I MISs You !

by muneeb on September 14, 2004, 03:49:57 PM
Pages: [1] 2 3 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 7897 times)
muneeb
Guest
Reply with quote
When the season Love arises,
When the sun of charm rises,
When the refreshing breeze blow,
When I dream of your eye brows,
I MISS YOU.
Life seems to be charming,
But my heart is darkening,
The moon looks to be in full swing,
And in the time of spring,
I MISS YOU.
I remember the depth of your eyes,
In my heart your Love still lies,
Life seems to be a bed of dreams,
When I wake up to see the sun92 s beam,
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: September 14, 2004, 06:28:51 PM »
Reply with quote
nice muneeb
Logged
muneeb
Guest
«Reply #2 on: September 16, 2004, 10:24:59 AM »
Reply with quote
THANK YOU POOJA





Unki har baat dil lubhaati hai,
Har adaa, har khataa bhi bhati hai.
 
   
 
Dil main mere khayaal aaye to,
Baat unki zubaa.n pe aati hai.
 
   
 
Sab Mere haal par pareshaan hai.n
Ek woh hain ki muskuraati hai.n.
 
   
 
Geet meraa likhaa hi hai shaayad,
Woh jo haule se gun gunaati hai.n
 
   
 
Haath deewane ke de allah kuchh aisi qalam,
Aasman par likh ke jaoon hai unhi se pyaar hai!
 
   
 
Khaas Likha Hai Khat Mein, Zara Ahista Boliyega
Bhej Raha Hoon Dil Apna, Zara Ahista Kholiyega  
       
 
Tu is tarah se mere dil main shamil hai
Jahan bhi jaoon lagta hai teri mahfil hai  
 
 
Raste main gire hain phool, Uthata hai koi koi
Muhabbat karte hain sabhi, Nibhata hai koi koi  
 
 
Zindagi ek phool hai aur mohabbat us ka shehed
Pyar Ek Dariya Hai, Aur Mehmoob uski sarhad  
 
 
Jukha kar utha na sake sar mere saval par,
Zulfon ka naqab gira hai, mere dil ka raaz le kar
 
 
 
Saamne baithe raho dil ko qaraar aa'aegaa
Jitnaa dekhenge tumheiN utnaa hi pyaar aa'aegaa  
 
 
Raat Ko Jalte Diye bhi Din mai Buj jaya Karte Hai
Aur ek hum hai; jo ki Tere Pyar Me Din Raat Jala Karte Hai  
 
 
Hein Chaand Tu Is Tarah Itrakar Na Dekh,
Humne Bhi Kayee Chand Dekhen Hein,
Tummhe To Daag Hein, Humne To BeDaag Dekhen Hein.  
 
 
Eed ke din aap khadi na hona chhat par
Eed ke din aap khadi na hona chhat par
kahi log roza na chod de aapku chand samaj kar
 
 
 
Banakar tumhare dil ko basera,
tumhare dil mein rahna chahta hoon,
aaj tumse dil ki her woh baat,
mai bus kehna chahta hoon..
 
   
 
Jis shaam mere lab per tera naam na aaye,
Khuda kare aisi shaam na aaye....
Aai jaane wafa, ye kabhi mumkin hi nahin,
Afsaana likhnu aur tera naam na aaye  
 
 
dekhte hai duniya ki aankhon se,
aashiqon ki yehi aadat kharab hai
dil ki aankhon se dekhe gar koi,
har haseen ko samjhna aasan hai  
 
 
Kaun rakhta hai yaad naamo ko,
logh insaan ko bhool jaya karte hai.
tum samandur ke baat karti ho,
logh aankho mein doob jaya karte hai.  
   
 
Chand agar nikal aaye,
to ye raat sunahi ho jaye
tum bhi gar aa jao kareeb,
to mausum aur bhi rumani ho jaye  
 
 
Tu kaatil tera chehra kaatil
Chehre ka ye kala til bhi katil
bhool kar bhi kahin tum dekh na lena aaina
ki kahin mar na de katil ko katil  
 
 
Palakon se utha ke ye khwaab,
Sajaaye hein kadamon mein tere.
Samhaal ke rakhna kadam,
Kaheen kuchal na jayeen khwaab ye mere.
 
 
 
Ek nadi ke bahne ki aawaz ho tum,
chahun kho jaun usme mai gumsum,
jazbaton ke is dariya mein,
madhosh sa behna chahta hoon..
Aaj tumse dil ki her woh baat mai....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: September 16, 2004, 03:38:14 PM »
Reply with quote
nice.
Logged
waheed
Guest
«Reply #4 on: September 18, 2004, 01:30:46 PM »
Reply with quote
nice muneeb
Logged
sammu1984
Guest
hey
«Reply #5 on: October 09, 2004, 01:32:47 PM »
Reply with quote
cooooool ! gr8 ..... keep goin muneeb !
Logged
muneeb
Guest
«Reply #6 on: October 09, 2004, 03:47:13 PM »
Reply with quote
aap saab logo ka bohat shukeriya!


Qasum Tu Khaye Hai Tum Nay
Mujeh Kabhi Na Yaad Karnay Ki
Mager Main Janta Hon
Tum Mujeh Kabhi Kabhi Na Bhula Paogy
Din Bhi Hastay Kheltay Rehnay Main Shahid
Mery Yaad Na Aye Thin
Mager Sunoo
Subah Jub Ankh Khulay Tumhari
Tu Takyeh Per
Phelay Howay Kajal Ko
Chupa Lia Karna
Kay Koi Jaan Na Sakay
Tum Raat Dair Tak Rooty Rahi Ho
Mery Yaad Main....
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #7 on: October 22, 2004, 12:02:35 PM »
Reply with quote
Very well muneeb..

Bahook Khoob..

Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #8 on: October 22, 2004, 12:36:24 PM »
Reply with quote
"
Miss Tu Hambhee Kartay Hai Aapnee Khanam Koo..

Hum Kahatay Hai.. Wo Kahtee Nahee I MISS YOU!!! ..
"
Ques...
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #9 on: October 27, 2004, 04:16:43 PM »
Reply with quote
GR8 MUNEEB....KEEP WIRITING... Usual Smile
Logged
immi
Guest
«Reply #10 on: October 27, 2004, 04:31:43 PM »
Reply with quote
Bahot khub Muneeb saab, aap ka to jawab nahi
Logged
muneeb
Guest
«Reply #11 on: October 29, 2004, 05:44:59 AM »
Reply with quote
" Immi" jee aap saab ko mare shairi passand ai aap logo ka bohat shukeriya and thank you immi ya ek ghazal aur main aap ka leya pash kar raha hoo pharo aur batao ka aap ko kaise lage jee aap saab bataiya ga ka aap saab ko kaise lage .


Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay

Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay

Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya

Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay

Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain

Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay

Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua

Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay

Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh

Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay

Koi To Baat Hia tum Main ("_____")

Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay ...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #12 on: October 29, 2004, 01:11:05 PM »
Reply with quote
Great well said muneeb..

I like this the most..

"
Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay

Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh

Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay

Koi To Baat Hia tum Main ("_____")

Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay ...

"
Ques....
Logged
immi
Guest
«Reply #13 on: October 29, 2004, 01:24:12 PM »
Reply with quote
Muneeb saab ghazal bahot khubsurat liki hai. bahot khub
Logged
muneeb
Guest
«Reply #14 on: October 29, 2004, 05:29:31 PM »
Reply with quote
Aap ka shukeriya ammi jee



Apne dil ki awaaz ko sun, usne bhi dharkna seekha hai
Dard chupay hain nas nas mein, aur tarapna seekha hai

Rehne do,na chero yun, leinay do mazaa abhi sonay ka
Khwabon mein yun goom ho kar, sochon ne uljhana seekha hai

Ghum kya hai tanhai ka, kabhee koee na samjhega
Pucho andheree raaton se, jinhone bicharna seekha hai

Beqadron ki duniya mein, apno se bahut ghum khaye hain
Dosti mein chupay fraibon ko, kuch kuch to samajhna seekha hai

Duniya ke ‘Anant’ rangon mei, jab teri kamee hum payengay
Poochangay taqdeer se tab, kyon haathon mein sawarna seekha hai
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:37:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer