salaam2all
Guest
|
Shab-e intezaar hay phir k juda hay pyar mera Shab-e-gham may jee rahey na hay aietbaar tera Nahi intezaar ab tou kisi ghum gusaar ka bhi Safar ye zindagi ka hay muktsir sa mera k SALAAM tumko kahkey phir aakhri dafah ka Na khushi say mar sakey hum tha intezaar tera
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
salaam2all
Guest
|
|
«Reply #1 on: December 31, 2004, 04:16:34 PM » |
|
Na mughey galey lagakey tunay kya bura kiya hay Jo mughey galey lagatey tou tumhey zakham he milta Khai daastaney milti kahi bewafai milti Kabhi phir khushi na milti dil taar taar milta Hay SALAAM tughko aaakhir kis baat ka tasavvur Mili rehguzar jo tughko nahi raahguzar hay milta
|
|
|
Logged
|
|
|
|
salaam2all
Guest
|
|
«Reply #2 on: January 01, 2005, 12:50:51 PM » |
|
Mera dil nahi hay gafil teri baat ka hay kayal Na samagh saki ye duniya na samagh sakegi shayad Meri daastaney dil ki khabar kisey sunau Jo baat hain poshida jakey kisey batau Saugaat-e-baddua phir ye de gaya zamana SALAAM kya karogey phir kar gaye wo ghayal
|
|
|
Logged
|
|
|
|
salaam2all
Guest
|
|
«Reply #3 on: January 02, 2005, 12:08:35 PM » |
|
Kyoun aarzoo hay uski kismat may jo nahi hay Kyoun dil ye kah raha hay ki wo yahi kahi hay Kyoun dhoondti hay nazrein ye her kahi kisi ko Kyoun hay meri tamanna milney ki phir usi ko Kyoun aarzoo ki meri mughko khabar nahi hay Kyoun dharkano ka meri koi sabub nahi hay Kyoun zindagi hay tanha kyoun humsafar nahi hay Her kyoun ka meri aakhir jawab kyoun nahi hay
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Arifa
Guest
|
|
«Reply #4 on: January 02, 2005, 01:00:55 PM » |
|
very nice salaam bohat achah likha hay aap nay
|
|
|
Logged
|
|
|
|
salaam2all
Guest
|
|
«Reply #5 on: January 02, 2005, 02:13:05 PM » |
|
nawazish ka shukriya...aur aap bhi accha likhtey hain
Chain say soya tha main ki khawab main wo aa gaye Marhum laganey kay bahaney dil jalanay aa gaye Her ada kya khoob thi bechain karney kay liye Wo chahto kay teer dil per phir chalaney aa gaye Dard ka iss shukriya jo aapney humko diya Shayad abhi kuch reh gaya jo phir sataney aa gaye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nishita
Guest
|
|
«Reply #6 on: January 02, 2005, 02:14:26 PM » |
|
bohat achhe salaam
|
|
|
Logged
|
|
|
|
salaam2all
Guest
|
|
«Reply #7 on: January 02, 2005, 02:37:20 PM » |
|
shukriya nishita........salaam
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Tosha
Guest
|
|
«Reply #8 on: January 03, 2005, 02:09:18 AM » |
|
bahut khoob salaam..!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
salaam2all
Guest
|
|
«Reply #9 on: January 03, 2005, 02:10:25 PM » |
|
shukriya tosha......salaam
Mushkil nahi muhabbat Aasaa nahi nibhana Aassa hay yaad rakhna mushkil hay bhool jana Aaney ki ye tumhari dil main hui jo dastak Aasaa hay dil may aana mushkil hay dil say jana SALAAM phir lagi hay ye aag kesi dil main Aasaa thi jo jalana mushkil hay jo bujhana
|
|
|
Logged
|
|
|
|
myheart_ursonly
Guest
|
|
«Reply #10 on: January 03, 2005, 02:12:40 PM » |
|
nice shers S2A
na uski maanta hai aur na meri sunta hai, main kya karu ki dil-e-badnuma kisi ka nahi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
salaam2all
Guest
|
|
«Reply #11 on: January 03, 2005, 05:31:23 PM » |
|
shukriya myheart_ursonly............salaam
Dharkan kehti hain ki zindagi ki ek dharkan kam hui Saansein kehti hain zindagi ki ek saans kam hui Din guzra tou zindagi ka ek din kam hua Raat guzari tou zindagi ki ek raat kam hui Her pal may kuch na kuch kam ho raha hay Aur ek aapka intezaar hay ki her pal zayada ho raha hay
|
|
|
Logged
|
|
|
|
myheart_ursonly
Guest
|
|
«Reply #12 on: January 03, 2005, 05:56:30 PM » |
|
Nice Again S2A,
ye mohabbat hai k mohabbat ka ehsas hai kyun mera ye dil baar baar ro deta hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
lovebites
Guest
|
|
«Reply #13 on: January 04, 2005, 12:15:56 AM » |
|
Nice wrk Salam & Hearty...........!
WOH Sath lay Gayea Saree Mohabatin Apnii Zara sa dard Mairay Dil K Pass Chord gayea
|
|
|
Logged
|
|
|
|
salaam2all
Guest
|
|
«Reply #14 on: January 04, 2005, 12:39:06 PM » |
|
thanks my heart and lovebites...................salaam
Mera nahi ye kisi aur ka fasana hay Faraq nahi hay kuch ye silsila purana hay
Is muhabbat ki aag may tou jal gaye kaafi tum aa gaye ho tou isney tumhey jalana hay
Tera hay ishq naya kah raha hay ashq tera Humey her haal may aisey he muskurana hay
Yu aaney ka uskey ab tu intezaar na kar Wo ik guzra hua sa waqt hay naa aana hay
Kyoun aankhon may ashq phir saja kay baithey ho Jaha tanha hue waha inhey bahana hay
Yu na kar kaid apni zindagi ko dardon may saza aisi hay ye mushkil riha karana hay
SALAAM keh gaye na ishq may tu mar aisey k apni maut ko kiskey nazar karana hay
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|