* Is Baat Se Khafa Nahi

by malli on February 21, 2010, 01:49:32 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 7285 times)
malli
Guest
Reply with quote
Is baat se khafa nahi ,shikwa nahi mujhe
Mere qareeb reh ke bhi wo samjha nahi mujhe
Accha nahi hoga ke mai use be-wafa kahu
Ussne to mohabbat se bhi dekha nahi mujhe

Jaise ki mai mil gayee thi usse raah main pada
Pathar tha ki heera kabhi parkha nahi mujhe
Wo humko dhoondte rahe … Gairo kee bheed mein..
Ke mai to uske apno mein thi.. Usne jaana nahi mujhe..

Jaane uski talaash me, mai usko mili nahi…
Ya uss ne jaan boojh ker payaa nahi mujhe
Ab roote hai Wo… Jab mujhko kho diya..
Jab thi uske paas to…apne dil ke kareeb paya nahi mujhe !!

 sad7 sad7

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #1 on: February 21, 2010, 03:07:57 PM »
Reply with quote
waah roja ji bahut hi khoob likha hai apne...to gud...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: February 21, 2010, 03:40:43 PM »
Reply with quote
Bahaut bahaut bahaut dard hai iss kalam main Malli jee...I absolutely loved it... Har ek line, dil main samati gayi... Tooooooooo goood!!! Applause Applause

Logged
pankshivam
Guest
«Reply #3 on: February 21, 2010, 03:44:22 PM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Malliji
 Applause Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #4 on: February 21, 2010, 04:21:06 PM »
Reply with quote
Kamaal kar diya Malli ji aapne ye ghazal likhne mein. Abhi tak maine jitni bhi aapki creations padhi hain unsab mein ye sab se behreen lagi. Asli shayari ki umdah misaal hai ye. Bravo.
Is baat se khafa nahi ,shikwa nahi mujhe
Mere qareeb reh ke bhi wo samjha nahi mujhe
Accha nahi hoga ke mai use be-wafa kahu
Ussne to mohabbat se bhi dekha nahi mujhe

Jaise ki mai mil gayee thi usse raah main pada
Pathar tha ki heera kabhi parkha nahi mujhe
Wo humko dhoondte rahe … Gairo kee bheed mein..
Ke mai to uske apno mein thi.. Usne jaana nahi mujhe..

Jaane uski talaash me, mai usko mili nahi…
Ya uss ne jaan boojh ker payaa nahi mujhe
Ab roote hai Wo… Jab mujhko kho diya..
Jab thi uske paas to…apne dil ke kareeb paya nahi mujhe !!

 sad7 sad7

Logged
Sshiv007
Guest
«Reply #5 on: February 21, 2010, 05:53:32 PM »

Jo b hoo tera pyaar hoo ,,,, tujhse khfaa nhi sanam
Toota hoo bezaar hoo ,,, magar bewafaa nhi sanam
Hota gar mumkin to karta haal-e-dil byaa
Ki tere dil ka talabgaar hoo,,Dil se juda nhi sanam
Logged
cara
Guest
«Reply #6 on: February 22, 2010, 05:20:33 AM »
Reply with quote
Is baat se khafa nahi ,shikwa nahi mujhe
Mere qareeb reh ke bhi wo samjha nahi mujhe
Accha nahi hoga ke mai use be-wafa kahu
Ussne to mohabbat se bhi dekha nahi mujhe

Jaise ki mai mil gayee thi usse raah main pada
Pathar tha ki heera kabhi parkha nahi mujhe
Wo humko dhoondte rahe … Gairo kee bheed mein..
Ke mai to uske apno mein thi.. Usne jaana nahi mujhe..

Jaane uski talaash me, mai usko mili nahi…
Ya uss ne jaan boojh ker payaa nahi mujhe
Ab roote hai Wo… Jab mujhko kho diya..
Jab thi uske paas to…apne dil ke kareeb paya nahi mujhe !!

 sad7 sad7

WAH KYA BAAT HAI   MALLI JI......

JAB HAM UNKE PAAS THEY
UNKE DIL KE NAHI KHAAS THEY
AAJ JAB HAM UNSEY DOOR GAYE HAI
HAMKO PAANE KO WO MAJHBUR HUE HAI
JAB HAM UNKO APNANA CHAHATE THEY
TAB UNKO HAM NAHI BHAHTE THEY
AAJ JAB HAM KISI AUR KO APNA CHUKE HAI
WO BHAHEN FAILAYE HAMHARE RAASTE ME RUKE HAI....
Logged
drpandey
Guest
«Reply #7 on: March 02, 2010, 04:20:08 AM »

Wah bahut khub Malli Ji, umda peshkash...andaaz aur alfaaz sab kuchh behtareen...

Jab se tere dayar mein  laya gaya hun main,
Tab se gadayee ishq bataya gaya hun main.
Khoya hua hun main kahin duniya ki bheed mein,
Dhundha nahin gaya, na paya gaya hun main...

Logged
malli
Guest
«Reply #8 on: March 03, 2010, 08:20:02 AM »
Reply with quote
Bahaut bahaut bahaut dard hai iss kalam main Malli jee...I absolutely loved it... Har ek line, dil main samati gayi... Tooooooooo goood!!! Applause Applause

Thanks dear Rahim and Geet

Bahoot Khoob Malliji
 Applause Applause Applause

Shukriya dear Pank
Logged
malli
Guest
«Reply #9 on: March 03, 2010, 08:20:46 AM »
Reply with quote
Kamaal kar diya Malli ji aapne ye ghazal likhne mein. Abhi tak maine jitni bhi aapki creations padhi hain unsab mein ye sab se behreen lagi. Asli shayari ki umdah misaal hai ye. Bravo.

Thanks Riyaz ji
Logged
malli
Guest
«Reply #10 on: March 03, 2010, 08:31:48 AM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI   MALLI JI......

JAB HAM UNKE PAAS THEY
UNKE DIL KE NAHI KHAAS THEY
AAJ JAB HAM UNSEY DOOR GAYE HAI
HAMKO PAANE KO WO MAJHBUR HUE HAI
JAB HAM UNKO APNANA CHAHATE THEY
TAB UNKO HAM NAHI BHAHTE THEY
AAJ JAB HAM KISI AUR KO APNA CHUKE HAI
WO BHAHEN FAILAYE HAMHARE RAASTE ME RUKE HAI....

Aaj aisi kya dua doun tujhko,
Jo tere labon pe hansi ke phul khila de,
Bas yehi dua hai meri ke
Sitaroun se roshan Khuda teri taqdeer bana de.
Logged
malli
Guest
«Reply #11 on: March 03, 2010, 08:39:25 AM »
Reply with quote
Wah bahut khub Malli Ji, umda peshkash...andaaz aur alfaaz sab kuchh behtareen...

Jab se tere dayar mein  laya gaya hun main,
Tab se gadayee ishq bataya gaya hun main.
Khoya hua hun main kahin duniya ki bheed mein,
Dhundha nahin gaya, na paya gaya hun main...

Pass the nazar se dhur rakha mujhe
Wafa nahi bewafa samjha mujhe
Kho diya mera pyar, tanha jeene diya mujhe
Jaan kehkar be-jaan bana diya mujhe

Logged
Saba_Saba is back
Guest
«Reply #12 on: March 03, 2010, 11:26:06 AM »
Reply with quote
Pass the nazar se dhur rakha mujhe
Wafa nahi bewafa samjha mujhe
Kho diya mera pyar, tanha jeene diya mujhe
Jaan kehkar be-jaan bana diya mujhe

Very Nice Malli Ji...

Jo is trah se kiya us ne juda mujhe
Ke de de ab to maut mere Khuda mujhe

°ღ•ŚÁßÁ●•٠•˙
Logged
Himanshujain
Guest
«Reply #13 on: August 22, 2010, 11:52:32 AM »
Reply with quote
Kisi gharib ki basti jalaa di tumne,
Kisi benaam ki hasti mitaa di tumne;♥

Mahel na sahi, magar uska to wo aashiyaan tha,
Kisi muflis ko aukaat dikha di tumne;♥♥

Sabr na raha, magar phir bhi wo be zabaan tha,
Kisi shayar ko khamoshi sikha di tumne;♥♥♥

Umr to thi baki, magar zinda bhi wo kahan tha,
Kisi bujhi hui chingari ko hawa di tumne;♥♥♥♥

Dard bhari zindagi mein khushi ka wo lamHah tha,
Kisi ki haqeeqat ko kahani bana di tumne;♥♥♥♥♥

Rahi jo unkahi, wo zindagi ka ek armaan tha,
Kisi zaakir ko bad naseebi suna di tumne;♥♥♥♥♥♥

Kisi gharib ki basti jalaa di tumne,
Kisi benaam ki hasti mitaa di tumne.♥♥♥♥♥♥♥

If You Love This Shayri N Want Some More Than Contact Me On Cooldil_dil@yahoo.com
Logged
Himanshujain
Guest
«Reply #14 on: August 22, 2010, 11:55:14 AM »
Reply with quote
Yaad aati hai jab Unki to ek ghazal apneaap ban jaati hai,
Vaise to yaaron hame likhna bhi kahan aata hai...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:56:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer