Intezar

by Roja on April 05, 2009, 02:40:22 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1380 times)
Roja
Guest
Reply with quote
Lootkar le gaya dil se sukoono karaar
Aur aankon ko de gaya sajaye intezar

Umeed toh nahi hai lekin aayega lautkar
Kehta hai tanhayi mein aksar ye dil bekarar

Mana juda hokar ghar basa liya usne
Fir bhi usse mujhse hai, pehle jaisa pyar

Ye jaane wale... Aajaa, tujhe meri kasam hai
Judayi mein gabrakar nikle na dam mera yaar

Aa dekh le aakar apni judayi ka aalam
Rooh pareshan, dil zakhmi aur aankhein ashkabar..

 tearyeyed  tearyeyed


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
INTEZAR by Neelam in Shayri for Khumar -e- Ishq
INTEZAR by Ravinder in Shayri for Dard -e- Judai
~@~@~@~ INTEZAR ~@~@~@~ by sandeepika in Ghazals
intezar by tabassum shakeel in Shayri for Khumar -e- Ishq
~~UNN KI INTEZAR MAI by sonal in Shayri for Khumar -e- Ishq
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: April 05, 2009, 02:47:01 PM »
Reply with quote
wah wah kya baat hai ak k baad ak khubsurat kalam.. keep writing  dear .....
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: April 05, 2009, 02:53:12 PM »
Reply with quote
Bas gaye jinke ghar, unhe bulaya nahi karte
Apni zaroorat ki khatir, yu kisi ko sataya nahi karte

Aur kisne keh diya tumse, ke ghar bas gaya mera
Yu kisi par jhoothi tohmat, lagaya nahi karte

Main bhi veeran hi raha, tu bhi veeran hi rahi
Jo rehto ho veerano me, woh yu shor machaya nahi karte

Bohat dawa kiya tumne, bohat wade kiye tumne
Bas ek baat bhool bhaithe, GHAYEL se tum pyaar nahi karte

-SG-
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #3 on: April 05, 2009, 03:00:01 PM »
Reply with quote
Wah wah mashaallah kya baat hai sajid ji.. bahoot hi mast laga yea wala kalam apka..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Online Online

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: April 05, 2009, 05:07:21 PM »
Reply with quote
Waah Ji Kya Khoob Likha Hai, Roja Behan/.
AndSajid Bhai,.

NiceOne,. Yaara,.
Logged
Roja
Guest
«Reply #5 on: April 06, 2009, 02:23:36 PM »
Reply with quote
wah wah kya baat hai ak k baad ak khubsurat kalam.. keep writing  dear .....

Thank you very much dear Sophi
Logged
Roja
Guest
«Reply #6 on: April 06, 2009, 02:25:44 PM »
Reply with quote
Waah Ji Kya Khoob Likha Hai, Roja Behan/.
AndSajid Bhai,.

NiceOne,. Yaara,.

Shukriya Azeem brother
Logged
Roja
Guest
«Reply #7 on: April 06, 2009, 02:35:49 PM »
Reply with quote
Bas gaye jinke ghar, unhe bulaya nahi karte
Apni zaroorat ki khatir, yu kisi ko sataya nahi karte

Aur kisne keh diya tumse, ke ghar bas gaya mera
Yu kisi par jhoothi tohmat, lagaya nahi karte

Main bhi veeran hi raha, tu bhi veeran hi rahi
Jo rehto ho veerano me, woh yu shor machaya nahi karte

Bohat dawa kiya tumne, bohat wade kiye tumne
Bas ek baat bhool bhaithe, GHAYEL se tum pyaar nahi karte

-SG-

Dil ka kona kona mehkaya ja raha hai
Yeh kaun aa gaya kya kiye jaa raha hai
Apne mein se aane lagi hai khushbu unki
Kitni siddat se saanson mein samaye ja raha hai

Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #8 on: April 06, 2009, 02:38:08 PM »
Reply with quote
Dil ka kona kona mehkaya ja raha hai
Yeh kaun aa gaya kya kiye jaa raha hai
Apne mein se aane lagi hai khushbu unki
Kitni siddat se saanson mein samaye ja raha hai

Phir ek baar wahi kahege jo hamesha kehna hain ke Bohat Khoob Roja Jee... Clapping Smiley
Logged
Roja
Guest
«Reply #9 on: April 06, 2009, 02:57:18 PM »
Reply with quote
Phir ek baar wahi kahege jo hamesha kehna hain ke Bohat Khoob Roja Jee... Clapping Smiley

Shukriya ji
Logged
angel4u
Guest
«Reply #10 on: April 06, 2009, 04:15:22 PM »
Reply with quote
Good going...
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #11 on: April 21, 2009, 08:57:01 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut khub Roja dear Applause Applause Applause
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #12 on: April 21, 2009, 09:16:02 AM »
Reply with quote
Bas gaye jinke ghar, unhe bulaya nahi karte
Apni zaroorat ki khatir, yu kisi ko sataya nahi karte

Aur kisne keh diya tumse, ke ghar bas gaya mera
Yu kisi par jhoothi tohmat, lagaya nahi karte

Main bhi veeran hi raha, tu bhi veeran hi rahi
Jo rehto ho veerano me, woh yu shor machaya nahi karte

Bohat dawa kiya tumne, bohat wade kiye tumne
Bas ek baat bhool bhaithe, GHAYEL se tum pyaar nahi karte

-SG-
Nice reply Dear
kya baat hai kafi gumgeen se lagte ho
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:00:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer