaali hai!!!
Logged
nawabian
Guest
«Reply #4 on: January 28, 2006, 05:22:03 AM »
Reply with quote
Kis kadar zul dhaya karte ho.
Yeh jo tum bhool jaya karte ho.

Kis ka ab haath rakh ke seene par.
Dil ki dharkan sunaya karte ho.

Kaun heh ab keh jis ke chehre par.
Apni pakoon ka saya karte ho.

Kyoun mere dil main rakh nahi dete.
Kis liye gham uthaya karte ho.

Fone par geet jo sunate the.
Ab woh kis ko sunaya karte ho.

Akhari khat main us ne likha tha.
Tum mujhe yaad aya karte ho
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 06:41:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer